This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.
Messages - KAUL SAHEB
Pages: [1]
1
« on: April 25, 2009, 03:54:23 AM »
ਯਾਰਾ ਦੀ ਯਾਰਾ ਦੀ ਤੋ ਕੁਰ੍ਬਾਨ੍ ਜਾਵਾ ਜਿਸ੍ ਰਾਹ੍ ਉਹ੍ ਚ੍ਲ੍ਣ੍ ਉਹ੍ਣਾ ਨਾਲ੍ ਜਾਵਾ ਰਬ੍ ਨਾ ਕਰੋ ਅਸੀ ਕ੍ਦੋ ਲੜੀਏ ਜੋ ਲੜੀਏ ਤਾ ਉਹ੍ ਜਿਤ੍ਣ੍ ਤੇ ਮੋ ਹਾਰ ਜਾਵਾ
2
« on: January 24, 2009, 09:23:46 AM »
Hass hass ke zindagi katni yaaran de naal, Dil laga ke rakhna bahaaran de naal, Ki hoya je asi pooja paath nahi karde, Saadi yaari hai rab warge yaaran de naal......
Aankhon mein raha dil mein utar kar nhi dekhaa, Kashti kay musaafir nay samander nhi dekha, Be –waqt agar jaaoongaa sabh chaunk padeingay, Aik ummar hue din mein kabhi ghar nhi dekha, Jiss din say chalaa hoon meri manzil pay nazar hai, Aankhon nay kabhi meel ka pathar nhi dekhaa, Yeh phool mujhay koi viraasat mein milay hain, Tumnay mera kanton bharaa bistar nhi dekhaa, Pathar mujhay kehta hai mujhay chaahnay vaalaa, Main mom hoon uss nay mujhay chhoo kar nhi dekhaa, Mohabbat na samajh hoti hai samjhaana zaroori hai, Jo dil mein hai ussay hotthon pay kehlaanaa zaroori hai, Bohut be baak aankhon mein taalukk tikk nhi pata, Mohabbat mein kashish rakhnay ko sharmana zaroori hai, Mere hotthon pay apni pyaas rakh dou aur phir socho, Kay iss kay baad bhi iss duniya mein kuchh pana zaroori hai,
Je Saadi Nahin c Tu ho Sakna , Kaahnu Pyaar Enna Fer Payeya c Je Inj hi Rulaana c Varne , Kahano Saanu Fer Tu hasaya c
Tumhain Muhabat Nahi Kisi Se
Gaye Dinoon Ki Rafaqtoon Main Be Tum Yeh Keh K Bicher Gaye They “Mujhe Muhabat Nahi Kisi Seâ€
Jo Aj Berson K Baad Phir Mily Ho To Phir Usi Sukhan Per Aray Ho “Mujhe Muhabat Nahi Kisi Seâ€
Humain Yeh Kase Yaqeen Aye Tumhain Muhabat Nahi Kisi Se
Kaha Jo Tum Ne Wo Sab Sahi Hai Ager Muhabat Nahi Kisi Se To Ser Per Guzerny Wali En Qayamtoon Se Pyaar Kion?
