This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.
Messages - Tikhe_Teer_Warga
4441
« on: June 13, 2008, 05:24:32 PM »
OYE AGLA SAWAL A EH A
KI AJ KAL DE NOW JAWAN KI KARDE NE TUHADE SABH DE NAL? HAHAHAHHAHA
KUDIYA MUNDEYA C KI FARAK REGHEYA HUN?
4442
« on: June 13, 2008, 05:20:56 PM »
sac seyane bol ghe rabh jeyi sachayi jappe ph 3 rang nahi labne biba husan jawani te maapey.......
next word : RANG
4443
« on: June 13, 2008, 05:18:48 PM »
Sohne sohne nain-naksh usde vekhan waale bada pasand karde sade naal kare oh pyar hass ke eho jiha Rabba koi parband kar de sanu vi sohna bana Rabba nahi taan sohne banaane band kar de!!
4444
« on: June 13, 2008, 05:16:55 PM »
Tussi Hasde yo sanu hasaan vaaste tussi rone yo saanu rovaan vaaste ek vaar rus ke ta vekho sohneyo Marr javange tuhanu manaan vaaste
4445
« on: June 13, 2008, 05:16:26 PM »
Hasna Ohna di Aadat C Aasi galat Andaja la Bethe Oh hasde hasde vasde rehe Te aasi apna aap gua Bethe
4446
« on: June 13, 2008, 05:13:58 PM »
Asin sada ladaiyan ton dur rehnde...
Gandasi chal jaye tan hor gal ae..
Asin daru nu kadi hath ni launde...
sham dhal jaye tan hor gal ae..
Asin kadi koi kudi chhed-de nahi...
yaar ral jaan tan hor gal ae..
Asin pass hona tan kadi sikhya nahin...
Nakal chal jaye tan hor gal ae..
4447
« on: June 13, 2008, 05:06:15 PM »
Apne dard ko chhupana seekh liya, Har baat par muskuraana seekh liya, Aap jo kahein woh karte rehte hein, Apne armaano ko dabana seekh liya, Yakeen na ho to azmaan kar dekh bhi lo, Hum to yahi kaheinge ki humne jeena seekh liya.
4448
« on: June 13, 2008, 05:05:19 PM »
Kyun pyaar karne ki hadein hoti hein, Kyun dil dene ki waje hoti hein, Kyun jazbaaton ko dabana padta hai, Kyun iss dil ko samjana padta hai, Kyun har dil ko ye mehsoos nahin hota, Kyun sabko ye manzoor nahin hota, Kyun dil se dil nahin milta, Kyun pyaar ka phool nahin khilta, Kyun dil ke naghme dil nahin gaata, Dil mein kya hai ye keh nahin pata, Kya dil dene ki yahi saza hai, Kya pyaar karne mein yahi mazaa hai.
4449
« on: June 13, 2008, 05:04:03 PM »
Har saans par mile tumhein raahat, Dil mein basi rahe sabke liye chahat, Pyar hai jinse na cchute uska haath, Aur kadam kadam par ho apno ka saath, Cchulo jo tum aasma to na bhulo zameen ko, Khushiyaan mile itni ke baant sako sabko.
Dil toda phir ek baar to kya, Mein khush rahun ya rahun khafa to kya, Kise fark padta hai meri baicheni se, Kisi din mar bhi jaoon to kya.
4450
« on: June 13, 2008, 05:03:34 PM »
Dil se jo tum nikal gaye to zehen se bhi nikal jaoge, Na banpaye jo kisike to jee kar kya ban paoge, Jo na matlab ho tumhein pyar se, na zaroorat jazbaaton ki, To kya vishwaas dilaoge kisiko aur kaisa rishta nibhaoge.
4451
« on: June 13, 2008, 05:03:00 PM »
Hum jo the woh ab rahe nahin, Ab jo hein woh hum huwe nahin, Kaise dorahe se guzarti hai zindagi, Kal kya the, kal kya honge aur aaj ki kuch khabar nahin.
