April 20, 2025, 01:39:00 PM

Show Posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.


Messages - Gujjar NO1

Pages: 1 ... 39 40 41 42 43 [44] 45 46 47 48 49 ... 531
861
Shayari / Re: tere naam
« on: October 07, 2016, 04:02:24 AM »
Baat phoolon ki suna karte they,
Hum kabhi sher kaha karte they,


Mish-alen le ke tumhare gham ki,
Hum andheron me chala karte they,


Ab kahan aisi tabiyat vaale,
Chott khaa kar jo jua karte they,


Tark -e- ehsaas-e-mohabbat mushkil,
Haan magar ehl-e-wafaa karte they,


Bikhri bikhri hui zulfon vaale,
Qaafile rok liya karte they,


Aaj gulshan me shagufay “saghar”,
Shikva e baad-e-sabaa karte they..


...
Sabhi insan hain
magar
Faraq sirf itna hai

Kuch zakhm dete hain
Kuch zakhm bhartey hain

Humsafar

Bahut hain
Magar
Farq sirf itna hai

Kuch sath dete hain
Kuch chor dete hain

Pyar

Sabhi karte hain
Magar
Farq sirf itna hai

Kuch jaan dete hain
Kuch jaan lete hain

Dosti

Sabhi karte hain
Magar
Farq sirf itna hai

Kuch log nibhatay hain
Kuch log aazmatey hain.....


very nice words like this :ok:

862
Shayari / Re: tere naam
« on: October 06, 2016, 12:00:11 PM »
saat sarroon ka yea behta darya teray naam,

har sur may ik rang dhank ka teray naam,

jungle jungle roonay waalay sub moasam,

aur hawa ka sabaz dupatta teray naam,

hijar ki shaam akeli raat k khali dar,

subha-e-farak ka dard ujala teray naam,

jitnay khuwab khuda ny meray naam likhay,

in khawaboon ka rysha rysha teray naam…

863
Shayari / Re: hindi /Urdu Four Lines Poetry
« on: October 05, 2016, 02:39:53 AM »
Mohabbaton ki saza be-misaal di us ne,
Udaas rehne ki aadat hi daal di us ne,

Mere badan pr jab dekh chuka apne zakham,
To jaan boojh kar kaanton ki shaal di us ne..

864
Competitions / Re: Best DP of the Week
« on: October 04, 2016, 10:58:47 AM »
appna vote vi gabbar bai nu  :smile:

865
Shayari / Re: tere naam
« on: October 04, 2016, 04:08:57 AM »
wah wah realy beautifulllll  :clap:
----------------------------------
Aithay kaiyan nu maan wafawaan da,
Tay kaiyan nu naaz adawaan da,

asi peelay patar darakhtaan day,
Sanu rehnda khof hawawaan da.‌

866
Shayari / Re: Just two line shayari ...
« on: October 03, 2016, 03:20:23 PM »
thanx for liking ji
===========
 hussan ki chand chahre ko kanwal kahte hain
 teri surat nazar ayee tu ghazal kahte hain

867
Birthdays / Re: happy birthday stylo (Ladako)
« on: October 03, 2016, 02:42:50 PM »
Thanx uu Gujjar ji for making bday topic for me
So sweet
wellcome ji wellcome :superhappy:

868
Shayari / Re: tere naam
« on: October 03, 2016, 02:33:19 PM »
very nice words :clap:

...
Great Work *
thanx bro ,ruubz and ladako ji

869
Birthdays / happy birthday stylo (Ladako)
« on: October 03, 2016, 02:03:49 PM »















You have been there for me no matter what. I love you, my dear friend, and I am so excited to share your special day with you. Your birthday is going to be truly special

870
Shayari / Re: *¥*¥*Sad Shayari *¥*¥*
« on: October 03, 2016, 12:21:41 AM »
Bahaar rut mein ujrrey raasty,
Takaa karo ge to ro paro ge,


Kisi se milney ko jab bhi sajan,
Saja karo gey tou ro paro ge,


Tumhary wadon ne yaar mujh ko,
Tabaah kiya hai kuch is tarah se,


Ke zindagi mein jo phir kisi se,
Dagha karo ge to ro paro ge,


Main janta hoon meri mohabbat,
Ujaarr de gi tumhein bhi aise,


Ke chand raton mein ab kisi se,
Mila karo gay to ro paro ge,


Barasti barish mein yaad rakhna,
Tumhein staayn gi meri ankhein,


Kisi walli ke mizaar par tum,
Dua karo ge tou ro paro ge..

