November 22, 2024, 02:20:02 AM
collapse

Poll

d

a
1 (100%)
a
0 (0%)

Total Members Voted: 1

Voting closed: November 20, 2009, 09:23:46 AM

Author Topic: pyar  (Read 3501 times)

Offline KAUL SAHEB

  • Choocha/Choochi
  • Like
  • -Given: 0
  • -Receive: 1
  • Posts: 4
  • Tohar: 0
  • Gender: Male
  • COME ON ORKUT AT ( r.mohinder@gmai.com)
    • View Profile
    • freeamc
pyar
« on: January 24, 2009, 09:23:46 AM »
Hass hass ke zindagi katni yaaran de naal,
Dil laga ke rakhna bahaaran de naal,
Ki hoya je asi pooja paath nahi karde,
Saadi yaari hai rab warge yaaran de naal......

Aankhon mein raha dil mein utar kar nhi dekhaa,
Kashti kay musaafir nay samander nhi dekha,
Be –waqt agar jaaoongaa sabh chaunk padeingay,
Aik ummar hue din mein kabhi ghar nhi dekha,
Jiss din say chalaa hoon meri manzil pay nazar hai,
Aankhon nay kabhi meel ka pathar nhi dekhaa,
Yeh phool mujhay koi viraasat mein milay hain,
Tumnay mera kanton bharaa bistar nhi dekhaa,
Pathar mujhay kehta hai mujhay chaahnay vaalaa,
Main mom hoon uss nay mujhay chhoo kar nhi dekhaa,
    Mohabbat na samajh hoti hai samjhaana zaroori hai,
    Jo dil mein hai ussay hotthon pay kehlaanaa zaroori hai,
    Bohut be baak aankhon mein taalukk tikk nhi pata,
    Mohabbat mein kashish rakhnay ko sharmana zaroori hai,
    Mere hotthon pay apni pyaas rakh dou aur phir socho,
    Kay iss kay baad bhi iss duniya mein kuchh pana zaroori hai,

Je Saadi Nahin c Tu ho Sakna ,
Kaahnu Pyaar Enna Fer Payeya c
Je Inj hi Rulaana c Varne ,
Kahano Saanu Fer Tu hasaya c


Tumhain Muhabat Nahi Kisi Se

Gaye Dinoon Ki Rafaqtoon Main Be
Tum Yeh Keh K Bicher Gaye They
“Mujhe Muhabat Nahi Kisi Se”

Jo Aj Berson K Baad Phir Mily Ho
To Phir Usi Sukhan Per Aray Ho
“Mujhe Muhabat Nahi Kisi Se”

Humain Yeh Kase Yaqeen Aye
Tumhain Muhabat Nahi Kisi Se

Kaha Jo Tum Ne Wo Sab Sahi Hai
Ager Muhabat Nahi Kisi Se
To Ser Per Guzerny Wali
En Qayamtoon Se Pyaar Kion?

Humain Wo Yaad Hain Jo Kuch Pal
Tumahri Sangat Myn They Guzare
Tumahre Pahlu Ki Lazatoon Mian
Nishaat Bhi Hai Fasurdgi Bhi
Hayat Bhi Hai Sapurdgi Bhi

Tumhare Hontoon Mian Russ Buht Hai
Kah Jiss Ka Qatra Bhi Bas Buht Hai

Tumhari Ankhon K Jamm Pii Loon
Jo Ho Saky To Her Shaam Pi Loon

Per Humare Dil Mian Wo Jo Tum Ho
Tumhare Dil Main Wo Hum Nahi Hain

Tum Apni Termeem E Zaat Ker Lo
Gumaan K Asmaan Se Uttro
Zameen Pe A Ker Baat Ker Lo
Hum Se Nahi To Choro
Chalo Kisi Se Hi Pyaar Ker Lo
Chalo Kisi Se Hi Pyaar Ker Lo

Tumhain Muhabat Nahi Kisi Se
Tumhain Muhabat Nahi Kisi Se

Mera kuch saaman tumhre paas para hai
Sawan ke kuch bheege bheege din rakhe hain
Aur mere ik khat mei lipti raat pari hai
Wo raat bujha do
Mera wo saaman lota do

Pat jhur hai kuch hai naa?
Pat jhur mein kuch patton ke girne ki aahat
Kaano mein ik baar pehan ke lotai thi
Pat jhur ki wo shaakh abhi tak kaanp rahi hai
Wo shaakh gira do
Mera wo saaman lota do

