July 02, 2024, 11:57:06 AM

Show Posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.


Messages - Tikhe_Teer_Warga

Pages: 1 ... 267 268 269 270 271 [272] 273 274 275 276 277 ... 291
5421
Shayari / Re: shayari posted by ~PunjabiKudi~
« on: January 30, 2008, 12:21:20 PM »
Tareef karoon 'gar main tumhari
Sochta hun andaaz-e-bayaan kya hoga
Ghazalen sunaoon auron ki kalam se
Par unme aakhir naya kya hoga!

Tohfa doon 'gar main tumhe
Nakaafi gul-e-gulaab hoga
Firr sochta hun jaan saunp doon tumhe
Bhala isse nayaab aur kya hoga!

Samet loon agar tumhe ek lafz me
Chhota jaan-e-wafa hoga
Kamzori nahi ho tum meri
Par iss taakat ka naam naya hoga!

Dekhoon 'gar main tumhari nazron me
Ajab saa haal mera hoga
May ki zaroorat nahi aainda
Usme nasha hi kya hoga!

Chhoo loon 'gar main tumhe
Bada kaanpta sa haath mera hoga
Kaanch ki bani si tum
Toot gayin to mera kya hoga!

5422
Shayari / Re: shayari posted by ~PunjabiKudi~
« on: January 30, 2008, 12:19:27 PM »
Jo Dekhe Chehra Unka Jo Mere Aankhon Mein Hai
Wo Sab Haseen Chehron Ko Bhoola De,..

Agar Wo Thoonk Dein Samader Mein,..
Namkeen Paani Ko Bhi Meetha Banaa De,..

Aisa Hai Unka Husn Main Kya Bataaon Tumhe,..
Unki Awaaz Se Kabar Pe Sone Walon Ko Bhi Jagaa De,..

Taareefein To Bahoot Niklengi Unki Shaan Mein,..
Unka Geet Sunakar Kisi Rote Ko Bhi Hasaa De,..

Aisi Hai Meri Mehbooba Jise Sab Hoor Kehte Hain,..
Jab Hum Katal Honge Unke Haathon Se,..
Duniya Kahegi Ke Uske Saath Hume Bhi Mitaa De,..

Aisi Hai Meri Mehbooba Jiski Tareef Farishte Bhi Karte Hain,..
Jiska Chehra Dekhte Hi sab Apne Gham Bhoola De,..

5423
Shayari / Re: shayari posted by ~PunjabiKudi~
« on: January 30, 2008, 12:17:26 PM »
mohoobaat ek jasbaa hai armanoo kae
aatain hai jis main pal afsaanoo kae
is main jeetna ki khushi milti hai aa sanam
tere saa haar jaane mein

5424
Shayari / Re: shayari posted by ~PunjabiKudi~
« on: January 30, 2008, 12:14:21 PM »
kisi ne poocha mohabbat kya hai???
Dil ne kaha...
Mohabbat kisiko Khamoshi se chahte jaana ka naam hai,
ke aakhiri waqt bhi Izahar na kiya jaye...!!!

5425
Shayari / Re: shayari posted by ~PunjabiKudi~
« on: January 30, 2008, 12:02:41 PM »
kisi ne poocha mohabbat kya hai???
Aankhon ne kaha...
Mohabbat aansoo ka samundar hai,
jo kisi ke intezar mein khamoshi se behta hai...




5426
Shayari / Re: shayari posted by ~PunjabiKudi~
« on: January 30, 2008, 12:00:12 PM »
kisi ne poocha mohabbat kya hai???
Mali ne kaha...
Mohabbat gulshan ke phool ki woh dilkash khusboo hai,
Jisme saara gulshan mehak utha hai...



5427
Shayari / Re: shayari posted by ~PunjabiKudi~
« on: January 30, 2008, 11:57:37 AM »
kisi ne poocha mohabbat kya hai???
Saaz ne kaha...
Mohabbat ek aisa geet hai,
Jo Dil mein utar jaata hai...



5428
Shayari / Re: shayari posted by ~PunjabiKudi~
« on: January 30, 2008, 11:55:04 AM »
kisi ne poocha mohabbat kya hai???
Shayar ne kaha...
Mohabbat ek aisi ghazal hai,
Jo har ek sunnewalo ke dil mein utarti chali jaati hai...


5429
Shayari / Re: shayari posted by ~PunjabiKudi~
« on: January 30, 2008, 11:51:48 AM »
kisi ne poocha mohabbat kya hai???
Baadal ne kaha...
Mohabbat ek dhanak hai,
Jisme har Rang samaya hota hai...



5430
Shayari / Re: shayari posted by ~PunjabiKudi~
« on: January 30, 2008, 11:49:23 AM »
kisi ne poocha mohabbat kya hai???

Samundar ne kaha...
Mohabbat samundar ki gehraiyo mein chhupi hui ek seep hai,
JIsme chahat jaisa anmol moti mojood hai...



5431
Shayari / Re: shayari posted by ~PunjabiKudi~
« on: January 30, 2008, 11:47:12 AM »
Door nigahon se baar-baar jaaya na karo,
Dil ko is kadar tadpaya na karo,
Tum bin ek pal bhi jee na sakenge hum,
Yeh ehsaas baar baar dilaya na karo...

