June 28, 2024, 01:52:17 AM

Show Posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.


Messages - Noor Kaur

Pages: 1 ... 18 19 20 21 22 [23] 24 25 26 27 28 ... 44
441
Shayari / Re: *¥*¥*Sad Shayari *¥*¥*
« on: October 27, 2014, 11:25:59 PM »
Fursat Mili Jab Humko To Tanhai Aa Gayi;
Ghum Bhi Aaya Saath Mein Ruswai Aa Gayi;
Inn Sab Se Milne Aankhon Se Aansu Bhi Aa Gaye;
Jab Yaad Mere Dil Ko Teri Judai Aa Gayi!

442
Shayari / Re: Jab bhi ata hay mera naam tere naam k sath
« on: October 27, 2014, 11:16:47 PM »

Haaye Zaalim Ne Zara Sa Bhi Takaluf Na Kiya;
Hum Ne Chaahi Jo Ijaazat To Ijaazat De Di!

443
Shayari / Re: *¥*¥*Sad Shayari *¥*¥*
« on: October 27, 2014, 10:42:24 PM »
Majbooriyon Ko Hum Palkon Mein Chhupa Lete Hain;
Hum Kahan Rote Hain Bas Yeh Halaat Rula Dete Hain;
Hum To Har Pal Yaad Karte Hain Sirf Aapko;
Aur Woh Hi Hum Par Yaad Na Karne Ka Ilzam Laga Dete Hain!

444
Shayari / Re: Jab bhi ata hay mera naam tere naam k sath
« on: October 27, 2014, 10:32:57 PM »

Mohabbat Kya Hai Do Lafzon Mein Tumhe Batata Hoon;
Tera Majboor Kar Dena Aur Mera Majboor Ho Jaana!

445
Shayari / Re: *¥*¥*Sad Shayari *¥*¥*
« on: October 27, 2014, 03:55:39 PM »
Kabhi Hum Toote To Kabhi Khwaab Toote;
Na Jane Kitne Tukdon Mein Armaan Toote;
Har Tukda Aaina Hai Zindgi Ka;
Har Aaine Ke Saath Lakhon Jazbaat Toote!

446
Shayari / Re: *¥*¥*Sad Shayari *¥*¥*
« on: October 27, 2014, 03:38:58 PM »
Har Mulaqat Par Waqt Ka Takaza Hua;
Har Yaad Par Dil Ka Dard Taza Hua;
Suni Thi Sirf Ghazalo Mein Judai Ki Baatein;
Jab Khud Par Beeti To Haqeeqat Ka Andaza Hua!

447
Shayari / Re: *¥*¥*Sad Shayari *¥*¥*
« on: October 27, 2014, 03:33:54 PM »

Tum Mere Liye Ab Koi Ilzam Na Dhoondo;
Chaha Tha Tumhein Ek Yahi Ilzam Bahut Hai!

448
Shayari / Re: ਅੱਖਾ
« on: October 27, 2014, 02:40:21 PM »
Koi Na Mita Sakega Dil Ke Iss Fasane Ko;
Teri Chahat Mein Bhool Jata Hun Zamane Ko;
Uthe Jo Meri Nazar Tere Chehre Pe Muskan Aaye;
Teri Deewangi Mein Bhool Jaate Hain Nazrein Jhapkane Ko!

449
Shayari / Re: Jab bhi ata hay mera naam tere naam k sath
« on: October 27, 2014, 02:31:59 PM »
Uski Chahat Ne Rulaya Bahut Hai;
Uski Yaadon Ne Tadpaya Bahut Hai;
Hum Usse Karte Hain Mohabbat Beintehaa;
Iss Baat Ko Usne Aazmaya Bahut Hai!