4452
« on: June 13, 2008, 05:02:17 PM »
Hazaaron tokriyaan zindagi ki Aur laakhon phool khushiyon ke, Baadal se bhi bade khwab Aur aasma jitni shakti, Arzoo tumhari ho nadi jitni Aur mile duvayein tumhein sagar bharke, Pyaar ki rahe hamesha barsaat Puri ho tumhari har muraad, Aur maang sako to maangna Bhagwan hai tumhare saath.
4453
« on: June 13, 2008, 05:00:53 PM »
Mere dil mein basi hararat ho tum, Meri aankhon ko mili shararat ho tum, Dekhun tumhein to paalun mein duniya, Na milo to milne ki baghavat ho tum, Tumhari khamoshi keh jaati hai kai baatein, Jise yaad karta hai dil kai raatein, Tumhare nanhe nanhe se haath aur badi badi baatein, Yaad reh jaati hein tumse hui sab mulakatein, Ummeed ho hamari aanewala kal ho tum, Hamare dilon mein basi mohabbat ho tum.
4454
« on: June 13, 2008, 05:00:14 PM »
thanksssssssssssssssss
Iss khushi ka dil pe kya hai asar, Agar tu jaane to tujko ho khabar, Pyaar karte hein tumse kitna, Marte hein tumpe kis kadar, Agar ho bharosa, kuch yakin ho humpar, Chahat hai yahi ki muskurate raho umrabhar.
4455
« on: June 13, 2008, 04:59:08 PM »
Humne dekha muskurake to haath maang liya, Zindagi ke har safar mein humsafar bana liya, Ab kya tohfa dein hum tumhein ye to kaho, Yun to tumne humse umrabhar ka saath maang liya.
4456
« on: June 13, 2008, 04:57:47 PM »
Saat pheron ke saat vachan, Saaton vachan ke saat saal, Abhi to ye shuruvaat hai tum aage dekho kamaal.
4457
« on: June 13, 2008, 04:57:13 PM »
Pyar se jo mila aisa bandhan hai ye, Jiski karo raksha uss se sambandh hai ye, Aisa hai ye dhaga jo kabhi chhutta nahi, Aisa hai ye naata jo kabhi tootta nahi, Bhai se behen ko tohfa hai ye, Behno ke hak ka mouka hai ye.
4458
« on: June 13, 2008, 04:56:26 PM »
Hamari ghalti ye ki humne matlab se pyar nahi kiya, Ya ye thi ghalti ki apni zubaan se dilon par vaar nahi kiya, Ek baar basaya jisko bhi dil mein to usse kabhi bahar nahi kiya, Shayad ye thi ghalti ke sabpe vishwas kiya to kuch accha nahi kiya, Apno ya gairon ki cchodiye humne to mazhab ka bhi fark nahi kiya, Thokar khakar bhi muskuraye aur muft mein gham bhi paaya, Phir bhi hai khushnasibi apni ke hamein pyar karna aise hi aaya.
4459
« on: June 13, 2008, 04:54:36 PM »
Ghamon ne ansoo bahakar mujse ye kaha, Saath na chhodo hamara tumse ye he iltaja, Tumhare saath rehkar humbhi muskurane lage the, Tum jab humein bayan karke logon ko hasane lage the, Ab pad chuki hai aadat hamein muskurane ki, Bhala har gham ko saza kyun ho rulane ki, Ye sunkar humne ghamon ko gale se lagaya, Phir kai mehfilon mein humne logon ko hansaya.
4460
« on: June 13, 2008, 04:53:34 PM »
ZINDAGI KI BAHARON KA EK HAK MUJHKO BHI HAI, JEENE NIKLA HOON PHOOL BANKAR, MEHEK NE KA HAK MUJHKO BHI HAI, PHIR MURJAKAR RAHOONGA KITAABE-ISHQ MEIN, GULAB HOON EK BAAR KHILNE KA HAK MUJHKO BHI HAI.
|