Humain Wo Yaad Hain Jo Kuch Pal Tumahri Sangat Myn They Guzare Tumahre Pahlu Ki Lazatoon Mian Nishaat Bhi Hai Fasurdgi Bhi Hayat Bhi Hai Sapurdgi Bhi
Tumhare Hontoon Mian Russ Buht Hai Kah Jiss Ka Qatra Bhi Bas Buht Hai
Tumhari Ankhon K Jamm Pii Loon Jo Ho Saky To Her Shaam Pi Loon
Per Humare Dil Mian Wo Jo Tum Ho Tumhare Dil Main Wo Hum Nahi Hain
Tum Apni Termeem E Zaat Ker Lo Gumaan K Asmaan Se Uttro Zameen Pe A Ker Baat Ker Lo Hum Se Nahi To Choro Chalo Kisi Se Hi Pyaar Ker Lo Chalo Kisi Se Hi Pyaar Ker Lo
Tumhain Muhabat Nahi Kisi Se Tumhain Muhabat Nahi Kisi Se
Mera kuch saaman tumhre paas para hai Sawan ke kuch bheege bheege din rakhe hain Aur mere ik khat mei lipti raat pari hai Wo raat bujha do Mera wo saaman lota do
Pat jhur hai kuch hai naa? Pat jhur mein kuch patton ke girne ki aahat Kaano mein ik baar pehan ke lotai thi Pat jhur ki wo shaakh abhi tak kaanp rahi hai Wo shaakh gira do Mera wo saaman lota do
Aik akeli chatri mein jub aadhe aadhe bheeg rahe the Aadhe sookhe aadhe geele Sookha tu main le aai thi Geela mann shayad bistar ke paas para ho Wo bhijwa do Mera wo saaman lota do
Aik so sola (116) chand ki raatein aik tumhare kaandhe kateen Geeli mehndi ki khushboo jhoot moot ke shikwe kuch Jhoot moot ke waade bhi sab yaad karwa do Sub bhijwa do Mera wo saaman lota do
Aik ijazzat de do bus jub isko dafnaoon gi Main bhi waheen so jaoon gi
Haath choote bhi tu rishte nahi chora kerte Waqt ki shaakh se lamhe nahi tora kerta
Jis ki awaz mein silwat ho, Nigahon mein shikan Aisi tasweer ke tukre nahi jora kerte
Lag ke saahil se jo behta hai ise behne do Aise darya ka kabhi rukh nahi mora kerte
Jagne per bhi nahi aankh se girti kirchein Is tarah khwabon se aankhein nahi phora kerte
Shehad jeene ka mila kerta hai thora thora Jane walon keliye dil nahi thora kerte
Jamma hum hote hain, Taqseem bhi ho jate hain Hum tu tafreeq ke hindse nahi jora kerte
Ja ke kuhsaar se sir maro ke awaz tu ho Khasta deewaron se maatha nahi phora kerte
Saans lena bhi kaisi aadat hai Jiye jana bhi kya rawayat hai Koi aahat nahi badan mein kahin Koi saya nahi hai aankhon mein Paaon be his hain chalte jaate hain Ik safar hai jo behta rehta hai Kitne barson se kitni sadiyon se Saans lete hain jeete rehte hain
Bass aik shakhs ko maangaa mujhay vohi na milaa,
Mohabbaton mein dikhaave kee dosti na milaa, Agar galey nhi milta tou haath bhi na milaa, Gharon pay naam thay,namo kay saath ohday thay, Bohut talaash kiya koi aadmi na milaa, Tamaam rishton ko main ghar pay chhod aayaa thaa, Phir uss kay baad mujhay koi ajnabi na milaa, Khuda kee itni badi kaayenaat mein mainay, Bass aik shakhs ko maangaa mujhay vohi na milaa, Bohut ajeeb hai yeh qurbaton kee duuri bhi, Voh merey saath raha aur mujhay kabhi na milaa,
sochti huin raat din yeh likhduin kyon na kagaj pey agar kal ka bhee aaj ho jaaye agar suraj nikle aur na chuup paaye agar aandhi kabhi na ruk paaye toh yeh zindagi shayad zindagi na reh jaaye
es niyati kei hum deewane hain yuinhi chupchaap jale jaate hain kayamat hogi agar jab bhee shayad tamasha hum bhee dekh paaye kaun milta hai kise, kaun kiska hai bekaar kei aihsaas sei vishwas uth jaaye
durr reh kar bhi tujh se mohabbat karna mujhe achcha laga tu bata aakhir tujhe yeh waqiya kaisa laga itne fasley mein bhi hai teri qurbat ke maze ujhe se milna tujh ko chahna mujhe achcha laga raakh uddne lagi hai mann mein jalti bujhti yaadon ki shaam dhale teri yaad ke deep jalana mujhe achcha laga kaise kahun tere bin ddasti hai mujhko tanhai teri ulfat teri furqat mein rat-jaga mujhe laga laga woh aanchh thi hawa mein ke kali tak sulag gayi aise mein tera ghata ban ke barsna mujhe achcha laga faasle miitt na paayeinde in durriyon ke kabhi tasweer mein tera aa ke dil ko behlana mujhe achcha laga chheen li neend jab aa ke tare khayalon ne teri tasweer pe chhupke se hotho ko rakhna mujhe achcha laga.
