January 11, 2025, 07:46:48 PM

Show Posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.


Messages - Gujjar NO1

Pages: 1 ... 314 315 316 317 318 [319] 320 321 322 323 324 ... 531
6361
.
Dil Dukhaanay Ki Intehaa Kar Di
Aazmaanay Ki Intehaa Kardi

Teer Tohfay Mein Bhej Kar Osne
Zulm Dhaanay Ki Intehaa Kardi

Chonk Kar Naam Poochnay Waalay
Bhool Jaanay Ki Intehaa Kardi

Jeet Ne Maat Orh Li Goya
Sir Jhukaanay Ki Intehaa Kardi

Dil Ko Nasoor Kardlia Aakhir
Ghaao Khaanay Ki Intehaa Kardi

Phir Palat Kar Kubhi Nahee Dekha
Osne Jaanay Ki Intehaa Kardi

Khud Ko Khonay Ka Bhee Pata Na Chala
Osko Paanay Ki Intehaa Kardi

Ta-Falak Ho Gaya Dhuwaan Sa Batool
Raakh Uraanay Ki Intehaa Kardi


6362
Shayari / Re: DEEP SHERGILL
« on: June 04, 2012, 11:08:48 AM »
ok kadi v pc te jaa k read kari dear
o taan pc te read kar lugi
mera ki banu
translation kar :happy:

6363
Jokes Majaak / Re: deep shergill in action
« on: June 04, 2012, 11:06:32 AM »
:Cry:

.. :laugh: :laugh: :laugh:
kida da lagha deep da action? :happy:

6364
Birthdays / Re: Happy Birthday- Desi Kaur :)
« on: June 04, 2012, 08:55:15 AM »
happy birthdayyyyyyyyyyyyyyyyyyyyy

Phool khilte rahein zindgi ki raah mein,
Hassi chamakti rahe aapki nigaah mein,

Kadam kadam par mile khushi ki bahar aapko,
Dil deta hai yehi dua baar-baar aapko.
=D> =D> =D> =D> =D> =D> =D> =D> =D> =D> =D> =D> =D> =D> =D> =D> =D> =D> =D> =D> =D> =D> =D> =D> =D> =D> =D> =D> =D> =D> =D> =D> =D> =D> =D>

6365
Jokes Majaak / deep shergill in action
« on: June 04, 2012, 12:56:02 AM »
deep buhat kiam lagh raha
 :D: :D: :D: :D:

6366
Sheher-e-khyal-o-khwab mein abad ho gaya ..!
Itna usy parha k mujy yaad ho gaya ..!

Main aaj tak hon jis k faraib-o-hisar mein ..!
Wo aur hi kisi ka mery bad ho gaya ..!

Aandhi hawa ka saath nibhany k shok mein ..!
Koi tabah hua koi barbad ho gaya ..!

6367
Hum tere dil mein iss bahane aaye
Kya bahana tha dil tum se lagaane aaye

Tumein maloom ho na paaya aamid ka sabab
Apni khwaaish thi keh hosh thikaane aaye

Mudat se tishnigi thi tum seh baat karne ki
Badeh dinoo baad yeh pyaas bujaane aaye

Raat ko sou na sakeh din ko behchain reh
Neend baijo keh wo humein sulaane aaye

Jab shayari karte ho tou pyari karte ho
Kaun yeh baat Ashfaq ko samjaane aaye

6368
Na sawal ban kay mila karoo,
na jawab ban kay mila karo

Meri zindagi meray khuwab hain,
Mujhay khuwab ban kay mila karo

Mujhay achay log buhat milay
 main un kay qaraz say mer gaya

Jo ho sakay to kabhi kabhi
mujhay kharab ban kay mila karo


...
Ik baat kahoon ager suntay ho
Tum mujh ko achay lagtay ho

Kuch chanchal say kuch chup chup say
Kuch pagal pagal lagtay ho

Hain chahnay walay or bohat
Per tum main hai ik baat bohat

Tum apnay apnay say lagtay ho
Ik baat kahoon ager suntay ho

Tum mujh ko achay lagtay hoo :smile:

6369
Bas Ek Choti Si Haan Kr Do,
Hamare Naam Is Tarha Sara Jahan Kr Do!

Wo Mohabbtain Jo Tumare Dil Mein Hain,
Un ko Zuban Pr Lao 0r Bayan Kr Do!

Aaj Bas Ap Kaho 0r Kehty Hi Jao,
Hum Bas Sune Aisa Be-Zuban Kr Do!

Hoi Purani Dastan Heer Ranjha Ki,
Tarikh Mohabbat Ki Phir Se Jawan Kr Do,

Aa-Jao Ke Aisa Toot Kr Chahon Tumhe,
Hmari Mohabat Ko Mohabbat Ka Nishan Kr Do!

Apne Dil Me Is Tarha Chupa Lo MujKo,
Rahon Humesha Is me aisa Mera Makan kar Do!