Aik akeli chatri mein jub aadhe aadhe bheeg rahe the
Aadhe sookhe aadhe geele
Sookha tu main le aai thi
Geela mann shayad bistar ke paas para ho
Wo bhijwa do
Mera wo saaman lota do

Aik so sola (116) chand ki raatein aik tumhare kaandhe kateen
Geeli mehndi ki khushboo jhoot moot ke shikwe kuch
Jhoot moot ke waade bhi sab yaad karwa do
Sub bhijwa do
Mera wo saaman lota do

Aik ijazzat de do bus jub isko dafnaoon gi
Main bhi waheen so jaoon gi

Haath choote bhi tu rishte nahi chora kerte
Waqt ki shaakh se lamhe nahi tora kerta

Jis ki awaz mein silwat ho, Nigahon mein shikan
Aisi tasweer ke tukre nahi jora kerte

Lag ke saahil se jo behta hai ise behne do
Aise darya ka kabhi rukh nahi mora kerte

Jagne per bhi nahi aankh se girti kirchein
Is tarah khwabon se aankhein nahi phora kerte

Shehad jeene ka mila kerta hai thora thora
Jane walon keliye dil nahi thora kerte

Jamma hum hote hain, Taqseem bhi ho jate hain
Hum tu tafreeq ke hindse nahi jora kerte

Ja ke kuhsaar se sir maro ke awaz tu ho
Khasta deewaron se maatha nahi phora kerte

Saans lena bhi kaisi aadat hai
Jiye jana bhi kya rawayat hai
Koi aahat nahi badan mein kahin
Koi saya nahi hai aankhon mein
Paaon be his hain chalte jaate hain
Ik safar hai jo behta rehta hai
Kitne barson se kitni sadiyon se
Saans lete hain jeete rehte hain

Bass aik shakhs ko maangaa mujhay vohi na milaa,

Mohabbaton mein dikhaave kee dosti na milaa,
Agar galey nhi milta tou haath bhi na milaa,
Gharon pay naam thay,namo kay saath ohday thay,
Bohut talaash kiya koi aadmi na milaa,
Tamaam rishton ko main ghar pay chhod aayaa thaa,
Phir uss kay baad mujhay koi ajnabi na milaa,
Khuda kee itni badi kaayenaat mein mainay,
Bass aik shakhs ko maangaa mujhay vohi na milaa,
Bohut ajeeb hai yeh qurbaton kee duuri bhi,
Voh merey saath raha aur mujhay kabhi na milaa,

    sochti huin raat din yeh
    likhduin kyon na kagaj pey
    agar kal ka bhee aaj ho jaaye
    agar suraj nikle aur na chuup paaye
    agar aandhi kabhi na ruk paaye
    toh yeh zindagi shayad zindagi
    na reh jaaye



    es niyati kei hum deewane hain
    yuinhi chupchaap jale jaate hain
    kayamat hogi agar jab bhee
    shayad tamasha hum bhee dekh paaye
    kaun milta hai kise, kaun kiska hai
    bekaar kei aihsaas sei vishwas uth jaaye

durr reh kar bhi tujh se mohabbat karna mujhe achcha laga
tu bata aakhir tujhe yeh waqiya kaisa laga
itne fasley mein bhi hai teri qurbat ke maze
ujhe se milna tujh ko chahna mujhe achcha laga
raakh uddne lagi hai mann mein jalti bujhti yaadon ki
shaam dhale teri yaad ke deep jalana mujhe achcha laga
kaise kahun tere bin ddasti hai mujhko tanhai
teri ulfat teri furqat mein rat-jaga mujhe laga laga
woh aanchh thi hawa mein ke kali tak sulag gayi
aise mein tera ghata ban ke barsna mujhe achcha laga
faasle miitt na paayeinde in durriyon ke kabhi
tasweer mein tera aa ke dil ko behlana mujhe achcha laga
chheen li neend jab aa ke tare khayalon ne
teri tasweer pe chhupke se hotho ko rakhna mujhe achcha laga.