is tarah hawas ke daure mein muflison ka imthihaan hai sir pe dhoop nafrat ki aur ped saaye-baan hain mere khwaab le ke aa gaye mujhko un kalaon mein jahan paanv se jameen bhi dur hain sir se dur aasmaan hai kal talak mere vajood ki shohratein fizaaon mein rahi aaj mere zakhmi haathon mein gaflaton ki daastaan hai zakhm teri bevafaayi ka yu to kab ka bhar gaya magar zakm ki jagah par aaj bhi hasraton ka ik nishaan hai vo bhi laash takti reh gayi apne vaarison ki raah ko jiska kal ke ik fasaad mein dafan saara khaandaan hai apni begunaahi ki sanad isliye bhi ab fijool hai mere haq mein koi yahaan muddaton se bezubaan hai
kyun kehte ho ke mujhse mohabbat nahi hai tumko kyun dil ko mere tum beemar karte ho jo baat nigaahein keh rahi hai khud-b-khud kyun use lafzon mein tum inkaar karte ho darte ho kis se,hai parwaah kiski kis fikr mein yeh aalam bekaar karte ho duniya tou parayi hai ruswaai hi karegi kyun uski khatir khadi tum yeh deewaar karte ho hai pyar ka mausam yahan fizayein bhi jawaan si kyun durr se tum inka deedaar karte ho gar mohabbat hai tumhe keh kyun nahi dete kyun tadpate ho apne dil ko,lachaar karte ho iqraar kar bhi lo ab,guzaarish hai meri tumse kyun mere iss dil ko beemar karte ho mar kar bhi dikha denge tumhe,ek baar tou keh do kyun har pal bhala iss dil pe vaar karte ho
hum kaise bataye ham kaise jiye ja rahe hai har ek muskurahat me gam ko piye ja rahe hai kehne se kahan kuchh hasil huya hai hum kya bataye ke ham apane zakhamo ko kis tarah siye ja rahe hai kabhi to wafa karke bhi dekho na hum kambakhat bewafai ka subut diye ja rahe hai hum kaise bataye hum kaise jiye ja rahe hai
mere kareeb aao bahut udaas hoon main bus aaj toot ke chhao bahut udaas hoon main kisi bhi jhoote dilasey se dil ko behlaao koi kahani nayi sunaao bahut udaas hoon main andheri raat hai kuchh nazar nahi aa raha sitare todd kar laao bahut udaas hoon main suna hai prem nagar mein khushi bhi milti hai mujhe yaqeen dilaao bahut udaas hoon main yeh shaam yoonhi guzar jaayegi dabe paaon wafa ke geet gaao bahut udaas hoon main
mohabbat mein aazmaaish nahi ki jati ise nibhane ki farmaaish nahi ki jati pyar mein aate hai kadam kadam sakht muqaam dil ke zakhmon ki tou numaaish nahi ki jati hizr mein jo milne lage wasal ka lutff tou fir milne ki khwaaish nahi ki jati agar na milna hi ho waqt ka takaza tou fir milne ki laghish nahi ki jati khush naseebi se jo mil baithe do dil tou zamane mein uski zaibaeish nahi ki jati jin ko ho milna aur woh mil na paayein dil se kabhi bhi woh hasrat-o-yaas nahi jati pyar tou hai muqaddaron ka khel jo na mil sake pyar tou guzarish nahi ki jati
katt rahi hai aajkal kuch aisi dushvari ke saath yaar bhi milte hain ab to ajab aayyaari ke saath jhooth kya hai aur sach kya hai tay nahi kar paaye hum umr saari kat gayi ghaflat ki bimari ke saath mujhko seene se laga jo meri jeb kaat li usne jab mila vo shaks to aisi hi dildaari ke saath ek ghar ki aag thi aur saari basti jal gayi main mana karta raha mat khel chingaari ke saath jang haari hai to haari, honsle jaanbaaz hain fir palat kar aayenge hum poori tayyari ke saath
