Punjabi Janta Forums - Janta Di Pasand
Fun Shun Junction => Shayari => Topic started by: Arz Sra on October 22, 2011, 03:10:48 PM
-
Kashmkash
Unka andaaz-e-guftgu' ameeron ki tarah,
mera andaze-e-khamoshi fakeeron ki tarah
jazbaat riste-riste raste mein hi ruk jaate
har waqyaat mulkon ki lakeeron ki tarah
'zahir karein, na karein' ki kashmkash ke beech
har pal guzarta jism se teeron ki tarah
Nigahon ka uthan... har baar jhuk jaana,
himmat se bandha khauf zanjeeron ki tarah
kuch dosh tere chehre ki masumiyat ka hai
kuch mijaz mera bhi hai peeron ki tarah
bechaini mein dhalti humsafar hone ki chah
din kat rahey anjaan rahgeeron ki tarah
Vasl' ho to dar-b-dar na aur ho shayad
zindagee rahe na bikhri tasveeron ki tarah
- Arz Sra
Guftgu - Conversation.
Vasl- Milan
-
'zahir karein, na karein' ki kashmkash ke beech
har pal guzarta jism se teeron ki tarah
very nice poatry