    is tarah hawas ke daure mein muflison ka imthihaan hai
    sir pe dhoop nafrat ki aur ped saaye-baan hain
    mere khwaab le ke aa gaye mujhko un kalaon mein jahan
    paanv se jameen bhi dur hain sir se dur aasmaan hai
    kal talak mere vajood ki shohratein fizaaon mein rahi
    aaj mere zakhmi haathon mein gaflaton ki daastaan hai
    zakhm teri bevafaayi ka yu to kab ka bhar gaya magar
    zakm ki jagah par aaj bhi hasraton ka ik nishaan hai
    vo bhi laash takti reh gayi apne vaarison ki raah ko
    jiska kal ke ik fasaad mein dafan saara khaandaan hai
    apni begunaahi ki sanad isliye bhi ab fijool hai
    mere haq mein koi yahaan muddaton se bezubaan hai



kyun kehte ho ke mujhse mohabbat nahi hai tumko
kyun dil ko mere tum beemar karte ho
jo baat nigaahein keh rahi hai khud-b-khud
kyun use lafzon mein tum inkaar karte ho
darte ho kis se,hai parwaah kiski
kis fikr mein yeh aalam bekaar karte ho
duniya tou parayi hai ruswaai hi karegi
kyun uski khatir khadi tum yeh deewaar karte ho
hai pyar ka mausam yahan fizayein bhi jawaan si
kyun durr se tum inka deedaar karte ho
gar mohabbat hai tumhe keh kyun nahi dete
kyun tadpate ho apne dil ko,lachaar karte ho
iqraar kar bhi lo ab,guzaarish hai meri tumse
kyun mere iss dil ko beemar karte ho
mar kar bhi dikha denge tumhe,ek baar tou keh do
kyun har pal bhala iss dil pe vaar karte ho

hum kaise bataye ham kaise jiye ja rahe hai
har ek muskurahat me gam ko piye ja rahe hai
kehne se kahan kuchh hasil huya hai
hum kya bataye ke ham apane zakhamo ko
kis tarah siye ja rahe hai
kabhi to wafa karke bhi dekho na
hum kambakhat bewafai ka subut diye ja rahe hai
hum kaise bataye hum kaise jiye ja rahe hai

mere kareeb aao bahut udaas hoon main
bus aaj toot ke chhao bahut udaas hoon main
kisi bhi jhoote dilasey se dil ko behlaao
koi kahani nayi sunaao bahut udaas hoon main
andheri raat hai kuchh nazar nahi aa raha
sitare todd kar laao bahut udaas hoon main
suna hai prem nagar mein khushi bhi milti hai
mujhe yaqeen dilaao bahut udaas hoon main
yeh shaam yoonhi guzar jaayegi dabe paaon
wafa ke geet gaao bahut udaas hoon main

mohabbat mein aazmaaish nahi ki jati
ise nibhane ki farmaaish nahi ki jati
pyar mein aate hai kadam kadam sakht muqaam
dil ke zakhmon ki tou numaaish nahi ki jati
hizr mein jo milne lage wasal ka lutff
tou fir milne ki khwaaish nahi ki jati
agar na milna hi ho waqt ka takaza
tou fir milne ki laghish nahi ki jati
khush naseebi se jo mil baithe do dil
tou zamane mein uski zaibaeish nahi ki jati
jin ko ho milna aur woh mil na paayein
dil se kabhi bhi woh hasrat-o-yaas nahi jati
pyar tou hai muqaddaron ka khel
jo na mil sake pyar tou guzarish nahi ki jati

    katt rahi hai aajkal kuch aisi dushvari ke saath
    yaar bhi milte hain ab to ajab aayyaari ke saath
    jhooth kya hai aur sach kya hai tay nahi kar paaye hum
    umr saari kat gayi ghaflat ki bimari ke saath
    mujhko seene se laga jo meri jeb kaat li usne
    jab mila vo shaks to aisi hi dildaari ke saath
    ek ghar ki aag thi aur saari basti jal gayi
    main mana karta raha mat khel chingaari ke saath
    jang haari hai to haari, honsle jaanbaaz hain
    fir palat kar aayenge hum poori tayyari ke saath

jab se dil lagaya hai tumse
sab kuchh sehne ki aadat ho gayi hai
intzaar karte hai hum tumhara der tak
tumko na aane ki aadat ho gayi hai
baat baat pe muskurate the hum
ab to rone ki aadat ho gayi hai
kabhi talab karte the tumhe hum
ab tou berukhi sehne ki aadat ho gayi hai
jab se sochna shuru kiya hai tumko
sari sari raat jaagne ki aadat ho gayi hai
ab tou chahe chhod bhi do humein
tum bin rehne ki aadat ho gayi hai
jise bhi chaha humne woh chhod kar chala gaya
ab tou khone ki aadat ho gayi hai
jab se tum gaye ho humein chhod kar
tab se chup rehne ki aadat ho gayi hai
tumse na koi shikwa na shikayat hai humein
bas khud se shikayat karne ki aadat ho gayi hai
maloom hai ke humari kismat mein tum nahi
bas kismat se ladhne ki aadat ho gayi hai
tum jahan bhi raho bas khush raho
yeh duaaon mein mangne ki aadat ho gayi hai

    ab kisi dairo-haram ki baat mat kar
    kisi se rehmo-karam ki baat mat kar
    pyaar kar usse jo dil ka mom ho
    sangmarmar ke sanam ki baat mat kar
    uljhane hi uljhane hain zindagi mein
    zulf ke ab pencho-kham ki baat mat kar
    raks karti hai jahan aayyashiyaan
    us siyasat ke haram ki baat mat kar
    jibaah to pesha hai uska yu
    kassaab se rehmo karam ki baat mat kar



