Fun Shun Junction > Shayari

Jab bhi ata hay mera naam tere naam k sath

<< < (3/3)

Gundeep kaur:
nic

Gujjar NO1:

Kal chodhween ki raat thi,
 shab bhar raha charcha tera,
Kuch ne kaha yeh chaand hai,
 Kuch ne kaha chehra tera,

Hum bhi wahin mojood they,
 hum se bhi sab poocha ke yeh,
Hum hanss diye hum chup rahe,
 manzoor tha parda tera,

Iss sheher mein kis se milen,
hum se to choottin mehfilein,
Har shakss tera naam le,
 har shakss deewana tera,

Bedard! sunte ho to chal,
 kehta hai kya achi ghazal,
Aashiq tera, ruswaa tera,
 shaayer tera, Insha tera..

Gujjar NO1:
Aanchal se mera khoon utarta bhi to kese,
Woh kar ke mujhe qatal mukarta bhi to kese,

Yaadon ki hawaa aankh se takraa ke jo guzri,
Baadal ne barasnaa tha theherta bhi to kese,

Jo waqt ke saath aur bhi ho jata hai gehra,
Woh zakham-e-nihaa’n bharta bhi to kese,

Ambar bhi bhulaa deta hai tootay huye taarey,
Main kya hoon woh yaad mujhe rakhta bhi to kese,

Nadaan they hameen kafan sar per baandh ke aaye,
Bedard woh jaan se guzarta bhi to kese..

Gujjar NO1:
Sazaa ka haal sunaayen jazaa ki baat karen,
Khudaa mila ho jinhe woh khudaa ki baat karen,

Unhen pata bhi chale aur woh khafaa bhi na hon,
Iss ehtiyaat se kya mudaa.aa ki baat karen,

Hamare ehd ki tehzeeb mei qabaa hi nahin,
Agar qabaa ho to band-e-qabaa ki baat karen,


Har ek daur ka mazhab neyaa khuda laaya,
Karen to hum bhi magar kis khuda ki baat karen,

Wafaa-shuaar keyi hain koi haseen bhi to ho,
Chalo phir aaj ussi bewafaa ki baat karen..

Navigation

[0] Message Index

[*] Previous page

Go to full version