December 04, 2024, 08:36:26 PM

Show Posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.


Messages - Pangeybaz Ashu

Pages: 1 2 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11 12 ... 33
121
Shayari / Re: phool or kantey......
« on: February 19, 2008, 10:56:20 AM »
tanhayi se nahi hum mehfil se darte hai,

duniya se nahi hum khud se darte hai,

yun to bahut kuch koya hai zindgi main,

par na jane kyoun tumhe khone se darte hai........
[/color][/font]

122
Shayari / Re: to kya karoge.....
« on: February 19, 2008, 10:51:57 AM »
haste raho aap hazaron ke beech main,

jaise hasta hai phool baharo ke beech main,

roshan raho aap duniya main is tarah,

jaise hota hai chand sitaro ke beech main........
[/color]

123
Shayari / Re: mere bin........
« on: February 19, 2008, 10:44:23 AM »
maut se darta kaun hai......
pyar ho jata hai karta kaun hai......
tere jaise farishte par har janam kurbaan hai...
aur tum puchte hon ke tum par marta kaun hai............

124
Shayari / Re: to kya karoge.....
« on: February 19, 2008, 10:43:02 AM »
Jab guzar jayegi Bahar to Kya Karoge
Yaad ayega Mera Pyaar to Kya Karoge

Satate ho aise jese Ajnabi hoon Mai
Jab Roothege Tum se Yaar to Kya Karoge

Apnaoge kisi aur ko Mujhay Tanha chorr kar
Usay hoga na Tum se Pyaar to Kya Karoge

Aakhir Laut aaoge Tum Meri Raahon pe
Phir milega na pehla Pyaar to Kya Karoge

Abhi to Hanste ho Meri Wafaaon pe
Yaar phir Rona bhi hoga Bekaar to Kya Karoge !


**********************************************





ek raat wo mile khwab main,
humne pucha kyon thukraya aapne,
jab dekha to unki aankhon main bhi aansu they,
phir kaise puchte kyon rulaya aapne.........

125
Shayari / Re: Soh rab di tenu pyar kita
« on: February 17, 2008, 07:40:29 AM »
mujhe tum se mohabbat hai
tumhe kese bataoon main
aqidat hai mujhe tum se
yaqeen kese dilaon main
yeh yaktarfa mohabbat hai
fasana is ko kehte hain
kahani is mohabbat ki
tumhe kese sunaon main
kisi ko toot ker chaho
mohabbat hi hi jae gi
kisi ko toot ker chahna
tumhe kese sikhaun main


126
Shayari / Re: shayari posted by ~PunjabiKudi~
« on: February 17, 2008, 07:38:47 AM »
Chand taroo ka noor tuhpe barse
Har koi tere chahat ko tarse
Teri zindigi mein aayen itnti khushian
Ke tu ek ghum pane ko tarse…!

127
Shayari / Re: mar ke sanu bekasoor ho gaye
« on: February 17, 2008, 07:37:56 AM »
!!!Tunha tunha mut socha ker!!!

Tunha tunha mut socha ker
Mar jaye ga mut socha ker

Jis ki fitrat main dasna ho
Woh to dasay ga mut socha ker

Pyar ghari bhar ka hi bohat hai
Jhota, sacha, mut socha ker

Maan mere shahzade wagerna
Pachtaye ga mat socha ker

128
Shayari / Re: shayari posted by ~PunjabiKudi~
« on: February 17, 2008, 07:35:47 AM »
Saath Humara pal bhar ka sahi,
par woh pal aise jaise koi kal nahi
rahe zindagi mein shayad phir milna humaara
par mehekti rahengi tumhari yaadein humare sang sahi
————————————–

Din jo guzar gaye hai yunhi
Raat bhi dhal gayi hai yunhi
Koshish tho bahut ki dil ne
Zuban pe baat rah gaye yun
————————————–

chal padi hai kashtiyaan samandar, door hai kinaraa
in maajoon se pooch lena, kya haal hai hamara
ab hawaein kareingi, roshiniyon ka faisla
jis diye main jaan hogi, woh diya reh jayega
————————————–

Guzare Huve Kal Ki Yaad aati hai,
kuch lamhon se aankhen bhar aati hain,
woh subah rangeen shaam nirali doob jati hain,
jab aap jaise doston ki yaad aati hai.
————————————–

e kaash kahin aisa hota ki do dil hote seene main
ek toot bhi jaata ishq mein to taklif na hoti jeene mein.
————————————–

Bechara Kuch Is Ada Sey Rukh Hi Badal Gaya
Ek Shaks Sarey Shehar Ko Veeran Kar Gaya


129
Shayari / Re: shayari posted by ~PunjabiKudi~
« on: February 17, 2008, 07:35:04 AM »
Dosti achchi ho toh rang laati hai,
Dosti gehri ho toh sabko bhaati hai,
Dosti naadaan ho toh toot jaati hai,
Par agar dosti apne jaisi ho….
…. Toh itihaas banaati hai !

