This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.
Topics - Gujjar NO1
Pages: 1 ... 4 5 6 7 8 [9] 10 11 12 13 14 ... 25
161
« on: April 17, 2012, 11:01:42 PM »
loki kehnde sara dosh taqdeer da si mere dukh kehnde teri tasveer da si
mere dill vich vassdi yaad odhi main paband zamane di zanjeer da si
ankha de hanjo wagde pe ne mere tu wada dukh dille dilger da si
beyleee majhyan chogaan da shok nahi si ranjhe jogi hoya vela(time)sara heer di si
har dukh nu asi chupande rhee ashfaq qaid apni taqdeer di si
162
« on: April 11, 2012, 05:00:27 AM »
kuch khyaala ne buhe kole a ,,,,, kuch akha ne janjhu dole a,,,, pta nahi kiss ne ake meri roh nu jagiya,,,,, tahi ta mere zakham ajj mere nal bole aa....
163
« on: March 29, 2012, 11:28:19 AM »
164
« on: March 16, 2012, 02:32:42 PM »
Video not available !! Removed bye You tube
165
« on: March 05, 2012, 10:05:18 AM »
Wohi qissay hain ,wohi baat purani apni
Kon sunta hai bhala ram kahani apni
Har sitamger ko ye hamdard samajh leti hai,
Kitni khush-feham hai kambakht jawani apni,
Roz miltay hain darechay mein naye phool mujhe,
Chorrh jata hai koi roz nishaani apni
Tum Se Bichrey Hain To Paya Hai Biyanbaan Ka Sakoot
Warna Daryaon Se Milti Thi Rawani Apni
Dushmano’n se hi gham-e-dil ka madawa mange’n
Dosto’n ne tou koi baat na maani apni
Aaj phir chand ufaq per nahin ubhra Mohsin
Aaj phir raat na guzrey gi suhaani apni
166
« on: March 01, 2012, 12:28:15 PM »
Ek Din Ka 24 Ghanta, Usme 9 Sone Ke, 9 Kamaane Ke, 1 Travelling Ka, 1 Toilet Ka, 2 Khane Peene Ke, 2 Family Ke Liye, Apne Liye Bacha Kya? Ghanta! :he:
167
« on: March 01, 2012, 11:35:45 AM »
Har Zakham Ki Aaghosh Main Hai Dard Tumhara Har Dard Me Taskeen Ka Ehsaas Bhi Tum Ho, Kho Jao To Weeran Si Ho Jaati Hain Rahein, Mil Jao To Phir Jeena Ka Ehsaas Bhi Tum Ho, Likhta Hoon To Tum Hi Utarta Ho Qalam Se, Parhta Hoon To Lehja Bhi Tum Aawaz Bhi Tum Ho ...
168
« on: February 23, 2012, 10:46:47 AM »
169
« on: February 19, 2012, 06:34:49 AM »
aa jau jenu jenu bukh laghi va saag naal makki di roti :smile:
170
« on: February 17, 2012, 06:22:03 AM »
Koi dhond esa hmsfar
“jse tu apna bna ske” Tu kahe k rat hy.. “Or wo chandni luta ske” Tere ansuon ko wo smet le.. “K koi na tjko rula ske” Teri rah me jo ho mushklen.. “Apni palkon se hta sky” Wo ho tere itna qreb k.. “ksi ki yad b na tjko asky” Tje rkh le apny hisar me “K tjko na koi chura sky”
171
« on: February 12, 2012, 08:51:36 AM »
doctor ne mareez se kaha.main ek mahinay se 50 rupee ki rozana dawa kha raha hun lekin muje koi fayda nazar nahi aa raha. doctor …..acha to main ap ko kal se 40 rupee ki dawai dun ga. jis se ap ko roz ka 10 rupee ka fayda nazar aye ga. :D:
172
« on: February 12, 2012, 08:45:27 AM »
Ye Jo Zindagi KiKitab Hai” Ye Kitab KyaKitab Hai? Kaheen ik Haseen Sa Khwab Hai .Kaheen Jaan-LevaAzaab Hai. Kbi Kho Lia,Kbi Paa Lia, Kbi Ro Lia,Kbi Gaa Lia, Kaheen RehmatonKi Hain Baarishein Kaheen TishnagiBe-Hisaab Hai. Kaheen Chaaon Hai. Kaheen Dhoop Hai. Kaheen Or Hi Koi Roop Hai. Kaheen Cheen Laiti Hai Her Khushi. Kaheen MeharbanBe-Hisab Hai. Ye Jo Zindagi Ki Kitab Hai.. Ye Kitab KyaKitab Hai.
