Fun Shun Junction > Shayari

Tere Naam

<< < (185/185)

EvIL_DhoCThoR:
nice

Gujjar NO1:
Agaah apni maut se koi bashar nahin,
Samaaan sau barass ka hai pal ki khabar nahin,

Aa jayen raub-e-ghair main hum woh bashar nahin,
Kuch aap ki tarah humen logon ka ddar nahin,

Ik to shab-e-firaq ke sadmay hain jaan–gudaaz,
Andhair is pe yeh hai ke hoti sehar nahin,

Kya kahiye is tarah ke talaavuun-mizaaaj ko,
Vaade ka hai yeh haal, idhar haan udhar nahin,

Rakhte qadam jo vaadi-e-ulfat main be-dharrak,
‘Hairat‘ sivaa tumhare kisi ka jigar nahin

Gujjar NO1:
Yeh na thee hamari qismat keh wisaal-e-yaar hota
Agar aur jeete rahtay yehi intezaar hota

Tere waade par jiyee ham to yeh jaan jhoot jana
Keh khushi se mar na jaate agar intezaar hota

Yeh kahaan ki dosti hai bane hain dost naaseh
Koi chaarasaaz hota koi ghamghuzar hota

Kahoon kis se main keh kya hai shab-e-gham buri balaa hai
Mujhe kya bura tha marana agar aikbaar hota

Huay mar keh ham jo ruswa huay kyun ka gharq-e-dariya
Na kabhi janaza uthata na kahin mazaar hota

Yeh masaael-e-tasavvuf yeh tera bayan ghalib
Tujhe ham wali samajhate Joh na badaakhwar hota.

papu:

--- Quote from: Gujjar NO1 on June 02, 2018, 05:26:13 AM ---Yeh na thee hamari qismat keh wisaal-e-yaar hota
Agar aur jeete rahtay yehi intezaar hota

Tere waade par jiyee ham to yeh jaan jhoot jana
Keh khushi se mar na jaate agar intezaar hota

Yeh kahaan ki dosti hai bane hain dost naaseh
Koi chaarasaaz hota koi ghamghuzar hota

Kahoon kis se main keh kya hai shab-e-gham buri balaa hai
Mujhe kya bura tha marana agar aikbaar hota

Huay mar keh ham jo ruswa huay kyun ka gharq-e-dariya
Na kabhi janaza uthata na kahin mazaar hota

Yeh masaael-e-tasavvuf yeh tera bayan ghalib
Tujhe ham wali samajhate Joh na badaakhwar hota.

--- End quote ---
nice words super :ok

Gujjar NO1:
Khizaan ki rut main gulaab lehja bana ke rakhna kamaal yeh hai,
Hawa ki zad main diya jalana, jala ke rakhna kamaal yeh hai,

Zara si larzish pe toRr dete hain sab talluq zamane wale,
So aese weson se bhi talluq, bana ke rakhna kamaal yeh hai,

Kisi ko dena yeh mashwra ke, woh dukh bichaRrne ka bhool jaye,
Aur aese lamhe main apne aansuu chupa ke rakhna kamaal yeh hai,

Khayal apna, mizaj apna, pasand apni, kamaal kya hai,
Jo yaar chahe woh haal apna bana ke rakhna kamaal yeh hai,

Kisi ki raah se khuda ki khatir, utha ke kante, hatta ke pathar,
Phir us ke aage nigaah apni jhuka ke rakhna kamaal yeh hai,

Woh jis ko dekhe to dukh ka lashkar bhi laRrkhaRraye, shikast khaye,
Labon pe apne woh muskurahat, sajaa ke rakhna kamaal yeh hai,

Hazaar taaqat ho, sau daleelen hon, phir bhi lehje main aajzi se,
Addab ki lazzat, dua ki khushbu, basaa ke rakhna kamaal yeh hai

Navigation

[0] Message Index

[*] Previous page

Go to full version