Jaan hai mujhko zindagi se pyaari,
Jaan ke liye kar doon kurbaan yaari,
Jaan ke liye todd doon dosti tumhaari,
Ab tumse kya chhupaana,
Tum hi toh ho jaan hamaari !

Tumse doori ka ehsaas sataane lagaa,
Tere saath guzaraa har lamha yaad aane laga,
Jab bhi tujhe bhoolne ki koshish ki aye dost,
Tu dil ke aur bhi kareeb aane laga !

Zindagi nahin humein doston se pyaari,
Doston pe haazir hai jaan hamaari,
Aankhon mein hamaari aansoon hai toh kya,
Jaan se bhi pyaari hai muskaan tumhaari !

Jasbaate ishq naakaam naa hone denge,
Dil ki duniya mein kabhi shaam naa hone denge,
Dosti ka har ilzaam apne sar par le lenge,
Par dost hum tumhe badnaam na hone denge !

Dosti toh sirf ek ittefaaq hai,
Yeh toh dilon ki mulaakaat hai,
Dosti nahi dekhti yeh din hai ki raat hai,
Isme toh sirf wafaadaari aur jasbaat hai !


130
Shayari / Re: shayari posted by ~PunjabiKudi~
« on: February 17, 2008, 07:34:30 AM »
Wo to majborioon main lipti hain
Apney shiddat bharey khyaloon main
Apney ander chhupi ek aurat main
Wo hamesha hi darti rehti hain
Na to jeeti hain na to marti hain
Larkiyaan bewafaa nahi hoti
Per Hamesha hi darti rehti hain
Apne reeti or rawajoon se
Any waley naye azaboon se
Zardurat main khily ghulaboon se
Pyaar kerti hain or chhupati hain
Larkiyaan Bewafaa nahi hot
Kyuon ki majborioon main lepti hain
Or her lamha darti rehti hain
Apney pyaar se apney saye se
Apney rishton se dil ki dharkan se
Apni khowahish se apni kushioon se
Larkiyaan Bewafaa nahi hoti !!!

131
Shayari / Re: shayari posted by ~PunjabiKudi~
« on: February 17, 2008, 07:32:11 AM »
jo dil me pyar ke jajabe talahs karte hai
suna hai farishte unhe talash karte hai
or un logo par khuda ki rahamat hoti hai
jo garib ghar me riste talash karte hai

hum jaise dost hote nahi sabhi k liye
hum to aaye hai sabhi ki khusi k liye
kya hua aapne ye shama kyu jala di
ye surya kya kam hai jalne k liye


132
Shayari / Re: shayari posted by ~PunjabiKudi~
« on: February 17, 2008, 07:29:58 AM »
ohh chak de kurriiii/////// realli bohat wadiya likhiya hai ....





is duniya ma ho chuke hai log ab tp pathar dil
kisi ko bi thukra date hai parya samajkar
lakin humne to kisi ko bi paraya na samja
pata nahi ki hamare ma hi koi kami rah gayi hogi
is duniya ma jina hai to pathar dil bankar jina hai
ik dost tha mara jisne muje jine ka rasta dikaya par
vohe muje chad ke chala gaya paraya samajkar
ab to kise say bat karne ko bi dil nahi karta
zindgi itni veeran haiki
zindgi jeene ko bi dil nahi karta
har pal
ghut 2 kar jiya karta hu apne
ankon ke asnu is kadar piya karta hu
a kuda ab to dillagi lagani hai tumse is duniya ma o ab tumari kami mahsus kia karta hu

133
Shayari / Re: socha na tha..........
« on: February 17, 2008, 07:27:48 AM »
Tum mujh se juda ho jaoge kabhi socha na tha
Qareeb rehkar bhi door ho jaoge kabhi soacha na tha

