This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.
Messages - Gujjar NO1
5961
« on: September 04, 2012, 02:38:34 PM »
Mohabbat Ke iLawa Paas Apnay Kuch Nahi
Isi Doulat Ko Ham Qismat Ke Maaray Baant Laitay Hain
5962
« on: September 04, 2012, 02:36:11 PM »
le veere hun 2 line de
Aadat Mujhe Andhero’n Main Darne Ki Dal Kar,
Ek Shakhss Meri Zindagi Ko Raat Kar Gaya..
5963
« on: September 04, 2012, 02:30:44 PM »
Rait Par Likh Kar Mera Naam Mitaya Na Karo Aankhen Sach Bolti Hain Piyar Chupaya Na Karo,
Log Har Baat Ka Afsaana Banaa Lete Hain Sab Ko Rudaad-e-Gham-e-Ishq Sunaaya Na Karo,
Yeh Zaroori Nahi Har SHaks Maseeha Hi Ho Piyar Kay Zakhm Amaanat Hain Dikhaya Na Karo,
Shaher-e-Ehsaas Mein Pathraao Boht Hai “Mohsin” Dil Ko Sheeshe Kay Jharokon Mein Sajaaya Na Karo.
5964
« on: September 03, 2012, 10:02:34 PM »
. Ik ik zakham dikhaaon tum ko aao to, Kese kese phool khile hain dekho to,
Sheiron jese jhilmil karte lamhon mein, Kangan ghazlon ka pehnaaon aao to,
Hanste gaatey logon ki is dunya mein, Hum kyon itne chup rehte hain socho to,
In chahat ki tarsi pyassi ankhon mein, Sapnon ka ik sheher bassaa hai dekho to,
Janaan in dunya walon ki nazaron se, Door kahin le jaaon tum ko aao to,
Ik ik kar ke sare saathi chorr gaye, Tum bhi raah badal sakte ho chaho to,
Deewana sab log samajhne lagte hain, Arshad bass khamosh raho ghar aao to
5965
« on: September 03, 2012, 06:02:41 AM »
buhat old topic labha aaj : September 07, meri birthday wale din ey topic make kita gaya :he:
5966
« on: September 03, 2012, 01:36:58 AM »
happy birthday Ugta hua Suraj dua de aapko, Khilta hua phool khushbu de aapko,
hum to kuch dene ke kabil nahi hai, dene wala hazaar khushiyan de aapko!
5967
« on: September 02, 2012, 01:22:44 PM »
shukaria bro.
bro ey kalam neha ne vi send kita si « on: August 13, 2012, 09:14:02 AM jeni vaari read kro ya suno buhat vedia laghda
5968
« on: September 02, 2012, 01:18:09 PM »
Rab Diyan Rehmta Da Shukar Manyida Jive Oh Karaunda Assi Unj Kari Jayida Rab Diya Rehmta Da Shukar Manyida
Jagaunda Pukhe Pet Hai Savauda Bhar Pet Hai Har Ik Bande Da Uhde Kol Pet Hai Rukha Sukha Milje Oh Vi Kush Ho Ke Khai Da Rab Diya Rehmta Da Shukar Manyida
great words thanx for shering :smile:
5969
« on: September 02, 2012, 12:38:08 PM »
yaar koi dasso main chat wich kiddan wadan
tusi apni right side te dekho topic de naam likhee hoye aa.ohna te clk kro read kar ke reply te clk kro apne comments likho te send te clk kar deo. 2-tusi apne vi topic make kar sakhde aa par o topic make kero jera sri janta nu vedia laghee je kush hor puchna hoya taan puch leo thanx
5970
« on: September 02, 2012, 04:55:01 AM »
thanx for likimg ji :smile:
5971
« on: September 02, 2012, 04:48:35 AM »
lo ji hogaya charha jatt add hun ho jau start :cooll:
5972
« on: September 02, 2012, 02:51:54 AM »
great shering buhat vedia topic make kita realy so nice :smile:
5973
« on: September 02, 2012, 02:24:55 AM »
gujar har roz savere savere patola bna dinde a... :lol:
koi nahi bro patola ban ke dekh shaid tera kam ho jai.......odha vi punjabiyan di massal bani hoi aa kam bene na bene try start rakho :D:
