January 11, 2025, 07:57:45 PM

Show Posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.


Messages - Gujjar NO1

Pages: 1 ... 316 317 318 319 320 [321] 322 323 324 325 326 ... 531
6401
wellcome ji
------------

Tu Meraa Pehla Piyar Sajan
Tu Dilbar Tu Dildaar Sajan,


Tu Phoolon Ki Mehkaar Sajan
Tu Gull Tu Hi Gulzaar Sajan,


Tu Qudrat Ka Shahkaar Sajan
Mukh Tera Hai Gulbahar Sajan,


Tu Jaan-e-Jigar Tu Jaan-e-Gazal
Tu Khushiyon Ka Deedaar Sajan,


Soorat Teri Bholi Bhaali
Hain Laal Haseen Rukhsaar Sajan,


Dil Ki Baaten Tum Se Karna
Main Bhoola Hoon Har Baar Sajan,


Main Buzdil Hoon Main Pagal Hoon
Yeh Kehte Hain Sab Yaar Sajan,


Tere Nain Bane Talwaar-e-Piyar
Main Zakhmi Main Lachaar Sajan,


Na Tum Se Jis Din Baat Kare
Dil Rehta Hai Bezaar Sajan,


Jis Janib Bhi Ab Dekhon Main
Har Rasta Hai Pur Khaar Sajan,


Tum Bhi Maano Ek Baat Meri
Ab Chor Chalen Ghar Baar Sajan.
(sah char gaya) :whew:

6402
-----------------

Zulf Raaton C Hai Rangat Hai Ujaalon Jesi,
Par Tabiyat Hai Wohi Bhoolney Walon Jesi….


Dhoondta Phirta Hun Yun Logo’n men Shabahat Uski,
K “WO” Khawabo’n men Bhi Lagti Hai Khyaalon Jesi….


Uski Baatein Bhi DiL’aawez Hen Surat Ki Tarha,
Meri Sochein Bhi Preshan Mere Balon Jesi..


Uski “AANKHON” Ko Kabhi GhOr Se Dekha Hai “Ashfaq”
Soney Walon Ki Tarha Jagney Walon jesi…

6403
so nice ji
---------

Ankh se door na ho dil se utar jaye ga
waqt ka kiya hai guzarta hai guzar jaye ga


itna manoos na ho khalwat.e.gham se apni
tu kabhi khud ko bhi dekhay ga tu dar jaye ga


tum sar-e-rah-e-wafa dekhtay reh jaoo gay
aur woh baam-e-rafaqat se uter jaye ga


dobtay dobtay kashti ko uchaala day don
mein nahin koi tu sahil pe uter jaye ga


zabt lazim hai magar dukh hai qayamat ka “Ashfaq”
zalim ab ke bhi na roye ga tu mar jaye ga…!!!

6404
Sabko pata hai Aansu hi milte hai pyar me,
fir Bina jane kyu har koi pyar me Deewana hai…

--

Tota tu ho magar abhi bikhra ny Ashfaq
mery badan pay jesy shikaston ka jaal ho

6405
so nice neha
-------------

Phir Toot Ke Ronay Ki Rut Aayi Hai
Phir Se Dilon Ke Zakham Nikhartay Jaatay Hain


Jhooti Sachi Taabeeron Ki Khwaahish Hai
Kaisay Kaisay Khwaab Bikhartay Jaatay Hain


Kaisay Kaisay Yaaron Ka Behroop Khula
Kaisay Kaisay Khoul Utartay Jaatay Hain


In Haalon Kab Apnay Aap Ko Dekha Tha ?
Kehnay Ko Din Raat Guzartay Jaatay Hain


Raahgeeron Ki Khamooshi Ko Gour Se Sun,
Yun Hai Jaisay Maatam Kartay Jaatay Hain


Kubhi Kubhi Koi Aisa Musaafir Aata Hai
Rastay Apnay Aap Sanwartay Jaatay Hain


Sheher-e-Ghazal Ki Galyon Mein Dilgeer Tere
Tujh Se Teri Baatain Kartay Jaatay Hain

6406
ssa ji....
======

Tum Sey Kitna Pyar hai
Dil Me Utar Ke Dekh Lo


Na Yaqeen Aaye To Phir
 Dil Badal Ke Dekh Lo


Hum Ne Apni Har Saanss
 Per Naam Tera Likh Dia


Ek Tujhe Paane Ki Khatir
 Khud Ko Pagal Kar Dia


Ishq Me Tum Bhi Sanam
 Hadh Se Guzar Ke Dekh Lo


Tum Sey Kitna Pyar Hai
dill main utar kar dekh lo


Jaane Kyun Saare Jahaan
 Se
 Ho Gayi Bekhabar




Jab Se Tum Ankhoon Me Aaye
 Jaagti Hai Ye Nazar


Apny Ratoon Se
Meri Ratein Badal Ke Dekh Lo





...
ssa sarean nu  ....