173
« on: February 06, 2012, 08:29:04 AM »
Ab mohabbat ki wakalt nahin ki ja sakti
Sheher bhar say to adawat nahin ki ja sakti
Mera chehra meri aankhen hn salamat ab bhi
Kon kehta hey key wazahat nahin ki ja sakti
Baat yeh hey key koi toot key chahey to sahe
Har kisi say to mohabbat nahin ki ja sakti
Ankh kehti hey kahin aur chalen jaen hum
Dil yeh kehta hey ky hijrat nahin ki ja sakti
Loh-e-dil pay yeh tehrer likhi hey SAQI
Ishq walon ko nasehat nahin ki ja sakti
174
« on: February 06, 2012, 08:04:07 AM »
Hasde Ne Avein, Hass Ke Ruwa Jande Ne Lok, Milde Ne Avein, Mil Ke Juda Ho Jande Ne Lok, Pal Do Pal Di Mohabbat Nu Umra Da Sath Na Samjhna, Mohabbat Vi Karde Ne, Te Khafa Vi Ho Jande Ne Lok, Naseeban Ch Pyar Nahi Si, Jo Mainu Milya Hi Nahi, Kar Ke Izhaar E Mohabbat Vi Beparvah Ho Jande Ne Lok, Hun Kis Ton Shikva Kariye Apni Mohabbat Da, Kar Ke Wafa Da Vaada, Bewafa Ho Jande Ne Lok
175
« on: February 03, 2012, 11:37:25 PM »
176
« on: February 03, 2012, 11:33:08 PM »
Le babula ajj eh din aaya, Khushiyan naal tera vehda mehkaaya. Bajjan shenaiyan hun chaaron paase, Khidd de mukh dinde dil nu dilaase. Par sukki jaandi meri jind nimaani, Pal vich kiven ho gayi begaani. Kal tak si jo mera sara apna, Chadd ke challi jiven do pal da sapna. Hun aauna yaad tera palkan te bithauna, Russi hoi nu pyaar naal manauna. Galtiyan hon te sehaj naal samjhauna, Poonj ke hanju gall naal launa. Jad aai sewa karan di meri baari, Khadey sii bhuhey bahar laike savaari. Jinnhe marzi tarle kar laye eh dhee pyaari, Hun tan maarni hi pau udaari. Assesan laike teriyan hun challi ghar paraaye, Pai gayi us raste jo menu tu dikhaye. Izzataan nu chaar chand sabde main laavangi, Kuj is taran farzaan nu apne mein nibhavangi.
177
« on: January 30, 2012, 05:52:40 AM »
Buraa Ho Ya Bhla Koi Kisi Se Kya Gharaz Hum Ko Kya Apnoon Ki Kami He Jo Karein TARI Baatein!!!
Lagaayaa Dil Agar Hum Ne ,Zamaana Kya Kahaiga Phir Ye Sub Hain Baad Ki Ab To Na Kar Mohabat Ki Baatein!!! Yahaan Par To Sunaa He Ke Hote Hain Kaan Diwaaroun Ke Kisi Ke Saamne Kaise Karein Ashfaq Ki Baatein!!! Ye Qol O FAil Main Janaan He Kyon Itnaa TazAAd Aakhir Kisi Se Pyaar Karta He Kisi Se Pyaar Ki Baatein!!! Teri Nazroun Main Jab Se Pyaar Ki Dekhi Jhalak Hum Ne Buri Lagti Nahi Hain Ab Hamain Ashfaq Ki Baatein!!!! ... Labon Pe Haraf Na Sawal Rakhta Tha Kabhi Main Zabat Main Itna Kamal Rakhta Tha !!! Khabar Kahan Thi Mujhe Hi Wo Bhool Jaye Ga Ek Ek Cheez Meri Jo Sambhal Rakhta Tha !!! Bichertey Waqat Bazahar To Kuch Na Bola Tha Magar Nigha Main So So Sawal Rakhta Tha!!! Wo Muskura Ke Bohat Dair Chup Raha Jase Hansi Ki Ar Main Malala Rakhta Tha !!! Suna Hai Ab Bhi Log Use Bohat Satate Hain Jis Ek Shaks Ka Main Bohat Khayal Rakhta Tha!!![/color][/font][/b]
178
« on: January 23, 2012, 06:50:03 PM »
Mere chehare pe gazal likhatii ga_ii.n Sher kahatii hu_ii aa.nkhe.n us kii
Shokh lamho.n kaa pataa dene lagii.n Tez hotii hu_ii saa.nse.n us kii
Aise mausam bhii guzaare ham ne Subahe.n jab apanii thii.n shaame.n us kii
Dhyaan me.n us ke ye aalam thaa kabhii Aa.nkh mahataab kii yaade.n us kii
Faisalaa mauj-e-havaa ne likkhaa Aa.ndhiyaa.n merii bahaare.n us kii
Niind is soch se tuutii aksar Kis tarah katatii hai.n raate.n us kii
Duur rah kar bhii sadaa rahatii hai Mujh ko thaame hue baahe.n us kii[/font][/color][/b]
179
« on: January 22, 2012, 05:41:50 AM »
180
« on: January 14, 2012, 06:38:53 AM »
Bohat farsoda lagte hain mujhe ab yaar ke qissey
Gul o gulzaar ki baatien, Lab o rukhsaar ke qissey.
Yahan sab ke muqaddar mein faqat zakhm e judai hai,
Sab hi jhootey fasaney hain wisaal e yaar ke qissey.
Bhala ishq o mohabbat se kisi ka pait bharta hai,
Suno tum ko sunata hoon main karobaar ke qissey.
Mere ehbaab kehte hain yehi aik aib hai mujh mein,
Sar e deewar likhta hoon pas e deewar ke qissey.
Main aksar is liye logon se jaa kar khud nahi milta,
Wohi bekaar ki baatien wohi bekaar ki qissey
... sab jothey rishtee
Kab kaun kisi ka hota hai Sub jhootey rishtey naate hain… Sub dil rakhney ki batein hain Sub asal roop chhupate hain… Ikhlaq se khali log yahan Lafzon ke teer chalate hain… I baar nigahon mein aakar Phir saari umar rulate hain… Who jis NE diye hain ashk humein AB us ko bhool hi jaate hain
Pages: 1 ... 4 5 6 7 8 [9] 10 11 12 13 14 ... 25
|