Seeny se laga k kaha kerti thi maa mujh ko
to laaal hai na sata mujh ko
pachtaye ga ik din jab main chali jaun gi
na chahty hue bhi akela choor jaun gi
zamana dikhaee ga garmi ki shiddat tujh ko
yaad kerke roye ga tu phir mujh ko
muddad se meri maa ne seeny se nahin lagaya a
ab so gayi khaak main jab kuch kehny ka waqt aya :sad:
Tappti Dhuup Mai Ban K Saya
Har Dukh Se Mujhay Bachaya
...Khud Ghamuun K Pahar Uthaiy
Sare Sukh Mujh Ko Pohanchaiy
Insaniyat Ki Pechaan Hai Woh
Koi Aur Nahi Sirf MAA Hai Woh
Achi Buri Har Baat Bataie
Haq Ki Sachi Raah Dikhaie
Kia Bhala Hai Aur Kia Bura
Uss Ne Humain Pechan Karaie
Har Mushkil Ki Dhallaan Hai Woh
Koi Aur Nahi Sirf MAA Hai Woh
Woh Jiss Ki Dua Har Dam Saath Rahay
Sham Dhalay Tak Jo Meri Rah Takay
Dil Mai Jo Hazar Armaan Sajati
Apni Olad Ki Khushiyan Hai Chati
Qudrat Ka Inaam Hai Woh
Koi Aur Nahi Sirf MAA Hai Woh