Punjabi Janta Forums - Janta Di Pasand
Fun Shun Junction => Shayari => Topic started by: Nadeem on November 21, 2008, 01:54:44 AM
-
Kuch likhna chahta hoon...
Sochta hoon kya likhoon.
Phoolon ki woh mehekti khusbu,
Barish ka woh bheega paani,
Aur hawa mein thi jo rawaani,
Kya us mausam ka khumaar likhoon???
Thi chehre par unki masoomiyat,
Aankhon mein thi thodi sharaarat,
Aur baaton mein woh nazaakat,
Kya unka rangeen mijaaj likhoon???
Unka aakar muskarana,
Jo rooth jaun to manana,
Jaate jaate phir rulaana,
Kya unka yeh andaaz likhoon???
Yaadon mein unki ashq bahaana,
Har shaam ek diya jalaana,
Soyi ummeed ko roz jagaana,
Kya unka yeh intzaar likhoon??
-
kuch likhna chahty ho
tu likho haal dil ka
kasi betatay hain din
kaisi katati hain ratain
wo tu aram se sootay hain
hamain mily hai tanhai hijar ki
nice yaar nadeem bhai