6370
Tum Jo Hastey Ho To Phoolon Ki aada Lagte Ho
Aur Chaltey Ho to Ek Baad-e-Saba Lagte Ho

Kuch Na Kehna Mere Kandhe Pe Jhuka Kar Sar Ko
Kitne Masoom Ho Tasveer-e-Wafa Lagte Ho

Baat Karte Ho To Saaghar Se Khanak Jaate Ho
Leher Ka Geet Ho Koyal Ki Sada Lagte Ho

Kis Taraf Jao ge Zulfon K ye Badal Ley Kar
Aaj Machli Hui Saawan Ki Ghata Lagte Ho

Tum Jisey Dekh Lo Peeney Ki Zarorat Kya Hai?
Zindagi Bhar Jo Rahe Aisa Nasha Lagte Ho

Main Ne Mehsoos Kia Tum Se jo Baatein Kar k
Tum Zamane Main Zamane Se Judaa Lagte Ho

6371
thnku ji

Ek shakhs ko deakha tha
Taron ki tarha Hamney

Ek shaks ko chaaha tha
Apnon ki tarha Hamney

Ek shaks ko samjha tha
Phoolon ki tarhaa Hamney

Wo shaks qayamat tha
Kya uski karein Batain

Din us ky liye Paida
Aur uski he thi Ratain

Kab milta kisi se tha
Ham se thi mulaqatain

Rang uska Shahaabi tha
Zulfon mein thi Mehkarein

Aankhain thi ke jaadu tha
Palkain thi k talwarain

Dushman bi agar dekhein
so jaan se dil Harain

Kuch tum se wo milta tha
Baton mein shahaabat thi

Han tum sa hi lagtaa tha
Shokhi mein sharaarat main

Lagta bhi tumhe sa tha
Dastur-e-mohabbat main

Wo shaks hamain aik din

Apnon ki tarhaa Bhoolla
Taron ki tarha doobba
Phoolon ki tarha tootta

Phir haath na aaya woh
Hamney bohat dhoondha

Tum kis liye chonkey hom
Kab zikar tumhar hai
Kab tum se takaaza hai
Kab tum se shikaayat hai

Ikk taaza Hikayat hai
Sun lo tou inayat hai

Ek shaks ko chaaha tha
Apnon ki tarha Hamney.

6372
akhiri Tis azamane ko
ji to chaha tha muskurane ko

yad itni bhi sakht jan to nahin
ik gharaunda raha hai dahane ko

sangrezon main dhal gaye ansu
log hansate rahe dikhane ko

zaKhm-e-nagma bhi lau to deta hai
ik diya rah gaya jalane ko

jalane vale to jal bujhe akhir
kaun deta Khabar zamane ko

kitne majbur ho gaye honge
ankahi bat munh pe lane ko

khul ke hansana to sab ko ata hai
log tarasate rahe ik bahane ko

reza reza bikhar gaya insan
dil ki viraniyan jatane ko

hasraton ki panahgahon main
kya thikane hain sar chhupane ko

hath kanTon se kar liye zakhmi
phul balon main ik sajane ko

as ki bat ho ki sans ?Ada?
ye Khilaune hain tuT jane ko

6373
Geelay Kaagaz Ki TarhaN Hai Zindagi Apni,
 Koi Likhta bi Nahi Aur Koi Jalaata bi Nahi,

Is Qadar Akailay Ho Gaye Hain Aaj Kal,
 Koi Satata bi Nahi Aur Koi Manaata bi Nahi…

6374
Ham Teri Mohabbat Pe Inhesaar Kia Kartay ?
Rait Ke Gharoonday Pe Aitbaar Kia Kartay ?

Door Jaanay Waalay Phir Lout Kar Nahee Aatay
Door Jaanay Waalon Ka Intezaar Kia Kartay ?

Oske Saaray Gham Le Kar Apni Khushi Dedi
Aur Is Se Badh Kar Ham Os Se Pyaar Kia Kartay ?

Khol Kar Kitaab-e-Dil Unke Saamnay Rakh Di
Aur Bekaraari Mein Bekaraar Kia Kartay ?

Kat Gaye Hawaon Ki Tund-o-Taiz Lehron Se
Aandhion Ke Aagay Ye Shaakhsaar Kia Kartay ?

Ham Ne Oski Khwaahish Per Jaan Bhee Luta Di Hai
Dil Pe Tha Na Kuch Ham Ko, Ikhtiyaar Kia Kartay ?

6375
thnks gujr
welcome back to shayri post
i was missing your shayri
to tuhade naam te ho jaye ik shayri
zra dhyan naal read krna
-----------------
Dukh Dena To Shayad Uss Ki Fitrat Mein Shamil Hai,

Maira Ye Farz Hai Ke Ussey Sajdon Mein Bhi Dua Doon,

Mairi Rooh Tak To Uss Ke Hisaar Mein Hai,
...
Maiin Iss Say Barrh Kar Ussey Aur Kya Doon?