5974
« on: September 02, 2012, 02:20:56 AM »
While you carry a purse, She carries a 65Lbs gun When you rest in AC and Coolers, She guards you in the scorching heat When you apply your make up, She apply colours to camouflage herself When you enjoy with your family, She plans to take over the enemy For your peaceful sleep, She has passed many sleepless nights. ... - Salute To All Women Soldiers
je edha di wardi vich teri bhabi hundi hun tak gujar nu chuk dita hona si :happy: nice shering bro
5975
« on: September 02, 2012, 02:19:03 AM »
rani ne menu patola bna dita.. :cry: menu insaaf chahiye.. :D:
ki zamana aa gaya hun taan gabar singh vi insaaf mangda :D:
5976
« on: September 02, 2012, 02:17:13 AM »
mera dosra wha vi ho skhda iss website tu? :he:
5977
« on: September 01, 2012, 10:52:32 PM »
Shajar Ke Haath Mein Ek Zard Phool Baaqi Hai Abhi Libaas-e-Musaafir Pe Dhool Baaqi Hai Mere Qabeelay Mein Niklay Subhi Farokhtni Na Koi Waada Na Koi Usool Baaqi Hai Duroon-e-Sheher Gulaabon Ki Baa’r Khatam Howi Kinaaray Sheher Puraani Babool Baaqi Hai Hawa-e-Sheher-e-Sitam Ko Abhi Pata Na Chalay Mere Dupattay Mein Ik Surkh Phool Baaqi Hai ( iss topic da naam couplt of share/ghzal to the person aa) iss layi 2 line ya 4 line ya pori ghzal te koi pabandi nahi :smile:
5978
« on: September 01, 2012, 10:27:47 PM »
Aaj mera janam din tha,
Main intizar karta raha
Din se raat ho gayi,
Aur main chalta raha,
Barish mere badan ko bhigoti rahi,
Aur tann andar hi andar jalta raha,
Magar mein chalta raha,
Intizar karta raha,
Ke shayed…
Kahin se koi jaani pehchani si awaz,
Mujhe pyar se bulaa kar kahe,
Janam din mubarak ho… Magar aaj to har taraf balaa ka sanaata hai,
Puri basti ne mere janam ke saug mein,
Apne apne gharon mein chiragha’n nahin kiya,
Har taraf holnaak andhera tha,
Is andhere mein,
Barish ka shor,
Pato’n ki khar’kharahat,
Hawaa ki siskiyaan,
Aur bijli ki chamak ne,
Mahol ajeeb daraawna sa bana diya tha,
Mera dil ghabraa gaya,
Subah ka bhoola tha is liye,
Shaam ko ghar aagaya, Kya dekhta hoon ke ghar ki dehleez par hamesha ki tarah,
Woh chiraag liye meri muntzir thi,
Us ne aa kar mujhe sahara diya,
Phir apne naazuk bazu’on mein samait kar,
Mujhe mere bistar tak le gayi,
Mera sar apni gaud mein rakh kar,
Mere baalon mein ungliyan pher kar mujhe sulaney lagi,
Phir dheere dheere mere kaan mein gunguney lagi, Janam din mubarak ho,
Janam din mubarak ho,
Dunya walon se kitni achi thi,
Meri tanhai,
Meri udaasi, Meri veerani,
Meri mehbooba…
5979
« on: September 01, 2012, 10:20:46 PM »
5980
« on: September 01, 2012, 10:04:12 PM »
Koi bhi aadmi pura nahin hai, Kahin ankhain kahin chehra nahin hai, Yahan se kyon koi begana guzre, Yeh mere khawb hain rasta nahin hai, Jahan par they teri palkon ke saye, Wahan ab koi saaya nahin hai, Zamana dekhta hai har tamasha, Yeh larka khel se thakta nahin hai, Hazaron sheher hain hamraah us ke, Musafir sheher mein tanhaa nahin hai, Yeh kese khawb se jaagi hain ankhain, Kisi manzar pe dil jamta nahi hai, Jo dekho to har ik jaanib samandar, Magar peeney ko ik qatra nahin hai, Khudaa ki hai yehi pehchaan shayed, Ke koi aur us jesa nahin hai..
|