December 22, 2024, 12:21:32 AM

Show Posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.


Topics - Gujjar NO1

Pages: 1 ... 6 7 8 9 10 [11] 12 13 14 15 16 ... 25
201
Pics / sleepnig dogsss
« on: November 27, 2011, 12:27:29 PM »
wooooooooooooo :surp:
baleeeeeeeeeeeeeeeeee :D:

202
Shayari / Kaisay kahoon
« on: November 26, 2011, 01:45:34 PM »
Kaisay kahoon k apna bana lou mujhey
 bahoun mein apni sama lou mujhey

 Bin tumharey aik pal bhi ab kat-ta nahin
 Tum aa ker mujhi say chura lou mujhey

Zindagi tou woh hai sang tumharey jo guzrey
 Dunya kay gamoun say ab chura lou mujhey

Meri sab say gehri khuwahish hou puri
 Tum agar pass apnay bula lou mujhey

Yeh kaisa nasha hai jou behka raha hai
 Tumhara hoon mein tou sambhalo mujhey

Najanay phir kaisay guzrey gi zindagani
 Agar apnay dil say kabhi tum nikalo mujhey…

...

203
Shayari / Aisi lagi udaas shaam
« on: November 26, 2011, 01:43:09 PM »
Aisi lagi udaas sar-E-shaam zindagi
 Jaisay kisi ki aankh ka ilzam zindagi

 Apne jahan main daikha tere baad kuch nehi
 Hum ne laga di aaj tere naam zindagi

 Jis k bina ye saans mujhay doobti lagi
 Ja k usay bhi dhoond kisi shaam zindagi

 Ye pyar dard na ban sakay jis k nashay main
 Mujh ko pila de aaj wohi jaam zindagi

 Ab doston k haath mere haath main nahi
 Girnay laga hoon aaj mujhay thaam ZINDAGI

204
Shayari / ‘Hamare samne Tum ho
« on: November 26, 2011, 01:35:46 PM »
Chalo khwabun main milte hain,
 k neenden baant laite hain,


zamane ki nazar se door ja kar ghoom aate hain,
 Nayi duniya basate hain jahan,

 Na koi rokne wala,
 Na koi tokne wala,

 Na koi khoaf duniya ka,
 Na koi dar zamane ka


Jahan barish Mohabbat ki hamen madhosh kar jaye,
 Tumhare samne Main hun

 ‘Hamare samne Tum ho’
Chalo iss zindgani main Amr kr lein iss kahani ko,

 Tou phir khwabun main milte hain’
Mohabbat Oarr laite hain

205
Shayari / Tum to bicher gaye
« on: November 23, 2011, 02:24:50 PM »
Tum to bicher gaye magar sapnay wohi rahay,
Maosam badal gaye magar manzar wohi rahay,


Hoti rahin sergoshian tanhaioun k saath,
Lehrain badal gaien magar sahil wohi rahay,


Kuch aisay  taqdeer ne faisley kiye,
Duaien badal gaien magar daman wohi rahay,


Hum chah k b umar bhar wohi rahay,
Umr beat gai magar jazbay wohi rahay,


Kia hua jo rishtoon ki pehchan badal gäyi,
Hum b wohi rahay aur tum b wohi rahay…

206
Shayari / Pyar Chupta Nahi
« on: November 23, 2011, 02:21:46 PM »
Laakh miltay hain hum bahanay say
 Pyar chupta nahi chupanay say

 Ummar guzari hay dar-badar apni
 Hum hillay thay zara thikanay say


Aik jadu sa kar gaye mujh par
 Kuch makaan thay puranay say


Baat karta raha main us say magar
 Baat banti nahi bana’nay say


Ho jo mumkin to yeh bhi kar dekho
 Tum nikalo humain fasanay say


Meri chahat main bhi woh baat na thi
 Woh bhi rukhsat hua bahanay say


Yeh bhi rakha hay dhiyaan main hum nay
 Teer palta agar nishanay say

207
Shayari / Bahar ki Rut me
« on: November 22, 2011, 02:40:29 PM »
Bahar ki Rut me ujrey rasty,
 Chala kro gy to Ro paro gy…


Kisi se milny ko jab bhi ,
 Sajja karo gy to Ro paro gy….


K chaand raton me ab kisi se,
 Mila karo gy to Ro paro gy…


Barasti barish me yad rakhna,
 Tumhe stayein gi meri ankhen…


Kisi Wali k mazar par jab
 Dua karo gy to Ro paro gy…

208
Shayari / Yeh pal pal ka chalna
« on: November 22, 2011, 02:38:16 PM »
Yeh pal pal ka chalna, fasila khatam na karega,
 Tum kitna bhi chaho, tumhe woh kal na milega!


Yeh koi gaata hai, ya namaaz padta hai,
 Tum kitna bhi chaho, tumhe alag khuda na milega!


Yeh guzarti hui raat hai, ya nikalti hui sehar,
 Tum kitna bhi chaho, tumhe humsafar na milega!


Yeh Baarish ki boondein hain, ya aankhon ke aansoon,
 Tum kitna bhi chaho, inhe thaamne wala na milega!


Yeh dil ke tukde hain, ya aap ki yaadein,
 Tum kitna bhi chaho, tumhe marham na milega!


Yeh dil mein armaan hain ya sulagte hue sholey,
 Tum kitna bhi chaho, tumhe sehra mein paani na milega!