Woh Shakhs Ke Qadam Qadam Per Karta Raha Mazaak,

Magar Main Chaahoon Ke Ussey Umer Bhar Ki Wafa Doon,

Meri Khushiyon Ka Qaatil Bhi Wohi Hai Lekin,

Dil Nahin Maanta Ke Ussey Koi Saza Doon,

Dharrakta Hai Dil Ban Kar Seeney Mein Woh Hi Hamesha,

Tum Hi Kaho Kaisey Main Uss Ko Bhula Doon,

Faaslon Ne Bhatka Diya Hai Woh Aisa To Na Tha,

Mairey Qareeb Kabhi Aaye To Muhabbat Ka Fakir Bana Doon......
☼~♥~♦~☺~noor sandhu~☺~♦~♥~☼
great poetry ji so beautiful words



Dil Dukhaanay Ki Intehaa Kar Di
Aazmaanay Ki Intehaa Kardi

Teer Tohfay Mein Bhej Kar Osne
Zulm Dhaanay Ki Intehaa Kardi

Chonk Kar Naam Poochnay Waalay
Bhool Jaanay Ki Intehaa Kardi

Jeet Ne Maat Orh Li Goya
Sir Jhukaanay Ki Intehaa Kardi

Dil Ko Nasoor Kardlia Aakhir
Ghaao Khaanay Ki Intehaa Kardi

Phir Palat Kar Kubhi Nahee Dekha
Osne Jaanay Ki Intehaa Kardi

Khud Ko Khonay Ka Bhee Pata Na Chala
Osko Paanay Ki Intehaa Kardi

Ta-Falak Ho Gaya Dhuwaan Sa Batool
Raakh Uraanay Ki Intehaa Kardi

...


KOI TO HOTA?

Main Jis Kay Dil Ki Kitab Banta
Main Jis Ki Chahat Ka Khawab Banta

Main Hijar Mosam Ki Lambi Raaton Main Yaad Ban Kar Azaab Banta
Koi To Hota?
Jo Meri Khwaish Main Uth Kar Raaton Ko Khoob Rota
Dukhon Ki Chadar Lapait Kar Hajoom Duniya Say Door Hota
Main Rooth Jaata Manata Mujh Ko Kay Chahe Mera Kasoor Hota
Koi To Hota?
Jo Mujh Ko Dil Ka Karar Kehta
Ragoo Ka Apni Fishar Kehta
Udaas Mosam Main Tazgi Ki Biyar Ban Kar
Jo Meri Bahoon Ko Arzoo Ka Diyar Kehta
Koi To Hota?
Dua Say Apni Jo Dukh Bhi Meray Samait Leta
Woh Iss Jahan Say Ghamon Ka Meray Hisab Leta
Woh Sari Duniya Ki Rafaqaton Kay Tamam Rishtay
Koi To Hota?
Main Jis Kay Itna Kareeb Hota
Na Paas Koi Rakeeb Hota
Main Tanha Uss Ka Habbib Hota
Yeh Silsila Bhi Ajeeb Hota
Koi To Hota? Aye Kaash
Koi To Hota?
wah buhat hi vedia poam aa bro
so beautiful

Hua Jo Kuch’ Bhulana Chahiye Tha,
Usey Ab Laut Aana Chahiye Tha,

Ye Saara Bojh Mere Sir Pe Kiyon Hai,
Usay Bhi Gham Uthana Chahiye Tha,

Kis Qadar Guroor Tha Mujhe Us Per,
Pyar Se Beth Kar Manaana Chahiye Tha,

Mujhe Paa Kar Usey Kya Chain Milta,
Jisey Saara Zamaana Chahiye Tha..


6376
:wow:

Gham na kar Zindagi bahut badi hai,,,,,
Chahat ki mehfil tere liye saji hai


Bas ek baar muskura kar tho dekh,,,,,,
Taqdeer khud tujhse milne bahar khadi hai…
wah great words ji

Rabb kare tu sada hasdi rahe,
koi dukh tere nere vi na aave,
hor ki dua manga rabb to,
tenu sadi vi umar lag jaave

6377
Assi maut rok rakhi te tera intzaar kita,
Sajna tere jhuthe laareya da aitbaar kita,

Assi jaan den lageya ek pal vi na layeya,
te tussi jaan len lageya vi nakhra hajaar kita

6378
PJ Games / Re: where u wanna live
« on: June 03, 2012, 11:07:56 AM »
pata nahi rab kareyan ranga vich raji
jithee rekhee ohi apni jant

6379
Gup Shup / Re: What song are you listening to right now?
« on: June 02, 2012, 12:39:24 PM »
ki samjayiye sajjna ehna nain kamlyan nu
kehnde tenu dekhe bina guzara nhi hona
oooo great main vi same eyho gana sun reha si :he:

6380
Akhiyannn vich tere ik armann shadd java gy.......
Es forum de utte apne nishan shadd java gy......
Ly jana sirf ik kahfan es duniya toh....
Tere lyi ta eh jahan shadd java gy.......


.......this is for someone special on this punjabi janta forum..........
wah ranjha kamal karta bro
very nice :won:

Pages: 1 ... 314 315 316 317 318 [319] 320 321 322 323 324 ... 531