This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.
Messages - Pangeybaz Ashu
Pages: 1 ... 4 5 6 7 8 [9] 10 11 12 13 14 ... 33
161
« on: February 15, 2008, 01:16:34 PM »
To hum bewafaa.... Apki yaad na aye. to hum bewafa... Aap bulao aurhum na aye. to hum bewafa.... Hume marne ke liya kanzar ki zaroorat nahi.. Ek baar nazar pher lo hum na marjaye..... To hum Bewafa...
162
« on: February 15, 2008, 07:59:30 AM »
Kabhi to waqt se pehle aaya karo, Apni awaz sunaker haale dil bayaan karo, Hum to rehte hain aap hi ke khayalon mein, Kabhi aap bhi humara khayal kiya karo. Hathon se girr gaee lakiren kahin, Bhool aaye hum apni takdeer kahin, Agar tumhe mile to utha lena, Mere hisse ki har khushi hathon mein saja lena. Apni Marzi se kahan apne Safar ke Hum hain Rukh Hawaaon ka jidhar hai, udhar ke Hum hain
Pehle her Cheez thi apni magar ab lagta hai Apne hi ghar mai kisi Dusre Ghar ke Hum hain
Waqt ke saath hai Mitti ka Safar Sadiyon tak Kisko Maloom kahan ke hain, kidhar ke Hum hain?
Chalate rehte hain k chalna hai Musaafir ka Naseeb Sochte rehte hain k kis Rah-Guzar ke Hum hain
Gintiyon mai hi gine jate hain her Daur mai Hum Her Qalam-kaar ki Benaam khabar ke Hum hain Aa bhi jaao ki zindagii kam hai.. Tum nahin ho to har khushi kam hai Chehre se hata naqaab, ki duniya bhi jaane ki qayamat kya hai Chupke se koi dil mein sama jata hai.. Jaise hume tadpaane mein mazaa aata hai.. Koi itna dard de jaata hai.. Par kambakht dil ko ussi pe hi pyaar aata hai.. Teri baahoon mein simatne ki chahat hain tere saath mein lipatne ki chahat hain khuda do ek nazar dekhne ke baad tujh par mar mitne ki chahat hain tere saath guzara har lamaha apna har pal tere saath rahane ki chahat hain tum pyar bhari ek nazar dalo mujpar in aakhon ke saagar main dubne ki chahat hain chakh liya zaayeka-e-shayari jab se, lafzon me tarannum si aa gayi hai, arz-e-zubaan-e-ishq machal hi jati hai jab bhi tere chehre ki tabssuum yaad aati hai....!!! jee chaahta hai tumse pyari si baat ho, khaamosh taare aur lambi si raat ho, phir saari raat tumse hum kahte raheN, ki tum meri zindagi tum meri qayenaat ho!! wo zindagi hi kya jisme pyar nahi, wo pyar hi kya jisme yaden nahi, wo yaden he kya jisme tum nahi, wo tum hi kya jisme hum nahi. jab bhi main khud ko samjhaooN, tu mera nahi hai, dil mein koi cheekh uthta hai, nahi aisa nahi hai, kab utarta hai koi dil mein utar jaane ke baad, ki is gali ke doosri jaanib koi aur raasta nahi hai. Kaash aisa ho ki tumko tumse chura loon, waqt ko rok kar waqt se ek din chura loon, tum paas ho to is raat se ek raat chura loon, tum saath ho to is jahan se ye jahan chura loon. Mayoos mat hona yeh aik gunnah hota hai Milta wahi hai jo qismat main likha hota hai
Har cheez miley humain yeh zaroori tou nahi Kuch cheezon ka zikar doosre jahan main hota hai
Jo khud ko kostey hain woh shayed bekhabar hain Kuch paalene ka ikhtiyar khud pe bhi hota hai
Har aik ko barsar-e-ilzam kiun thehrayein hum Apne samne bhi tou aik ayeena hota hai
Hum apni zindagi se kiun haar jayein Gar doobta hai sooraj tou kal bhi ujala hota hai [/b][/color] HAPPY VALANTINE DAY
163
« on: February 15, 2008, 07:03:59 AM »
kuch phool khile armano ke, ji bhar kar hum muskura na sake, dil khoon hua ro ro kar, hum aasun bhi baha na sake..... [/b][/color]
164
« on: February 15, 2008, 06:59:42 AM »
pyar ki andekhi surat ho tum, zindgi ki ek zaroorat ho tum, phool to khoobsurat hote hai, par phoolo se bhi zayada khoobsurat ho tum...... [/b][/color]
165
« on: February 15, 2008, 06:47:21 AM »
zindgi ka har ek shok pala nahi jata, sheeshe ke khilono ko ucchala nahi jata, mehnat or duao se nikal jati hai rahein, har kaam taqdir par tala nahi jata....... [/color][/b]
166
« on: February 09, 2008, 04:41:43 AM »
