This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.
Messages - Pangeybaz Ashu
Pages: 1 ... 26 27 28 29 30 [31] 32 33
601
« on: January 29, 2008, 04:16:58 AM »
haye sohneye nii haye sohneye, main terai supniya chh wasda haa , kaddi koshish tai kar mainu vekhan di, dil nu sambhal k rakh , yaar aan gai tainu milan soneye, terai saha chh sadde sah sohneye, sajjan terai kol nai soneye.....
(written by me for u ) mainu nai pata koi sence bani k nai........
602
« on: January 29, 2008, 04:11:59 AM »
Kia kahon tumhain? khuwab kahon to bikhar jaoge! dil kahon to toot jaoge! Lo, tumhara naam zindagi rakh deti hon..! Maut se pehle hamara sath na chor paoge…!!
603
« on: January 29, 2008, 04:09:15 AM »
apne dil ki awaz sun afwaon se kaam na ley mujhe yaad kar beshak mera naam na ley
tera weham hai ke hum bhool gaye tujhe meri koi sans aisi nahi jo tera naam na ley.
604
« on: January 29, 2008, 04:06:31 AM »
Wo mujhse meri udasion ki waja pochta he, kaisee pagal he dhalti rat k sannate ki wajah pochtee hai,
Wo mujhse meri barsati aankhon ki waja pochta hai, kaisee pagal hai barish k barasne ki wajeh pochtee hai,
Wo mujhse meri pasand k bare me pochta hai, kaisee pagal hai khud apne bare main pochtee hai
san
605
« on: January 29, 2008, 03:59:22 AM »
SMS ban ke chala ja tu Gulab, hogi sachi dosti to aye ga jawab,
agar na aaye to tu mat hona udas, tu samajah lena hamare liye waqt nahin hai unke pass
606
« on: January 29, 2008, 03:58:23 AM »
SMS ban ke chala ja tu Gulab, hogi sachi dosti to aye ga jawab,
agar na aaye to tu mat hona udas, tu samajah lena hamare liye waqt nahin hai unke pass
607
« on: January 29, 2008, 03:51:58 AM »
Panchi keh rahey hain k hum chaman chor denge, aur sitare keh rahey hain ki hum gagan chor denge,
Agar tere ishq mein main mar bhi jaun ae sanam, Tum dilse pukar lena hum kafan chor denge
608
« on: January 29, 2008, 03:38:52 AM »
Dil ki nazuk dhadkano ko Mere sanam tumne dhadkana sikha diya
Jab se mila hai tera pyaar dil ko Gham ne bhi muskurana sikha diya.
609
« on: January 29, 2008, 03:08:08 AM »
Humne Chaand se pooha teri Chaandni ka raaz kya hai? Chaand ne aapki taraf Ishara kar ke kaha, Inhi say pucho jisay dekh kar mein chamakta hoon
610
« on: January 29, 2008, 03:06:08 AM »
Na to yaado ko yaad rakhte hain Na hi sapno ko saath rakhte hain
Hum to buss unko yaad rakte hain Jo hamein dil ke pass rakhte hain
611
« on: January 29, 2008, 03:02:55 AM »
In jheel si gehri aankhoon main ik sham kahin aabad to ho
is jheel kinaray pal do pal ik khawab ka neela phool khilay wo phol baha dain lehroon main ik rooz kabhi hum sham dhalay is phol k behtay rangoon main jis waqt larazta chand chalay us waqt kahin un aankhoon main is basray pal ki yaad to ho
In jheel si gehri aankhoon main ik sham kahin aabad to ho
phir chahay omer samander ki her maoj parayshan ho jaye phir chahay aankh darechay say her khawab gurayzaan ho jaye phir chahay phool k chehray ka her dard nomayan ho jaye is jheel kinaray pal do pal wo roop nagar eejad to ho din raat k is aaeynay say wo aks kabhi aazad to ho In jheel si gehri aankhoon main ik sham kahin aabad to ho
612
« on: January 29, 2008, 02:59:52 AM »
Kab kaun kisi ka hota hai Sub jhootey rishtey naate hain…
Sub dil rakhney ki batein hain Sub asal roop chhupate hain…
Ikhlaq se khali log yahan Lafzon ke teer chalate hain…
I baar nigahon mein aakar Phir saari umar rulate hain…
Who jis NE diye hain ashk humein AB us ko bhool hi jaate hain…
613
« on: January 29, 2008, 02:57:34 AM »
Ye dard mit gaya to phir? Ye zakhm sil gaya to phir…? Bichhar kar sochta hoon main, Wo phir se mil gaya to phir…?
Main titliyon k shehar mein, Rahoon to mujh ko fiker hai… Wo phool jo khila nahi, Wo phool khil gaya to phir…?
Tujhe bhi kuch nahi mila, Mujhe bhi kuch nahi mila… Tamam umer k liye, Ye dard mil gaya to phir…?
Main is liye to aaj tak, Sawal bhi na kar sake… Agar mere sawal ka, Jawab mil gaya to phir…?