Dhoonte Rahe Is Duniya Main Humsafar,
Kisi Ko Dhoke Baaz, Kisi Ko Bewafa Hi Paya…

hmmmmmmmm


Saza Ban Jati Hai Guzre Huwe Waqt Ki Yaadein,


Najaane Kyun ChoOr Jaane K Liye Meharban Hote Hein LoOg…

6407
for u sphl
---------

Mere paas itnay sawaal thay
 meri umar se na simat sakay


Tere paas jitnay jawaab thay
 teri ek nigaah main aa gaye!! :smile:

6408
nice ji gujr
tuhadi shayri tan dino din nikhri jandi aa mere wang
 :loll:
---------------------
Dekhi Hai Meri Udaasi Os Ne
Aur Dekh Ke Muskura Diya Hai

Ab Tou Mujhe Sabar Aa Gaya Tha
Ye Kis Ne Mujhe Rula Dia Hai ?

Wo Chaahay Tou Raasta Badal Le
Mein Ne Tou Dia Jala Dia Hai.....
!!!♥ kalyugi heer ♥!!!
great ji so nice poetry
------------------------------

Dard Kia Hota Hai Batayein Gay Kisi Roz
Kamal Ki Ghazal Tum Ko Sunayein Gay Kisi Roz


Thi Un Ki Zid K Main Jaaoun Un Ko Manane
Mujh Ko Ye Veham Tha Wo Bulayein Gay Kisi Roz



Kabi B Maine To Socha B Nahi Tha
Wo Itna Mere Dil Ko Dukhayein Gay Kisi Roz


Har Roz Sheshay Se Yehi Poochta Hoon Main
Kia Rukh Pe Tabassum Sajayein Gay Kisi Roz


Urney Do In Parindon Ko Azaad Fizaon Mein
Tumhare Hon Agar To Lout Aayein Gay Kisi Roz


Apne Sitam Ko Dekh Lena Khud Hi Saqi Tum
Zakhum-E-Jigar Tumko Dekhein Gay Kisi Roz

6409
thnks ji
unj tusi v ghat nhi ho gujr
======
Agar Kush Hai Woh Dekh
Kar Ansu Meri Ankhon Me,

To Khuda Ki Kasam Hum
Muskurana Hi Chor Denge.

Tadapte Rahenge Use Dekhne Ko
... Magar Uski Taraf Palke

Uthana Hi Chor Denge.
Wo Manzil Hi Kya Meri Jo

Dukh De Us Ko,
Khuda Ki Kasam Us Manzil
Pe Hum Jana Hi Chor Denge......!!
shukriya ji.....ey ghzal taan kamal di vedia ji
-----------------------------------------------------

?Kiun Rakhoon Main Apne Qalam Main Sayahi?!?


?Jab Koi Armaan Dil Main Machalta Hi Nahi?!?




?Na_Jane Kiun Sabhi Shak Karte Hain Mujh Par?!?


?Jab Sookha Gulab Meri Kitaabon Main Milta Hi Nahi?!?




?Kashish To Bohat Thi Mere Pyaar Main?!?


?Magar Kya Karoon Koi Pathar Dil Pighalta Hi Nahi.!




Agar Khuda Mile To Us Se Apna Pyaar Mangoon Ga.!


?Par Suna Hai Wo Marne Se Pehle Kisi Se Milta Nahi?

6410
lo ji hor sun lo
--------------

kal halki halki barish thi,
kal sard hawa ka raqs bhi tha,
Kal phool bhi nikhray nikhray the,


Kal un main app ka aqs bhi tha,
kal badal gehray kaale the,


Kal chand pe laakhon pehre the..
Kuch tukry app ki yaadon ke,


Bari dair se dil main thehre the..
Kal yaadien uljhi uljhi thien,


Aur kal tak yeh na suljhi thien..
Kal yaad buhat tum aye the?..


