1
Shayari / Piaar k deep jalane
« on: May 18, 2012, 05:18:49 PM »
Piaar k deep jalane wale kuch kuch pagal hote hein
Aur apni jan se jane wale kuch kuch pagal hote hein
Hijar k gehre zakhm mile to mujhko yeh ehsaas hua
Pagal ko samjhane wale kuch kuch pagal hote hein
Jan se piare logon se bhi kuch parda lazim hai
Sari baat batane wale kuch kuch pagal hote hein
Khawabon mein bhi pia milan k sapne dekhte rehte hein
Neendon mein muskane wale kuch kuch pagal hote hein
Aur is jhooti mandi mein hum ne hamesha yehi dekha hai
Sachi baat batane wale kuch kuch pagal hote hein
Piaar jin ko ho jaey, un ko chain bhala kab milta hai
Shab bhar ashk bhahane wale kuch kuch pagal hote hein
Aur apni zaat k ujrre gulshan se na piaar barrha
Gullon ko mehkane wale kuch kuch pagal hote hein
Us k Ishq mein bheeg k Wasiq humko yeh ehsaas hua
Dil ki baat mein aane wale kuch kuch pagal hote