Yeh kaisi uljhan ban gayee hai, dil ki dhadkan,
 Tum kitna bhi chaho, tumhe sukoon na milega

209
News Khabran / Happy birth day proud 2 B a k@ur
« on: November 21, 2011, 07:40:22 AM »
aaj sadhi buhat payari user da janam dinn aa aa jau sare rall ke happy birthday wish karde aa.
happy birthday proud 2 B a k@ur.rabb thuadi umar 102 saal di kare.
Happy Birthday



210
Jokes Majaak / open ur punjabi jant
« on: November 20, 2011, 11:32:47 AM »
Chatting chatting…

 Yes Papaaaa

 with new girlfriends..

 No Papaaa

 telling lies….

 No Papaaa

 open ur punjabi janta…

 ha..ha..ha… :D: :D:

211
Shayari / Nigahon k Tasadum Se
« on: November 20, 2011, 11:26:50 AM »
Nigahon k Tasadum Se Ajab
 takrar Kerti Hy


Yaqeen Kamil Nahi Lekin Guman
 Hy Pyar Kerti Hy


Laraz Jata Hoon Main Ye Soch k
badnam Na Ho Jao n


Tabiyat Us ki Pooja Pe Bara
 Israar Krti Hy


Usay maloom Hy Shayad Mera Dill
 Hy Nishane Per


Labo n se Kuch Nahi Kehti
 Nazar Se Waar Kerti Hy


Main Us Se Poochta Hoon Khwab
 Mein “Mohabbat Hy Mujh Se ”


Phir Aankhein Khol Deta Hoon
 jab Wo Izhaar Kerti Hy

212
Jokes Majaak / physics student proposing chemistry Girl
« on: November 20, 2011, 11:17:42 AM »
A physics student proposing a chemistry Girl:
 I love u more than an electron wants to attract a proton.
 Girl:
 Oye carbon monoxide! apna conical flask jesa munh le k foran yahan se reduce ho ja, warna tujhe esa oxidise karun gi k tu reaction k qabil bhi nai rahey ga. Kambakht, Graphite ki aulad.

213
Shayari / Wafa Zaroori Hoti Ha
« on: November 20, 2011, 11:06:24 AM »
Chahat Me Jo Thori Si Doori Hoti Hai
 Doston Ki Bhi Koi Majboori Hoti Hai

 Rishta Chahat Ka Ho Ya Dosti Ka
 Har Rishte Me
 Wafa Zaroori Hoti Ha

...
punjabi
”Tu Lakh Bhula K Vekh

 Sanu”

 ”Assi Yaari Fir V Nibhawaan Ge”

 ”Tu Paani P P Thak Ja Si”

 ”Assi Hichhkiyan Ban Ban Aawaan Ge” :smile:

214
Shayari / hasil ki kita
« on: November 17, 2011, 11:31:07 AM »
Parh Parh Kitaaban Ilam Diyan Tu Naam Rakh Liya QAAZI,
 Hath Vich Phar Ke Talvaar Tu Naam Rakh Liya GHAZI,
 Makkay Madinay Ghoom Aaya Tay Tu Naam Rakh Liya HAAJI, ” BhULLY SHAH
 Haasil Ki Kita,?
 Je Tu Yaar Na Rakhya RAAZI

215
Shayari / Gham-E-Hayaat
« on: November 15, 2011, 07:43:02 AM »
Gham-E-Hayaat Ka Jhagra Mita Raha Hai Koi

Chale Aoo Duniya Se Ja Raha Hai Koi

Azal Se Keh Do Ruk Jayee Do Ghari

Suna Hai Aane Ka Wada Nibha Raha Hai Koi

Wo Is Naaz Se Bethe Hain Laash K Pass

Jese Ruthay Hoe Ko Mana Raha Hai Koi

Palat Kar Na Aa Jayen Phir Saans

Itnay Haseen Hathon Se Mayyat Saja Rha Hai Koi

216
Shayari / Zinda tha to kisi ne na pucha
« on: November 15, 2011, 07:37:43 AM »

Zinda tha to kisi ne na
pucha haalat-e-jigar
Ab mar gaye hain to
 mitti main dabanay aagaye

Chor k dunya ko
 madhosh huye thy hum,
Woh na janay kya soch kar
 humko jaganay aagaye,

Na janay kis se pucha hai
wafa na pata mera
Meri qabar pe bhi
 humko jaganay aagaye,

Hum to andhere main
 sonay k aadi they,
Or woh bewafa meri
qabar per diye jalanay aagaye.

217
Jokes Majaak / kasi ka mobile lo
« on: November 14, 2011, 05:13:19 AM »
Duniya kA Sabse Bara Terrorist Hamla..

 “Kisi kA mObile lo,

 Phone Book & InbOx me ja k ‘Delete all’

 kar dO..

 Phir uska chehra dekhO

 Or

 thOra sa Muskura dO :he:

WIFE AND HUSBAND

Wife 2 husband

 Zara kitchen se namak lana

 Husband

 Yaha to koi namak nhi hy

 Wife

 Mjhe pta tha Tm to ho hi andhe Tmhe nhi milega

 Is lye pehly hi le i thi :angr:

218
Travel / 1 BILLION DOLLAR PROJECT
« on: November 14, 2011, 04:49:02 AM »
1 BILLION DOLLAR PROJECT DURRAT AL BAHRAIN

219
Beauty Fashion LifeStyle / Candice Swanepoel Worlds Top Earning Model
« on: November 14, 2011, 04:37:36 AM »
Candice Swanepoel Worlds Top Earning Model(new) :smile:

220
Love Pyar / Sparrow and White Rose
« on: November 14, 2011, 04:32:19 AM »
A sparrow was in love with white rose.
one fine day the sparrow proposed the white rose.
the white rose told her that when he turns red he'll love her.

Then sparrow tore her body and slowly spread her blood on the white rose,
the rose turned red and fell in love but the sparrow was no more.

Pages: 1 ... 6 7 8 9 10 [11] 12 13 14 15 16 ... 25