jab se dil lagaya hai tumse sab kuchh sehne ki aadat ho gayi hai intzaar karte hai hum tumhara der tak tumko na aane ki aadat ho gayi hai baat baat pe muskurate the hum ab to rone ki aadat ho gayi hai kabhi talab karte the tumhe hum ab tou berukhi sehne ki aadat ho gayi hai jab se sochna shuru kiya hai tumko sari sari raat jaagne ki aadat ho gayi hai ab tou chahe chhod bhi do humein tum bin rehne ki aadat ho gayi hai jise bhi chaha humne woh chhod kar chala gaya ab tou khone ki aadat ho gayi hai jab se tum gaye ho humein chhod kar tab se chup rehne ki aadat ho gayi hai tumse na koi shikwa na shikayat hai humein bas khud se shikayat karne ki aadat ho gayi hai maloom hai ke humari kismat mein tum nahi bas kismat se ladhne ki aadat ho gayi hai tum jahan bhi raho bas khush raho yeh duaaon mein mangne ki aadat ho gayi hai
ab kisi dairo-haram ki baat mat kar kisi se rehmo-karam ki baat mat kar pyaar kar usse jo dil ka mom ho sangmarmar ke sanam ki baat mat kar uljhane hi uljhane hain zindagi mein zulf ke ab pencho-kham ki baat mat kar raks karti hai jahan aayyashiyaan us siyasat ke haram ki baat mat kar jibaah to pesha hai uska yu kassaab se rehmo karam ki baat mat kar
Kheriyat apni kis taran leitay, Raat-din tum hamaray dhyaan mein thay,
Ham zameen par na aasmaan mein thay, Ham tou bas aapki aaman mein thay, Kheriyat apni kis taran leitay, Raat-din tum hamaray dhyaan mein thay, Kaisay maanein kay tum nay dastak dee, Subah say ham issi makaan mein thay, Itnay tamgay kisi kay paas nahin, Jitney chhaley meri zubaan mein thay, Ghonslay dil kay reh gaye khaali, Jitney panchhi thay sab udaan mein thay, Kuchh kami teri munsafi kee rahi, Jhol merey bhi kuchh byaan mein thay, Aik din jeet leingay dil tera, Aaj takk ham issi gumaan mein thay,
Dastak pay mere haath kii khul jaao kisii din, Chehre pay mere zulf ko phailaao kisii din, Kyaa roz garajte ho baras jaao kisii din, Raazon kii tarah utro mere dil mein kisii shab, Dastak pay mere haath kii khull jaao kisii din, Pedon kii tarah husn kii baarish mein nahaa loon, Baadal kii tarah jhoom kay ghar aao kisii din, Khushbuu kii tarah guzro mere dil kii galii say, Phuulon kii tarah mujh pay bikhar jaao kisii din, Phir haath ko Khairaat mile band-e-qabaa kii, Phir lutf-e-shab-e-vasl ko dohraao kisii din, Guzrein jo mere ghar say tou ruk jaayein sitaare, Iss tarah merii raat ko chamkaao kisii din, Main apnii har ikk saans usii raat ko dey doon, Sarr rakh kay mere siine pay so jaao kisii din,
Yeh kya chund hee qadmon par thak kay baith gaye,
khuli jo ankh tou woh thaa na woh zamana thaa, Dehkti aag thee tanhaayi thee fasana thaa, Gamon ney baant liya mujhe yuun aapas mein, Kay jaisay main koi loota hua khazana thaa, Yeh kya chund hee qadmon par thak kay baith gaye, Tumhein tou saath mera duur tak nibhana thaa, Mujhe jo merey lahoo mein dubo kay guzra hai, Woh koi gair nhin yaar ek poorana thaa, Khud apney hee haath say uss ko kaat diya, Kay jiss darakht kee tehni pay ashiyaana thaa,
Mujhe Khonay Se Darti Thi
Meri Aankhon Pe Marti Thi Meri Baton Pe Hansti Thi Na Janay Woh Ladki Thi Kaisi Mujhe Khonay Se Darti Thi
Mujhay Jab Bhi Woh Milti Thi Yahi Har Baar Kehti Thi Suno!! Agar Main Bhool Jaoon To Agar Main Rooth Jaoon To
Kabhi Wapis Na Aoon To Bhula Pao Gay Yeh Sab Kuch? Younhi Hanstay Raho Gay Kya? Younhi Sajtay Raho Gay Kya?
