This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.
Messages - Tikhe_Teer_Warga
5441
« on: January 30, 2008, 11:19:19 AM »
abhi tum ishq mutt kerna, tumhari umar hee kia hai, tumhay maloom hee kab hai, ke jab ye ishq hota hai, to koi kitna rota hai, sitaray toot jatay hai, saharay choot jatay hai, abhi tum ne nahi dekha, ke jab saathi bichartay hai, tou kitna dad milta hai, ke hur fursat ke lamhay mai, hazaro ghum ubhartay hai, hazaro dard miltay hai, ... ... ...sunoo... tum ishq mut kerna, tumhari umar hee kia hai
5442
« on: January 30, 2008, 11:16:34 AM »
Keh toh du par phir gunehgaar hojaugi na.... Rab se pehle koi bhi nahi...yeh final hai....
Inn aankhon mein tere siva chehra koi na aaya hai Rab ko sajda karne ke baad humne sajda tera hi kiya hai
5443
« on: January 30, 2008, 11:13:18 AM »
Tere paas hone se har gham door hojaayega Tu apna le mujhe ik baar tera har dard gumm hojaayega
Balle; Balle; Balle; chakte fatte me kea
jottyy ne...............
5444
« on: January 30, 2008, 11:10:23 AM »
Hasraton se hum aapki raah sajaa denge Sapno ki daulat hum aap par lutaa denge Na koi phool hai aaj mere daaman mein Lekin aapke liye palke bichhaa denge
5445
« on: January 30, 2008, 11:07:41 AM »
ISHQ AISA KARO, KE DHADKAN MEIN UTAR JAAYE SAANS BHI LO TOH KHUSHBOO USSI KI AAYE PYAR KA NASHA AANKHON PAR AISE CHAAYE BAAT KOI BHI HO PAR NAAM USSI KA AAYE
5446
« on: January 30, 2008, 11:05:08 AM »
Aapka chehra gulab jaisa lagta hai Nasha aapka sharaab jaisa lagta hai Jheel ke kinare hu haath aapka hai mere haath mein Sapna hai ya haqeeqat sab kuch khwab jaisa lagta hai Aapki mohabbat ne diwana iss kadar kar diya hamein Milley na agar aap se ik din....din hamein vo azaab jaisa lagta hai Baaton mein uski mehak hai tere hi andaaz ki Dil ko samjhaaya dhoka na khaana kahin....shakhs mujhe vo aap jaisa lagta hai Taareef karu uski ya usse moohfat kehdu Panna dar panna khulta gaya vo shakhs kitaab jaisa lagta hai
5447
« on: January 30, 2008, 11:02:38 AM »
Tumse milna hamara.... Ek saza ho gaya Dekha nahin aankh bhar kabhi Phir yeh kaisa NASHA ho gaya
5448
« on: January 30, 2008, 10:59:28 AM »
kya kahu yeh raat jab aati hai tanhayii me kya halchal machaati hai aap ke khwabo-o-khayalon se mujhe dulhan sa ye sajaati hai
hatheli per aapka naam mehendi ban jaata hai aap ka pyar chehre ka shringaar sa ban jaata hai
aap ki yaado ka ghunghat mein ordh ke jab soti hu aap ke khwabo se mera tan-man mehak jaata hai
5449
« on: January 30, 2008, 10:57:11 AM »
pyar me aakhe zuban hoti hai sachii baat to bezuban rehti hai pyar mein dard mile to kaisa ghabrana suna hai dard se pyar jawan hoti hai aapke dilmein kya hai bata dijiye yu khamosh rehkar na satiye
5450
« on: January 30, 2008, 10:54:16 AM »
Ishq kiya hai waada nibhao, Aao aao mere dil mein bas jaao, Kuch mere kuch apne dil ki suno, Zamaane ko bhool kar ek bar hume bhi to aazmao. .......
5451
« on: January 30, 2008, 10:51:16 AM »
Asrar-e-ishq hai dil-e-mujtir liye hue qatra hai bekrar samundar liye hue... pehli nazr hi apki, uff, kis bala ki thi hum aaj tak woh chot hain dil par liye hue....