Ziddi ho zaroor yeh to hume maloom tha
lekin Bewafa ho jaoge kabhi socha na tha

kya kya na kiye wade kya kya na sapne sajaye
Tum sub ko toor jaoge kabhi socha na tha

khai thi qasam ke ik pal juda na honge
sub qasme bhool jaoge kabhi socha na tha

Teri baaton se har waqt hasti thi meri ankhe
meri hasti hui ankho ko ansoo de jaoge kabhi socha na tha
     _______________________________________________


Shaam Hote Hi Chiragon Ko Bujha Deta Hoon
Yeh Dil Hi Kaafi Hai Teri Yaad Main Jalne Ke Liye

Yeh Teri Bhi Aankhon Ka Qusur Hai
Main Tanha Gunahgar To Nahi

Tu Is Tarah Se Mere Dil Main Shamil Hai
Jahan Bhi Jaoon Lagta Hai Teri Mahfil Hai

Duniya bhar ki khushiyan hamare saath chali
Qadam mila ke jo hamare saath aap chali

Haath deewane ke de allah kuch aisi qalam,
Aasman par likh ke jaoon hai unhi se pyaar hai


134
Shayari / Re: wafaon ka sila
« on: February 17, 2008, 07:26:34 AM »
Pyaar kamjor dil se kiya nahi ja sakta,
Zeher Dushman se liya nahi ja sakta,
Dil mein basi hai ulfat jis pyar ki
us ke bina jiya nahi ja sakta.

Saath rehte rehte yuhin waqt guzar jayega
Door hone ke baad kaun kise yaad aayega
Jee lo ye pal jab humsath hai
kal ka kya pata, waqt kahan le jayega

135
Shayari / Re: hume kahan se laoge........
« on: February 17, 2008, 07:21:24 AM »

Chale jaoge beshak meri zindagi se,
magar in yaadon se kis tarah jaoge.

Ayegi jab meri yaad, aansu bahaoge.
Chahoge mujhse milna, par mil nahi paoge.

Puchega koi mere bare mein, galti meri bataoge.
Honge tumari mehfil mein sabhi, magar hume nahi paoge.

Mehfil mein rehkar bhi,tanha ho jaoge.
Sochoge jab mere bare mein,to phir pachtaoge.

Meri nazar me hamesha,bewafa kehlaoge.
Maana k bana loge auron ko tum apna

Magar. . . . . . . . . . .
"HUME" kahan se laaoge..???

__________________________________________________________

us dil se pyar karo jo tume dard de,par us dil ko kabhi dard na do jo tume pyar kare,kyoki tum duniya ke liye koi 1 ho par kisi 1 ke liye tum puri duniya ho.

136
Shayari / Re: de rabba mainu saah ik hor
« on: February 15, 2008, 02:51:48 PM »
"""OH ROYI TA BAHUT PAR MERE TOH MUKH MOD K ROYI....BADI MAJBUR HOVEGI O JO DIL TOD K ROYI...MERE SAHMNE KR K MERI TASVEER DE TUKDE...PATA LAGA OHI TUKDE BAAD CH JOD K ROYI...

137
Shayari / Re: pyar aur dosti........
« on: February 15, 2008, 02:50:15 PM »
hoto kibaat aasun kehte hain,chup rehte hain phir bhi behte hain,inki kismat to dekhoyeh unke liye hi behtehain,jo khud hi in aankho mein rehte hain

138
Shayari / Re: Tumhain Bakhshi Hai Dil Pey Hukumrani ..
« on: February 15, 2008, 02:47:50 PM »
Zindagi shuru hoti hai rishto se,
rishte shuru hote hai pyaar
se,
pyaar shuru hota hai apno
se,
aur apne shuru hote hai

*- - - AAPSE- - - *

139
Shayari / Re: Tu agar saath mein
« on: February 15, 2008, 02:44:35 PM »
US RAAH PE GUJRA NAA KARO JISKI KOI MANJIL NAA HO,
KISI KO ITNA NAA CHAHO KI EK PAL KE LIYE BHI USE BHULA NAA SAKO,
KISI SE ITNA PYAAR BHI NA KARO KI KABHI USE HAASIL NAA KAR SAKO..

140
Shayari / Re: hamare sath chalo
« on: February 15, 2008, 02:41:06 PM »
Kya kahen ke kuch kaha nai jata,
Dard meetha hai saha nai
jata,
Rishta ban gaya hai iss kadar "AAPSE" ki,
Bina yaad kiye "AAPKO" raha nai jata.

Pages: 1 2 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11 12 ... 33