Yahi Batain Hain Bas Uski Yahi Yaadain Hain Bas Uski Yahi Chahat Hai Bas Uski Mujhy Bas Yaad Hai Itna!!!
Mujhay Woh Pyar Karti Thi Mujhay Khonay Se Darti Thi...!!!
Jo bhi dukh yaad na tha yaad aaya, Aaj kya janiye kya yaad aaya,
Phir koi haath hai dil per jaise, Phir tera ahed-e-wafa yaad aaya,
Jis tarah dhund mein lipte hue phool, Ek ek naqsh tera yaad aaya,
Aisi majboori ke aalam mein koi, Yaad aaya bhi to kya yaad aaya,
Yaad aaya tha bicherna tera, Phir nahi yaad ke kya yaad aaya,
Jab koi zakham bhara daagh bana, Jab koi bhool gaya yaad aaya,
Ye mohabbat bhi hai kya rog, Jisko bhoole woh sada yaad aaya..!!!
Ye Nafrat Ki Kaisi Aandhi Chal Rahi Hai Chiraagh-e-Muhabbat Bujha Jaa Raha Hai
Aur Jo Pata Hawa Ka Pataa Dey Raha Tha Woh Pata Hawa Mein Urra Jaa Raha Hai
Muhabatoon mein her ek lamha wisaal ho ga ye tay hua tha, Bicher ke bhi ek doosre ka khayal ho ga ye tay hua tha,
Ye kya ke sansein ukher gayi hain, saffer kay aaghaz sey hi yaro, Koi bhi thuk ker na raastey mein nidhaal ho ga ye tay hua tha,
Wohi hua na badaltay mausam mein tum ne hum ko bhula dia na Koi bhi rot ho, na chahatoon ko zawal ho ga ye tay hua tha,
Juda huey hain tu kia hua ke yahi to dastoor-e-zindagi hai Judaiyon mein na qorbatoon ka malal ho ga ye tay hua tha,
chalo ke ab sari kashtiyon ko jala dein gumnam sahailoon per, ke ab yahan say na wapsi ka sawal ho ga ye tay hua tha
3
« on: January 24, 2009, 09:11:37 AM »
Bana ajnabi mera humsafar Or nazar bacha k guzar gaya Main tha raston say bay khabar Or usay manzilon ka shaor tha Na thi or koi bhi ranjishain Sirf adaton main tazad tha K usay pasand thi shokhiyan Or mujhay saadgi say pyar tha
maut ke baad yaad aa raha hai koi, meri kabr se mitti utha raha hai koi,
eh khuda do pal ki zindagi aur dede, meri kabr se udaas ja raha hai koi...
Hamari or us ki zindagi main fakat tarteeb ka furk hay Us ki zindagi main hum sub k baad atay hain Or hamari zindagi main sub us k bay atay hain
Hum ajnabi hein na praye hein, Apke hi jismo JAAN ke saaye hein, jab bi ji chahe mahsus kar lena, HUM apki hi sanso me smaye hein
tere bina hum jeena bhool jaate hai, zakhmon ko seena bhool jaate hai, tu zindagi mein sabse azeez hai hamey, tujse har bar yeh kehna bhool jaate hai...
tu jaha b rahe hamesha khush rahe teri har aahat me rub ka aashirwaad rahe tu fikar na karna kisike ibadat ki kyuki mere dil ki har dhadakti saansein, dua me tera he to naam kahe..
har shab pyaari teri yaad, chahe din ho ya ho raat, kabhi hasati hai kabhi rulati hai, har lam ha teri hi baat, aankho me tere sapne,hotho par teri baat,, intzaar me bai the hum,lekar milne ki fariyad..