5452
« on: January 30, 2008, 10:48:20 AM »
TUjhe Khabar Hai Tujhe Soochne Ki Khatir Hum Bahut Se Kaam Muqaddar Pe Taal Rakhte Hain Koi Bhi Faisla Hum Soch Kar Nahi Karte Tumhare Naam Ka Sikka Uchaal Rakhte Hain
5453
« on: January 30, 2008, 10:46:12 AM »
Main tumhe Dil me basaalu agar bura na lage Main tumhe apna bana lu agar bura na lage Tum hi ho Chahat meri Tum hi ho Manzil meri Tumhe Dhadkan main chupa lu agar bura na lage Shab-e- tanhayi main tera intezaar karti hoon Teri neendo ko chura lu agar bura na lage Tum hi Khwahish ho Tum hi Khushi ho Meri Tum hi se Tum ko chura lu agar bura na lage
5454
« on: January 30, 2008, 10:43:56 AM »
jab se shayari ki har shayri tere naam ki jab se aashqi ki har aashqi tere naam ki iss liye khoon-e-jigar se tera naam likha karte hain
hazaro taare hain aasma pe magar chand to ek hai hazaro chehre hain jahan main magar mera dildar to ek hai tum hamesha chand ki tarah chamko yehi dua kiya karte hain
soochte soochte khayal aya ke khayalo main tu hai mere har jawab aur mere saare sawalo main tu hai kyu tujh se itna pyaar hai khud se sawal kiya karte hain
5455
« on: January 30, 2008, 10:39:38 AM »
Dhire se aake dil me basna.. sanson me samake , palkon se nind udana... hum se hum hi ko chura ke fir ye puchna Dil me tumhara kab huva aana? ye kaisa nyay hai zara aap hi batana.
5456
« on: January 30, 2008, 10:37:02 AM »
Achhi lagi Tumhari baate, jo chupke se kuchh keh gaye, TUM to samaye ho mere sanso me, Ninde bhi uda rahe ho meri palko se, TUM to jaan ho mere DIL ki, Arman ho mere zindagi ki, jo mehsoos kar rahi hun me sadiyon se, Tumse tumhi ko chura rahi hun me chupke se..
5457
« on: January 30, 2008, 10:34:14 AM »
Waqt ki nazakat to dekho, Tammanaon ki hasrate bhi dekho, keh gaya jo ye DIL khamoshi se, Sun liya TUMne bhi usse chupke se!! ye jo TUMHARa DIL hai na, asman se bhi unchha hai, samandar se bhi gehra hai, jisse me mehsoos kar rahi hun sadiyon se..khamoshi se..
5458
« on: January 30, 2008, 10:31:27 AM »
Meri jaan se bhi pyare ho tum, mere tamam hasraton ki manzil ho tum, mere dil ki har khushi ho tum, barson tarsi jis pyar ko me, us pyar ka arman ho tum, meri jaan se bhi pyare ho tum
5459
« on: January 30, 2008, 10:28:47 AM »
andhere mann mein koi deep jala to sahi, dil ke sahra mein koi gulmohar khila to sahi,
maine naakhun se chattan pe khinchi jo lakeer, badi muskil se koi raastha bana to sahi,
saath sab chod gaya ghardish mein saaya bhi, dard ka haath mere haath se mila to sahi,
haaai re chalak jo har vaar se bach jaate hain, tujko mouka mile to teer ek chala to sahi,
jinhone khaak kiya hain tere nashemann ko, unke ghar par bhi kabhi bhijliyaan ghira to sahi,
khud ki haalat pe umr bhar hi raha rotha tu, KHUDA ke vaaste ek baar muskura to sahi,
kitne saalon se band tha makaan ka darwaza, chand lamhon ke liye ab zara khula to sahi
5460
« on: January 30, 2008, 10:26:35 AM »
jao sheeshe ka badan leke kidhar jaoge log patthar ke hain chhoo lenge bhikar jaoge
main to khusboo hu gulshan gulshan mujhse ruthenge mere phool to mar jaoge
ik tabassum ki tammanna liye nikloge magar ik safar saath liye shaam ko ghar jaoge
noor bhi chehre ka chhin jayega suraj hu main rooth kar mujhse mere chaand kidhar jaoge
phool kagaz ke khilono se behal jayenge khwaab aankhon mein liye tum bhi to ghar aaoge
tum vo patthar jo bahrahaal tarasheeda nahi main to "PARAS" hu jo chhoo lunga sanvar jaoge
|