614
« on: January 29, 2008, 02:54:08 AM »
Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai jahan bhi jaoon yeh lagta hai, teri mehfil hai
yeh aasmaan, yeh badaal, yeh raste, yeh hawaa har aik cheez hai apni jagha thikane pe kaii dino se shikayat nahi zamane se
Yeh zindagi hai safar, tu safar ki manzil hai jahan bhi jaoon yeh lagta hai, teri mehfil hai Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai
tere bagair jahaan main koi kami si thi bhatak rahi thi jawani andheri raahoon main sukoon dil ko mila aa k teri baahoon main main aik koi hui mouj hoon, tu sahil hai jahan bhi jaoon yeh lagta hai, teri mehfil hai
Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai
tere jamaal se roshan hai kainaat meri meri talash teri dilkashi rahe baki khuda kare k yeh deewangi rahe baki teri wafaa hi meri har khushi ka hasil hai jahan bhi jaoon yeh lagta hai, teri mehfil hai
Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai
615
« on: January 29, 2008, 02:50:53 AM »
Saath chalne main jo maza hota Woh humain bhi kabhi mila hota
Yeh hi hasrat rahi hamari faqat Saath apne koi chala hota
Hum bhatakte rahe the raahon mein koi rasta pata chala hota
Thaam leta humain bhi barh ke koi Haath hum ko koi mila hota
Hum ulajhte nahi zamane se Ek jo Humsafar mera hota
Hum na thakte safar mein gar Saath apne koi chala hota
616
« on: January 29, 2008, 02:49:00 AM »
Wafa ruswa nahi karna…
Suno aisa nahi karna
Mai pehle hi akela hu
Muje tanha nhi karna,
Judai aa b jaye to
Ye dil chota nhi karna
Bohat musroof ho jana
Muje socha nhi karna,
Barosa b zarori hai
Magar sub ka nhi karna
Muqadar to muqadar hai
kabi shikwa nahi karna
Meri takmeel tum se hai
muje adha ni karna
suno asa soocha nahi kerna.
617
« on: January 29, 2008, 02:46:11 AM »
Chahat ki mehfil main bulaya hai kisi ne, Khud bula ker phir sataya hai kisi ne, Jab tak jali hai shama jalta raha parwana, Kiya is tarhan saath nibhaya hai kisi ne
Armaan mere raiza raiza hogaye hain, Yun kil k aangan say giraya hai kisi ne, Aag lagi hai dasht main koi kiya bhujaye ga, Dil is tarah say aaj jalaya hai kisi ne,
Dil rota hai raat bhar yaad kar k kisi ko, Is tarhan ulfat main zakham khaya hai kisi ne, Sangdil jo tha aaj woh bhi ro parha Us ko bhi tarpaya hai kisi ne,
618
« on: January 29, 2008, 02:42:20 AM »
kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch dil se nikli hui honton me dabi baat na pooch
wo kis adaa se merey saamnay se guzree abhi kis tarha mainay sambhaley merey jazbaat na pooch
waqat jo badley to insaan badal jaatey hain kya nahi dikhlaatey yeh gardish-e-halaat na pooch
wo kisi ke ho bhi gayee or mujhey khabar na hui kis tarhan usney chudaya hai mujh se haath na pooch
Is tarhan pal mein mujhay begana kar diya usnay Kis tarhan apno se khaai hai mainey maat na pooch
ab tera pyaar nahi hai to sanam kuch bhi nahi kitni mushkil se bani thi dil ki kayenaat na pooch [/color][/b]
619
« on: January 29, 2008, 02:38:57 AM »
Kaisay kahoon k apna bana lou mujhey bahoun mein apni sama lou mujhey
Bin tumharey aik pal bhi ab kat-ta nahin Tum aa ker mujhi say chura lou mujhey
Zindagi tou woh hai sang tumharey jo guzrey Dunya kay gamoun say ab chura lou mujhey
Meri sab say gehri khuwahish hou puri Tum agar pass apnay bula lou mujhey
Yeh kaisa nasha hai jou behka raha hai Tumhara hoon mein tou sambhalo mujhey
Najanay phir kaisay guzrey gi zindagani Agar apnay dil say kabhi tum nikalo mujhey [/color][/b]
620
« on: January 29, 2008, 02:35:54 AM »
Humesha muskura kay aansooun ko chupaya Ghum ko chupanay ka yehi rasta nazar aaya
Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab Kay derd-e-dil dil main kis nay jagaya
Mehfilon main kahin bhi maza na raha Rakha dil pay pather to khud ko sajaya
Baat bay baat apni aahain daba ker Yaron kay dermiyan kis qadar muskuraya
Na thi chah kabhi mujahy mankashi ki Jaam-e-wafa kisi bay wafa nay pilaya
Kya muqadar say shikwa kertey rahain Jo qismat main tha wohi kuch to paaya
Yeh kis mor pay aagaee hain umeedain Kay saaya-e-manzil nazar main na aaya
Apnoon nay palat kay daykha tak nahin Ghairon nay aaker galay say lagaaya
Acha hua kay raaz khul hi gaya Dil-e-nadaan pay khanjar kis nay chalaya
Shab-o-roz chahat sila yeh hay shaiki
Pages: 1 ... 26 27 28 29 30 [31] 32 33
|