Hai Chupi koi Daastan Iss Dil Main Ab Tak Rakhi hai sanbhal Kar per na janay kab Tak Tarrapta rahoon ga uss say na milon jab Tak Koi tu sada day meri aahat jab puhnche Rab Tak Woh tu nazar andaaz karti hai per na janay kab Tak Hoon zinda shayad Jab Maroonga Tab Tak.
Ham jisay dosti samajh baithey, Thaa faqt karobaar ka rishta,
Sab say pyaaraa hai pyaar ka rishta, Jaan say jaan-nisaar ka rishta, Ham say rishta hazoor woh rakhiye, Jo galley say hai haar ka rishta, Arzoo ney teri nibhaayaa hai, Umar bhar intezaar ka rishta, Jiss kee tasdeek dil bhi karta hai, Hai vohi aitbaar ka rishta, Gull khizaayon mein saath chhod gye, Gull say achha thaa khaar ka rishta, Ham jisay dosti samajh baithey, Thaa faqt karobaar ka rishta,
MERE DOST MARE HUM SAFER TU KABHI TU MARE SAATH CHAL TU AJAB TARHAN KA DOST HAI JO CHALAI BHI SAATH 2 KADAM
MAIN TUJHAY DIL SE DUA BHI DON NA WAFA KARE NA TU JAFA KARE AJEEB HAIN TERE MANZILEN AJEEB HAI TERE BAAM O DUR
TU MARE NAZAR KI TALISH HAI KATNI DOOR HI PHIR BHI PASS HAI MAIN CHAYON GA TUJH KO HAR KADAM MARE DOST MARAI MUTRAM
KABHI KHAAT LIKHON TU JAWAB NA DAI SARA PYAR DOOR SAI DEKHA BHI DAI KASE HAI AAI MOHBBATIN TU ...BATA DAI AJ OO MARE SUNAM ?
KABHI ZINDAGI JO WAFA KARE DOO CHAR PALL TU MILYA KARE MAIN KHYON TUM HO HUMSFER TU NAHI NAHI KAHA KARE
TERE AK KUSHI PAR IMRAN KARON MAIN JAN BHI KURBAN KABHI AAI WO DIN AAI SUNAM MARE DOST MARE MUTRAM
4
« on: January 24, 2009, 09:03:12 AM »
hum b hue the chahat mein barbaad hotoon pe hamesha rehti thi koi na koi fariyaad har lamha zindagi ka suhaana lagta tha band ankhoon mein rangeen nazara dikhta tha...
Agar mohabbat meri sachi hai to ek din zaroor mila degi Agar zid meri pakki hai to aey Khuda aasman ko bhi hila degi
Na inkaar kar sakta hai koi meri wafa se, mujhe yakin hai Par tum sambhalna ek din meri wafa tujhe bewafai ka sila degi
Yeh baat sach hai ke tumne humse pyaar kiya par dusare hi pal bhula diya Mera pyaar itna aashan na tha na socha tha ke teri mohabbat daga degi
Na bhula sakungi woh mohabbat na voh bewafai, jo tu ne ki Saza iss se barh ke kya degi ke umar bhar meri mohabbat tujhe dua degi
Agar dum hai meri wafa-e-mahobbat mein to woh ek din, aayega zaroor Jab meri yaad mein to tarpega par tab ’sabghat’ tujhe apni mohabbat na degi AddThis
Dard Ki Barish Sahi Maddham Zara Aahista Chal, Dil Ki Mitti Hai Abhi Tak Nam Zara Aashista Chal,
Tere Milne Aur Phir Tere Bichhad Jane Ke Bich, Faasla Ruswai Ka Hai Zara Aahista Chal,
Apne Dil Hi Mein Nahi Hai Uski Mehrumi Ki Yaad, Uski Aankhon Mein Bhi Hai Shabnam Zara Aahista Chal,
Koi Hi Ho Humsafar Na Ho Khush Is Qadar, Ab Ke Logon Mein Wafa Hai Kam Zara Aahista Chal….