Toot jaate hain sabhi rishte mager Dil se dil ka raabta apni jagah Dil ko hai tujh se na milne ka yaqeen Tujh se milne ki dua apni jagah Mast nazron se dekh lenaa tha Ager tamanna thi aazmane ki Hum to behust youn hi ho jaate Kya zaroorat thi muskurane ki Chehrey per banawat ka gussa, Aankhon say chalakta pyaar bhi hai, Is shauq_e_ada ko kya kahiye Inkar bhi hai iqraar bhi hai, Kal mila waqt to zufain suljha doonga Aaaj uljha hoon zara waqt ke sulajhne main Yoon to sulajh jatee hain uljhee zulfain Umar kat jati hai waqt ke sulajhe main Dil ko manana gar hota aaasaaan Na karta kisi ko yoon ye pareshaan Tanha na rahta bhari mehfil main Na hoti woh halat jo ho na bayaan Khudaa jab husn deta hai Nazaakat aaa hee jati hai Kadam chun chun kar rakhti ho Kamar balkha he jaati hai
167
« on: February 09, 2008, 04:39:24 AM »
Kiss qadar kaam barha deti hain yaadein usski Neend aankhon se uraa deti hain yaadein usski
Main ne chaha jisko, ussko maalooom bhi nahi Mujhko deewaana bana deti hain yaadein usski
Main bukalatta hoon agar raat ke andhere mein Hosla aur bhi barha deti hain yaadein usski
Jab uthaata hoon nigahein kisi aur chehre ki taraf Dil mein ik toofaan uthaa deti hain yaadein usski
jab bhi dil mein hota hai gumaan usski rafaaqat ka Faasle aur barha deti hain yaadein usski
168
« on: February 09, 2008, 04:34:35 AM »
Main tab jaanuu mere dil sey chale jaao judaa hokar,
Yeh kyaa jaaney mein jaanaa hai, jaatey ho Khafaa hokar, Main tab jaanuu mere dil say chaley jao judaa hokar, Qayaamat tak udegii dil say uth-kar khaak aankhon tak, Isii raaste gayaa hai hasraton kaa kaafilaa hokar, Tumhiin ab dard-e-dil kay naam say ghabaraaye jaate ho, Tumhiin tou dil mein shaayad aaye thay dard-e-aashiyaan hokar Yuun hii hamdam ghadii bhar ko milaa kartey tou behtar thaa, Kay dono vaqt jaisey roz miltey hain judaa hokar,
169
« on: February 09, 2008, 04:33:03 AM »
Kaash kabhi hota yeh meray ikhtiar main maiN rang deta janan tujhe apnay peyar main
main itna peyar deta tujhe jan-e-arzoo tu khud ko bhool jati meray aitbaar main
tu jo kabhi bulati mulaqaat ke liye be-chain ho k phirti meray intizar main
main dair say jo aata naaraaz ho ke tum har baat ka jawab deeti inkaar main
tu jo kisi baat par mujh se rooth jati main tujhay manata bare israar main
maan kar tu mujh se sirf yehi kehti hai yaqeen nahin kami koi tere peyar main
kash kabhi hota yeh meray ikhtiar main main rang deta janan tujhe apnay peyar main [/color]
170
« on: February 09, 2008, 04:31:46 AM »
Dil ki zameen pe fir koi poda nahin laga tuj se biichar ke fir koi accha nahin laga,
batein vahii, zabaan vahii tarz bi vahii lehja magar mujhe tera waisa nahin laga,
aankhon pe aur zabaan par pabandiiya lagi lekin hamari soch pe pehra nahin laga,
itne fareeb khaye chaht ke naam par apna jo keh raha tha voo apna nahin laga [/color]
171
« on: February 09, 2008, 04:30:20 AM »
Meri jholi mein mohabbat kay sivaa kuchh bhi nahin,
Dil mein ab dard-e-muhabbat kay sivaa kuchh bhi nahin, Zindgii meri ibaadat kay sivaa kuchh bhi nahin, Main teri barah-gah-e-naaz mein kyaa pesh karuun, Meri jholi mein mohabbat kay sivaa kuchh bhi nahin, Ae Khuda mujh say na lay mere gunaahon ka hisaab, Mere paas ashq-e-nadaamat kay sivaa kuchh bhi nahin, Vo to mitt kar mujh ko mil hii gayi raahat varnaa, Zindgii ranj-o-musiibat kay siva kuchh bhi nahin, [/color]
172
« on: February 09, 2008, 04:28:19 AM »
Dil key aramaan hua chur-chur , hum ney tou key thi unsey bayinthihaa mohabaat, per unney aitbar nahi tha hamari mohabat per, kudh tou kinara hogayi aur hamey chod diya samandar ki laharoon mein baheney key liye. [/color][/color]
173
« on: February 08, 2008, 10:56:31 AM »
Door nigahon se baar-baar jaaya na karo, Dil ko is kadar tadpaya na karo, Tum bin ek pal bhi jee na sakenge hum, Yeh ehsaas baar baar dilaya na karo...