871
Shayari / Re: Just two line shayari ...
« on: October 02, 2016, 02:37:11 AM »
Saanson ki haraarat se pighal jane ka mausam,
Aya hai teri aanch main jall jane ka mausam,

872
Shayari / Re: hindi /Urdu Four Lines Poetry
« on: October 02, 2016, 02:35:27 AM »
Hanss na itna bhi faqeeron ke akele pan pr,
Ja khuda meri tarah tujh ko bhi tanhaa rakhe,


Yeh qanaat hai itaaat hai ke chahat hai Faraz,
Hum to raazi hain woh jis haal main jesa rakhe..

873
Shayari / Re: tere naam
« on: October 02, 2016, 02:32:55 AM »
Aur bazaar se kya le jaaun,
Pehli baarish ka maza le jaaun,

Kuch to saughaat duun ghar walon ko,
Raat ankhon main sajaa le jaaun,

Ghar main samaan to ho dilchaspi ka,
Haadsa koi uthaa le jaaun,

Ik diya dair se jaltaa hoga,
Saath thori si havaa le jaaun,

Roz kehta hai hawaa ka jhonka,
Aa tujhe duur urraa le jaaun,

Aaj phir mujh se kaha dariyaa ne,
Kya iraada hai bahaa le jaaun,

Ghar se jaata hon to kaam aayen ge,
Ek do ashk bachaa le jaaun,

Jaib main kuch to rahe ga alvi,
Laao tum sab ki duaa le jaaun..


874
Fun Time / Re: your MOOD now
« on: September 29, 2016, 10:22:20 AM »
. :beer:

875
Maan-Sanmaan/Respect+ / Re: 109th birthday of Shaheed Bhagat Singh Ji
« on: September 28, 2016, 04:20:39 AM »
Shaheed-e-Azam Bhagat Singh teri azmat nu salam

876
Knowledge / Re: # 666 Meanings In HOLY BIBLE @ GUJJAR 's 666 TOHAR
« on: September 27, 2016, 11:01:23 PM »
:loll: ik like hor karde risky fir 666 nai rehan laga

877
Shayari / Re: Just two line shayari ...
« on: September 27, 2016, 12:09:48 PM »
hate allah bura hai zamana
enn lafango ki buri nazar se es nanhi si jaan ko bchana :hehe: :blush:
omg :hehe:

878
Shayari / Re: Just two line shayari ...
« on: September 27, 2016, 10:49:38 AM »

879
Shayari / Re: tere naam
« on: September 27, 2016, 10:46:36 AM »

Alfaz ke jhoote bandhan mein,

Eghraaz  ke jhoote pardon mein,

Har shaqs mohabbat karta hai,

Halaan ke mohabbat kuch bhi nahin,

Sab jhoote rishte naatey hain,

Sab dil rakhne ki batain hain,

Kab kon kisi ka hota hai,

Sab assli roop chupaate hain,

Ehsaas se khaali log yahaan,

Lafzon ke teer chalate hain,

Aik baar nazar main aa ke woh,

Phir saari umar rulaate hain,

Yeh ishq-o-mohabbat, mehr-o-wafa,

Sab rasmi rasmi baten hain,

Har shaqs khudi ki masti mein,

Buss apni khaatir jeeta hai.....


Eghraaz=Motives
shaqs=aadmi
Mehr-o-wafa=pyaar mohabbat
great words ........ very nice .... vease eyh ghazal main pehla ase topic vich likh chukya .. buhat hi vedia words ne  :ok:

880
Shayari / Re: Just two line shayari ...
« on: September 27, 2016, 08:15:57 AM »
Ehsaan aesa talkhh jawab-e-wafa milaa,
Hum is ke baad phir koi armaan na kar sake..

Pages: 1 ... 39 40 41 42 43 [44] 45 46 47 48 49 ... 531