5432
Shayari / Re: shayari posted by ~PunjabiKudi~
« on: January 30, 2008, 11:44:40 AM »
Aankho me aansu bhi hai muskaan bhi,
Dhaago me gaathe bhi hai sandhaan bhi,
Ye dil me kaisee kasak hai…
Meri chaahat ajeeb hai,naadan bhi…

Sawarte bhi gaye kabhi,Kabhi bikhre bhi,
Khamoshi hai kabhi,Kabhi tanhaai bhi,
Ye kaise aalam me rehne lage hum…
Hasaate hai apne aapko,kabhi rulaate bhi…

Dhoka detaa hai kabhi waqt,Kabhi kabhi kismat bhi,
Hum inkaar karte hai kabhi,Kabhi izhaar bhi,
Naa chedo hume hum to gum ho chuke…
Khuli kitaab bhi hai aur band kahaani bhi

5433
Shayari / Re: shayari posted by ~PunjabiKudi~
« on: January 30, 2008, 11:42:09 AM »
ekk baat
kahoon Agar suntey ho ?
pata nai tum kis pe martey ho

Kuch halke se or dheere dheere ,
tum jiski baatein karte ho.


hain chahney waaley aur buhut
par tum jis ek pe martey ho.

lagta hai wo bhut khushnasib
jo jisko apno se lagte lagte
na jane kyu apne lagte ho

 Balle; Balle; Balle; Balle; Balle; chakte fatte me kea

jottyy ne...................

5434
Shayari / Re: shayari posted by ~PunjabiKudi~
« on: January 30, 2008, 11:39:39 AM »
ek bath kaho agar tum sunti hoo
tum itni ghandi bachi q hoo

ek bath kaho agar sunte hoo
tumhara gala dabane dil karaha hai

ek bath kaho agar sunte hoo
tum frd ho is liye baqsh diya hai

5435
Shayari / Re: shayari posted by ~PunjabiKudi~
« on: January 30, 2008, 11:37:01 AM »
Ek baat kahoon agar suntey ho.....
tum acchi postings karti ho.......

kuch chanchal se,kuch chup chup se.......
din bhar masti tum karti ho.......

Ek baat kahoon agar suntey ho.....
tum acchi postings karti ho.......


5436
Shayari / Re: shayari posted by ~PunjabiKudi~
« on: January 30, 2008, 11:34:17 AM »
Aik baat kahoon Agar suntey ho ?
Tum Mujh ko achey lagtey ho

Kuch chanchal se , kuch chup chup se
kuch pagal pagal lagtey ho

hain chahney waaley aur buhut
par tum mein hai aik baat buhut.............
Tum apney apney lagtey ho

Aik baat kahoon Agar suntey ho ?
Tum Mujh ko achey lagtey ho

Yeh baat baat pe kho jaana
kuch kehtey kehtey ruk jaana

yeh kiss uljhan mein rehtey ho....?
Kiya baat hai hum se keh daalo

Aik baat kahoon Agar suntey ho ?
Tum Mujh ko achey lagtey ho

5437
Shayari / Re: shayari posted by ~PunjabiKudi~
« on: January 30, 2008, 11:30:23 AM »
Tujhse juda hone ka khyaal dasta hai
ki tu ban ke dhadkan dil main basta hai
Tere lafzon ki chaashni sukoon deti hai
Tu ban ke khwaab, palkon pe sajta hai
Tujhse shuru tujhse hi khatam zindagi
Ek tere siwa kahan aur koi jajta hai
Tera khyaal laaye muskurahat aur aansoo
Teri yaad main bohot dil ye machalta hai

5438
Shayari / Re: shayari posted by ~PunjabiKudi~
« on: January 30, 2008, 11:27:29 AM »
sahar main bhi sham main bhi ,
agaz main bhi anjam main bhi,
zindagi kis kadar rulati hai - jab tu yad ati hai.

sukun main bhi karar main bhi ,
kaid main bhi farar main bhi,
zindagi kis kadar satati hai - jab tu yad ati hai.

javab main bhi ,
saval main bhi,
aaj main bhi filhal main bhi ,
zindagi kis kadar satati hai - jab tu yad ati hai.

rakib main bhi ,
yaroo main bhi ,
tanhai main bhi charo main bhi zindagi
din main tare dikhati hai
jab tu yad ati hai.

5439
Shayari / Re: shayari posted by ~PunjabiKudi~
« on: January 30, 2008, 11:24:35 AM »
buhat hee muddat ke baad kal jab,
kitab-e-maazi ko mainay khola,
buhat se chehray nazar me utray,
buhat se naamo pe dil paseeja,
ek aisa safa bhi uss mai aya,
likha hua tha jo ansoo se,
ke jis ka unwaan "hamsafar" tha,
ye safa sab se hee motaibar tha,
kuch aur ansoo phir uss mai tapkay,
phir uss se agay hum parh na pae,
kitaab-e-maazi ko band ker ke,
uski yaado mai kho gai hum,
ager wo milta to kaisa hota,
inhi khayalo mai so gai hum

5440
Shayari / Re: ਮਾਂ ਨੀਂ ਲੱਭਣੀ - Ma nai Labni
« on: January 30, 2008, 11:21:53 AM »
jab qalam chalta hai to apnay dil ki awaz likhta hu,
ghum-o-judaai ke hijr-o-saal likhta hu,

meray ansoo ka girna baikaar mutt samjhna,
mai uski guftagoo ka andaaz likhta hu,

log poochtay hai meray bikhar janay ka sabab,
mai isko ek buhat bara raaz likhta hu,

ruktay nahi hai meri ankho se ansoo,
mai jab bhi teri yaad mai alfaaz likhta hu,

jab bhi zikar ata hai meri tanhaai ka,
mai tumhee ko aghaaz aur tumhee ko anjaam likhta hu

Pages: 1 ... 267 268 269 270 271 [272] 273 274 275 276 277 ... 291