174
« on: February 08, 2008, 10:54:45 AM »
Door nigahon se baar-baar jaaya na karo, Dil ko is kadar tadpaya na karo, Tum bin ek pal bhi jee na sakenge hum, Yeh ehsaas baar baar dilaya na karo...
175
« on: February 08, 2008, 10:50:29 AM »
Hame pataa hai Aap bahut Bizzy hain, Zyaada nahi par thode se crazzy hain. Maana ke milna bahut mushkil hai, Per mobile pe sms karna to bahut Eazzy hai!
176
« on: February 08, 2008, 10:48:14 AM »
Jo bhi dukh yaad na tha yaad aaya, Aaj kya janiye kya yaad aaya,
Phir koi haath hai dil per jaise, Phir tera ahed-e-wafa yaad aaya,
Jis tarah dhund mein lipte hue phool, Ek ek naqsh tera yaad aaya,
Aisi majboori ke aalam mein koi, Yaad aaya bhi to kya yaad aaya,
Yaad aaya tha bicherna tera, Phir nahi yaad ke kya yaad aaya,
Jab koi zakham bhara daagh bana, Jab koi bhool gaya yaad aaya,
Ye mohabbat bhi hai kya rog, Jisko bhoole woh sada yaad aaya..!!!
177
« on: February 08, 2008, 10:44:06 AM »
Tumhe dekha tou jaana,jalwa kya hai aur khuda kya hai,
Tumhaari ankhon mein dekh kar jaana hya kya hai, Huee jab dosti tum say tou hum samjhey waffa kya hai, Zamaney bhar say sunder ho zamaney bhar say achhi ho, Tumhe achha kahoon jo main, bhala iss mein bura kya hai, Sunaa thaa ikk khuda hai per na aaya voh nazar ham ko, Tumhe dekha tou jaana,jalwa kya hai aur khuda kya hai, Jo roothey tum tou hum samjhey kay hum say zindagi roothi, Manaya tum ko tou jaana hum ney ,mananey mein maza kya hai,
$@N
178
« on: February 08, 2008, 10:40:13 AM »
Meri Aankhon Pe Marti Thi Meri Baton Pe Hansti Thi Na Janay Woh kaisi lerki Thi Mujhe Khonay Se Darti Thi
Mujhay Jab Bhi Woh Milti Thi Yahi Har Baar Kehti Thi Suno!! Agar Main Bhool Jaoon To Agar Main Rooth Jaoon To
Kabhi Wapis Na Aoon To Bhula Pao Gay Yeh Sab Kuch? Younhi Hanstay Raho Gay Kya? Younhi Sajtay Raho Gay Kya?
Yahi Batain Hain Bas Uski Yahi Yaadain Hain Bas Uski Yahi Chahat Hai Bas Uski Mujhy Bas Yaad Hai Itna!!!
Mujhay Woh Pyar Karti Thi Mujhay Khonay Se Darti Thi...!!!
179
« on: February 08, 2008, 10:36:59 AM »
Tum rooh mein shamil ho, Ragon mein rawa ho Magar mere hathon ki lakeeron mein kahan ho ?
---------------------------------------------
Din jo guzar gaye hai yunhi Raat bhi dhal gayi hai yunhi Koshish to bahut ki dil ne Zuban pe baat rah gayi yunhi
----------------------------------------------
Pareshaan Raat Saari Hai, Sitaro Tum To So Jaao Sakoot-e-Marg Taari Hai, Sitaro Tum To So Jaao Hanso Aur Hanstey Hanstey Doob Jaao Khayalon Mein Humain Ye Raat Bhaari Hai, Sitaro Tum To So Jaao Tumhein Kya Aaj Bhi Koi Agar Milney Nahin Aaya Ye Baazi Hum Ne Haari Hai, Sitaro Tum To So Jaao Kahey Jaatey Ho Ro Ro Ke Humara Haal Duniya Say Ye Kaisi Raaz Daari Hai, Sitaro Tum To So Jaao Humein To Aaj Ki Shab Po Phatey Tak Jaagna Ho Ga Yehi Qismat Humari Hai, Sitaro Tum To So Jaao Humein Bhi Neend Aa Jaye Gi, Hum Bhi So Hi Jayein Gey Abhi Kuch Be-qaraari Hai, Sitaro Tum To So Jaao ! $@N
180
« on: February 08, 2008, 10:34:04 AM »
Phir gujre lamho ki batein, Phir jagi-jagi si ratey, Phir thr gayi palko pe nami, Phir DIL ne kaha teri kami……. break:)
Mohabaat mein ibadaat ki thi uski hooton par naam uska, dil mein tasveer thi uski par mohabaat k badle mein humein mohabaat nahi mili jiss mehfil mein khade khade lut gaye, wo mehfil thi uski........’ Teri judai bhi hamein pyar karti hai, teri yaad bahot bekrar karti hai, vo din jo tere sath guzare the, talash unko nazar bar bar karti hai. $@N
Pages: 1 ... 4 5 6 7 8 [9] 10 11 12 13 14 ... 33
|