Kaise bataon mein tumhey, mere liye tum kon ho.
Tum dhad ka non ka geet ho, jevan ka tum sangeet ho,
Tum zindagi, tum bandagi, tum roshni, tum taazgi,
tum har khoshi, tum pyar ho, tum preet ho, manmeet ho,
Anhkon mein tum, yadon mein tum, sason mein tum,
aahon mein tum, needon mein tum, khawbon mein tum,
Tum ho meri har baat mein, tum ho mere din raat mein,
tum subah mein, tum shaam mein, tum soonch mein, tum kaam mein,
Mere liye pana bhi tum, mere liye kho na bhi tum,
mere liye hasna bhi tum, mere liye roona bhi tum, aur jagna soona bhi tum,
Jaaon kahin, dehkoan kahin, tum ho wahan, tum ho wahin,
kaise bataon mein tumhey, tum bin to mein kuch bhi nahin,
Kaise bataon mein tumhey, mere liye tum kon ho,
yeh jo tumara roop hai yeh zindagi ki doop hai,
chandan se tarasha hai badan, bheti hai jis mein ek agan,
yeh shooqiyan, yeh maastiyaan, tum ko hawaon se mili,
zulfe ghataon se mili, hataon mein kalyon kil gayi, ankhon ko jeel mil gayi,
cherey mein sim ti chandni, awaz mein hai ragni,
nadiyon ke jaisi chaal hai, kya husn hai kya haal hai,
yeh jism ki ranginiyan, jaise hazaron titliyan, bahon ki yeh golaeeyan,
anchal mein yeh parchaiyan, yeh nagri on hai khuwab ki,
kaise bataon mein tumhe, haal lat dil-e- betaab ki,
kaise bataon mein tumhey, mere liye tum kon ho,
kaise bataon mein tumhe, mere liye tum dharma ho, mere liye iman ho,
tum hi ibaadat ho meri, tum hi to chaahat ho meri, tum hi mera arman ho,
takta hoon mein har pal jis sey, tum hi to wo tasveer ho, tum hi meri taqdeer ho,
tum hi sitara ho mera, tum hi nazara ho mera,
Yoon diyaan mein mere ho tum, jaise mujhe ghey rey ho tum,
Purab mein tum, pach chim mein tum, Utar mein tum,
Dakshin mein tum, sarey mere jeevan mein tum,
har pal mein tum, har chin mein tum,
mere liye rasta bhi tum, mere liye manzil bhi tum,
mere liye sagar bhi tum, mere liye shahil bhi tum,
Mein dekhta bus tum ko hoon, mein sochta bus tum ko hoon,
mein janta bus tum ko hoon, mein manta bus tum ko hoon,
tum hi meri pehchan ho,
Kaise bataon, kaise bataon……………..