450
Birthdays / Re: Happy b day nawty munda(harmeet)
« on: October 27, 2014, 01:06:15 AM »
Happy Birthday Harmeet . :blowout:

451
Shayari / Re: Jab bhi ata hay mera naam tere naam k sath
« on: October 27, 2014, 12:00:11 AM »

Jub Koi Pochhta Hai Mujhse Meri Zindagi Ki Qeemat;
To Mujhe Yaad Aa Jaata Hai Tera Muskurana!

452
Shayari / Re: Jab bhi ata hay mera naam tere naam k sath
« on: October 26, 2014, 11:51:34 PM »
Waaste De De Ke Khuda Se Teri Khushiyon Ki Dua Maangi Hai;
Aaj Phir Tere Liye Maine Kismat Se Waafa Maangi Hai.

Chaand Taaron Sa Tabassum Maine Manga Hai Rab Se;
Tere Aangan Ke Liye Phir Baharon Ki Fiza Maangi Hai.

Uss Ke Jeevan Me Andhera Naa Ho Ek Pal, Mere Maula;
Jis Ki Khatir Maine Har Pal Sajdon Me Dua Maangi Hai!

453
Shayari / Re: Jab bhi ata hay mera naam tere naam k sath
« on: October 26, 2014, 11:28:18 PM »
Jo Koi Samajh Na Sake Wo Baat Hai Hum;
Jo Dhal Ke Nayi Subah Laye Wo Raat Hai Hum;
Chhod Dete Hai Log Rishte Banakar;
Jo Kabhi Chhod Ke Na Jaye Wo Sath Hai Hum!

454
Shayari / Re: Jab bhi ata hay mera naam tere naam k sath
« on: October 26, 2014, 10:13:37 PM »

Tanhaiyon Ka Ek Alag Hi Maza Hai;

Iss Mein Dar Nahi Hota Kisi Ke Chhor Jaane Ka!

455
Shayari / Re: ਅੱਖਾ
« on: October 26, 2014, 10:09:58 PM »
Iss Dil Ne Ab Pyaar Karna Chod Diya;
Jis Din Se Tumne Yeh Dil Tod Diya;
Ab To Ro Bhi Nahi Sakte Apni Bebasi Pe;
Iss Liye In Aankhon Ne Ab Rona Bhi Chod Diya!

456
Shayari / Re: Dosti
« on: October 26, 2014, 08:27:56 PM »
 Kya mangu khuda se apko pane k bad
Kiska karu intezar aapke aane k bad,
Kyu doston pe jaan lutate hain log
Malum hua aapko dost banane ke bad

457
Shayari / Re: Dosti
« on: October 26, 2014, 12:21:21 PM »
Bas Ek Baat Se Dar Lagta Hai Doston;
Hum Ajnabi Na Ban Jaein Doston;
Zindagi Ke Rangon Mein Dosti Ka Rang Feeka Na Pad Jaye;
Kahin Aisa Na Ho Doosre Rishton Ki Bheed Mein Dosti Dum Tod Jay

458
Shayari / Re: Dosti
« on: October 26, 2014, 12:08:17 PM »
Aap ki DOSTI ka sila her haal main denge,
Koi mange yeh DOSTI to usay taal denge.
ager dil ne kaha k tum BEWAFA ho,
To qasam se is DIL ko bhi SEENAY se nikal denge.

459
Shayari / Re: Dosti
« on: October 26, 2014, 04:14:10 AM »
 Jab koi khayal dil se takrata hai,
Dil na chah ker bhi khamosh ho jata hai,
Koi sab kuch keh ker dosti jatata hai,
To koi kuch na keh k DOSTI NIBHATA HAI.

460
Shayari / Dosti
« on: October 26, 2014, 04:00:18 AM »
 Kaun Kehta Hai Dost, Tumse Hamari Judaai Hogi;
Yeh Khabar Kisi Aur Ne Uddaie Hogi;
Shaan Se Rahenge Hum Aapke Dil Mein;
Dosti Ke Iss Khel Mein Humne;
Kuch Toh Jagah Banai Hogi

Pages: 1 ... 18 19 20 21 22 [23] 24 25 26 27 28 ... 44