Kheriyat apni kis taran leitay,
Raat-din tum hamaray dhyaan mein thay,

Ham zameen par na aasmaan mein thay,
Ham tou bas aapki aaman mein thay,
Kheriyat apni kis taran leitay,
Raat-din tum hamaray dhyaan mein thay,
Kaisay maanein kay tum nay dastak dee,
Subah say ham issi makaan mein thay,
Itnay tamgay kisi kay paas nahin,
Jitney chhaley meri zubaan mein thay,
Ghonslay dil kay reh gaye khaali,
Jitney panchhi thay sab udaan mein thay,
Kuchh kami teri munsafi kee rahi,
Jhol merey bhi kuchh byaan mein thay,
Aik din jeet leingay dil tera,
Aaj takk ham issi gumaan mein thay,

Dastak pay mere haath kii khul jaao kisii din,
Chehre pay mere zulf ko phailaao kisii din,
Kyaa roz garajte ho baras jaao kisii din,
Raazon kii tarah utro mere dil mein kisii shab,
Dastak pay mere haath kii khull jaao kisii din,
Pedon kii tarah husn kii baarish mein nahaa loon,
Baadal kii tarah jhoom kay ghar aao kisii din,
Khushbuu kii tarah guzro mere dil kii galii say,
Phuulon kii tarah mujh pay bikhar jaao kisii din,
Phir haath ko Khairaat mile band-e-qabaa kii,
Phir lutf-e-shab-e-vasl ko dohraao kisii din,
Guzrein jo mere ghar say tou ruk jaayein sitaare,
Iss tarah merii raat ko chamkaao kisii din,
Main apnii har ikk saans usii raat ko dey doon,
Sarr rakh kay mere siine pay so jaao kisii din,

    Yeh kya chund hee qadmon par thak kay baith gaye,

    khuli jo ankh tou woh thaa na woh zamana thaa,
    Dehkti aag thee tanhaayi thee fasana thaa,
    Gamon ney baant liya mujhe yuun aapas mein,
    Kay jaisay main koi loota hua khazana thaa,
    Yeh kya chund hee qadmon par thak kay baith gaye,
    Tumhein tou saath mera duur tak nibhana thaa,
    Mujhe jo merey lahoo mein dubo kay guzra hai,
    Woh koi gair nhin yaar ek poorana thaa,
    Khud apney hee haath say uss ko kaat diya,
    Kay jiss darakht kee tehni pay ashiyaana thaa,

Mujhe Khonay Se Darti Thi

Meri Aankhon Pe Marti Thi
Meri Baton Pe Hansti Thi
Na Janay Woh Ladki Thi Kaisi
Mujhe Khonay Se Darti Thi

Mujhay Jab Bhi Woh Milti Thi
Yahi Har Baar Kehti Thi
Suno!!
Agar Main Bhool Jaoon To
Agar Main Rooth Jaoon To

Kabhi Wapis Na Aoon To
Bhula Pao Gay Yeh Sab Kuch?
Younhi Hanstay Raho Gay Kya?
Younhi Sajtay Raho Gay Kya?

Yahi Batain Hain Bas Uski
Yahi Yaadain Hain Bas Uski
Yahi Chahat Hai Bas Uski
Mujhy Bas Yaad Hai Itna!!!

Mujhay Woh Pyar Karti Thi
Mujhay Khonay Se Darti Thi...!!!

Jo bhi dukh yaad na tha yaad aaya,
Aaj kya janiye kya yaad aaya,

Phir koi haath hai dil per jaise,
Phir tera ahed-e-wafa yaad aaya,

Jis tarah dhund mein lipte hue phool,
Ek ek naqsh tera yaad aaya,

Aisi majboori ke aalam mein koi,
Yaad aaya bhi to kya yaad aaya,

Yaad aaya tha bicherna tera,
Phir nahi yaad ke kya yaad aaya,

Jab koi zakham bhara daagh bana,
Jab koi bhool gaya yaad aaya,

Ye mohabbat bhi hai kya rog,
Jisko bhoole woh sada yaad aaya..!!!