Jinhe dhoondte hain sapno main
Woh haqeeqat main nahi hai
Jo haqeeqat main hai saamne Woh hamare sapno main nahi hai
Jo Dil main hai hamare Woh hamare qareeb nahi hai Aur jo qareeb hai hamare Woh hamare Dil main nahi hai
Jis se Pyaar karte hain hum Woh hamare baare main sochta nahi hai Jo sochte hain humaare baare main Un se Pyaar hum karte nahi hain
Hum jinka intezaar karte hain Woh kabhi aate nahi hain Aur jo aa jaate hain saamne Unka intezaar hum karte nahi hain
Supne tan akhir supne ne, Supnea da koi mol nahi, Pyar tan milda kismat waleyan nu, Ik kismat hi saade kol nahi........
Meri gali se wo ja b bhi gujarta hoga Mod pe jaake kuch der thaharta hoga Bhool jaana mujhko itna aasaan to na hoga Dil main kuchtoot ke to bikharta hoga Saath dekhe the Jo un khwabon ka kaarwaa Gubaa bankar uski aankho me ubharta haga Koi jab choomta hoga use baanho me lekar Mera pyar badan me uske siharta hoga Uski julfon ko meri ungliyan dulaarti hongi Saamne aaine ke wo jab bhi sanwarta hoga Dard jab bhi deta hoga ye sangdil zamaana Wo bewafa is “maan†ko yaad karta hoga
har waqt teri yaadoon me khooye rehte hai har lamha tanhaai me tujhise baatein karte hai jeene ki jarurat ban gai ho tum jaan-e-mann cheen na le koi meri zindagi k haseen pal, isliye aajkal har pal tanha rehte hai. Delete comment jassi kaul
Online Online Today at 17:45:51 kyu chahta hai koi kisiko itna ki uski yaadon ko bhulana namumkin sa lagta hai kyu marr mit ta hai koi kisipe itna ki bhari mehfil me hasta hai aur tanhai me rota hai...
Saath na hoke b saath mehsus karte hai unhe zindagi k har pal me yaad karte hai unhe na jaane kyu yakeen sa hota hai ki milenge hum kabhi hakikat me jab milenge, wada hai sab kuch lutaa denge unki chahat me...
bin bataye jab chale aate hai ankhon me ashk mere darr lagta hai koi puch na le kyu aaye hai ankhon se aansu tere kehne ko to kuch b kehdu me mehfil-e-aalam ko lekin khambakt dil ijjazat he nahi deta aapse judi koi baat jhutlaane ko...
ehsaas sa hota hai ki vo b hume yaad karte honge duur hu me fir b paas mehsus karte honge lekin ankhon se ashkon ka dariya behne lagta hai jab sochta hu ki yaad karte honge to ussi yaad me rootey b honge...
hum to hai wafa k pujaari, wafa se pyar karte hai sukh dukh, laabh-nasht to duniya ki reet hai lekin hum to bewafai b sweekaar karte hai...
kabhi kisiki dil ki dhadkane suunte the hum kabhi unhe k liye haste the hum kya pata tha wafa ka sila ye milega jinke liye jeete aur marte the hum... Delete comment jassi kaul
Online Online 2009-01-22, 11:54:58 The Shayari
sayad hume hi sath nibhana nhi aata aesa bandhan jo ta-umra rahe banana nhi aata,, log to aage badh jate hai hamesha hi,,, hume hi apne kadam badhana nhi aata… nxt:jindgi ke rang bhi ajib hote hai…
jindgi ke rang bhi ajib hote hai… amir samaj ke thekedaar dil ke kitne gareeb hote hai…. Na jaane kaise hazaaron kaanton ke beech, Reh kar bhi muskrata phool - kisiko seekh hote hai….
Pages: [1]
|