Kal yaad buhat tum aye the?.. :sad:

6411
Fun Time / Re: choose the colour for ur partner
« on: May 28, 2012, 10:16:21 AM »

6412
buhat vedia ji
--------------

Aadat Hi Bana Li Hai Is Sheher k Logon Nay
Andaaz badal lena,awaaz badal lena


Dunia ki muhabbat main atwaar badal lena
Mosaum jo naya aaye raftaar badal lena


Agyaar wohi rakhna aehbaab badal lena
Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay


Rasty main agar milna nazron ko jhooka lena
Awaaz agar do to katra k nikal jana


Har ek say juda rehna har ek say khafa rehna Har ek ka gila karna
Jaty hoye raahi ko manzil ka pata day kar rasty main rula dena

6413
yup but eh tan stone lyi c bcz oh tan punjab vich hi rehnda aa so ohde lyi likhi c
bcz asi ghar ghar india wali side hi khed rhe c
 :D: :D: :D: :D: :D:
ok ji good

6414
very well said,,,,,,,,,,,,,
--------------------
choti ji lines but hai bhut anmol
dhyan krna ji jra
-,,,,,,,,,,,,,,,,
♡ ♥• ਪਿਆਰ ਤਾਂ ਸੱਜਣਾ
ਹਰ ਇੱਕ ਨੂੰ ਹੋ ਜਾਂਦਾ . . .

. . . ਪਰ ਇੱਕ ਦਾ ਹੋਣਾ
ਹਰੇਕ ਨੂੰ ਨੀ ਆਓੁਂਦਾ •♥ ♡
mainu ji punjabi nahi aundi
plz tusi eydhi transltion kar deo...thanx ji
===========================

Toti hai meri Neend Mgar tum ko es sy kya
Bajty rahein hawaoon say dar tum ko es sy kya


Tum moj moj Misl-e-Saba Ghoomty raho
Kat jaen meri soch k par, tum ko es sy kya


Oron ka hath thamo, unhen rasta dikhao
Mein bhul jaoon apna hi ghar, tum ko es sy kya


Lay jaein Mujhay Mal-e-Ganeemat k sath adouu
Tum nay to daal di hai sapar, tum ko es sy kya


Tum nay to thak k dasht mein khaimay laga liyee
tanha kattay kisi ka safar,tum ko es sy kya..

6415
agge ton dhyan naal sahi address te aya kro
vais eje aa hi gye ho tan pani pee ke jao bcz bahar garmi bhut aa
 :loll:
canda vich taan thand aa :wait:

6416
so nice hi great words thanx for shering
-----------------------------------------

teri khushbu ka pataa karti hai,
mujh pay ehsaan hawa karti hai,


shab ki tanhai mei ab to aksar,
guftagu tujh say raha karti hai,


dil ko us raah pay chalna hee nahi,
jo mujhay tujh say juda karti hai,


zindagi meri thee lekin ab to,
teray kehnay mei raha karti hai,


us nay dekha he nahi warna yeh aankh,
dil ka ehwaal kaha karti hai,



shaam parrtay he kisi shakhs ki yaad,

koocha e jaan mei sadaa karti hai.

6417
so nice ji
-------------

Wo to khushbu hai hawaon main bikhar jayega
Masla phul ka hai phul kidhar jayega


Ham to samjhe the k ek zakhm hai bhar jayega
Kya khabar thi k rag-e-jan main utar jayega


Wo hawaon ki tarah khanabajan phirta hai
Ek jhonka hai jo ayega guzar jayega


Wo jab ayega to phir us ki rafaqat k liye
Mausam-e-gul mere angan main thahar jayega


Akhir wo bhi kahin ret pe baithi hogi
Tera ye pyar bhi dariya hai utar jayega

6418
Lok Virsa Pehchaan / Re: boliyan...
« on: May 28, 2012, 02:37:14 AM »
--------
Rang saapan de v kaale
rang sadha de v kaale...
sap keel e pitari vich band ho gea ....
munda gora rang...
hoyeeeeeeeeeeeee munda gora rang
vekh ke malang ho gea
munda gora rang hoyyyeeeeeeeeeeeee

6419
--------------------------

Teri khushbu ka pata karti hai
Mujh pe ehsan hawa karti hai


Shab ki tanhai main ab to aksar
Guftagu tujh se raha karti hai


Dil ko us rah pe chalna hi nahin
Jo mujhe tujh se juda karti hai


Zindagi meri thi lekin ab to
Tere kahne main raha karti hai


Us ne dekha hi nahin warna ye ankh
Dil ka ehwal kaha karti hai


Beniyaz-e-kaf-e-dariya angusht
Ret par nam likha karti hai


Sham parte hi kisi shakhs ki yad
Kucha-e-jan main sada karti hai


Mujh se bhi us ka hai waisa hi suluk
Hal jo tera ana??? Karti hai


Dukh hua karta hai kuch aur bayan
Bat kuch aur hua karti hai


Abr barse to inayat us ki
Shakh to sirf dua karti hai


Masla jab bhi utha chiragon ka
Faisala sirf hawa karti hai

6420
hello ji hello!
Kuljinder Kaur (basically patiala ton ji)

hope hai ki i will enjoy enne saare punjabi frnds and topics!!
wellcome ji :smile:

Pages: 1 ... 316 317 318 319 320 [321] 322 323 324 325 326 ... 531