Ye Nafrat Ki Kaisi Aandhi Chal Rahi Hai
Chiraagh-e-Muhabbat Bujha Jaa Raha Hai

Aur Jo Pata Hawa Ka Pataa Dey Raha Tha
Woh Pata Hawa Mein Urra Jaa Raha Hai

Muhabatoon mein her ek lamha wisaal ho ga ye tay hua tha,
Bicher ke bhi ek doosre ka khayal ho ga ye tay hua tha,

Ye kya ke sansein ukher gayi hain, saffer kay aaghaz sey hi yaro,
Koi bhi thuk ker na raastey mein nidhaal ho ga ye tay hua tha,

Wohi hua na badaltay mausam mein tum ne hum ko bhula dia na
Koi bhi rot ho, na chahatoon ko zawal ho ga ye tay hua tha,

Juda huey hain tu kia hua ke yahi to dastoor-e-zindagi hai
Judaiyon mein na qorbatoon ka malal ho ga ye tay hua tha,

chalo ke ab sari kashtiyon ko jala dein gumnam sahailoon per,
ke ab yahan say na wapsi ka sawal ho ga ye tay hua tha

Database Error

Please try again. If you come back to this error screen, report the error to an administrator.

* Who's Online

  • Dot Guests: 3823
  • Dot Hidden: 0
  • Dot Users: 0

There aren't any users online.

* Recent Posts

fix site pleae orrrr by ☬🅰🅳🅼🅸🅽☬
[November 01, 2024, 12:04:55 AM]


your MOOD now by Gujjar NO1
[October 09, 2024, 12:31:28 PM]


Best DP of the Week by Gujjar NO1
[October 08, 2024, 05:24:20 AM]


PJ te kinnu dekhan nu jii karda tuhada ??? by mundaxrisky
[September 15, 2024, 05:45:10 PM]


~~say 1 truth abt the person above ya~~ by mundaxrisky
[September 15, 2024, 05:41:15 PM]


This Site Need Fix/Update by mundaxrisky
[August 20, 2024, 04:41:58 PM]


Request Video Of The Day by mundaxrisky
[July 09, 2024, 04:24:48 PM]


Majh on sale by Gujjar NO1
[April 07, 2024, 03:08:25 PM]


Hello Old Friends/Friendaynaz by Gujjar NO1
[March 14, 2024, 03:42:51 AM]


Test, just a test by Gujjar NO1
[March 11, 2024, 12:32:30 PM]


Good morning (first word ki keha) by Gujjar NO1
[February 27, 2024, 01:10:20 AM]


Throw something at the user above u by Gujjar NO1
[February 26, 2024, 01:13:56 PM]


Just two line shayari ... by Gujjar NO1
[February 15, 2024, 10:46:34 AM]


which pj member do u miss ryt now? by ❀¢ιм Gяєωʌℓ ❀
[August 30, 2023, 03:26:27 AM]


Hello Old Friends/Friendayna by ☬🅰🅳🅼🅸🅽☬
[July 07, 2023, 08:01:42 AM]


ਚਿੱਟਾ ਤੇ ਕਾਲ਼ਾ ਆਊਡੀਓਬੂਕ by ਰੂਪ ਢਿੱਲੋਂ
[March 30, 2023, 07:50:56 PM]


What is the first thing you do, when you wake up in the morning? by Cutter
[January 12, 2023, 08:23:23 AM]


Chita Te Kala Novel Latest Review by ਰੂਪ ਢਿੱਲੋਂ
[September 14, 2022, 07:03:31 PM]


Book Review by ਰੂਪ ਢਿੱਲੋਂ
[May 19, 2022, 05:25:18 PM]


Books, Novels & Stories by ਰੂਪ ਢਿੱਲੋਂ
[May 19, 2022, 05:20:16 PM]


New Book Release: Chita Te Kala Novel by ਰੂਪ ਢਿੱਲੋਂ
[May 19, 2022, 05:06:16 PM]


What Is the Best Compliment You've Ever Received? by mundaxrisky
[October 15, 2018, 07:24:41 PM]


Last textmessage that u received by mundaxrisky
[October 15, 2018, 07:12:26 PM]


name one thing you can't live without ? by mundaxrisky
[October 15, 2018, 07:09:02 PM]


ONE thing you wish you could do RIGHT NOW... by mundaxrisky
[October 15, 2018, 07:03:57 PM]