Fun Shun Junction > Shayari

hindi /Urdu Four Lines Poetry

(1/23) > >>

Gujjar NO1:
Iqraar kar geya kabhi inkaar kar geya,
Har baat ik azaab se dochaar kar geya,

Rasta badal ke bhi dekha magar woh shakss,
Dil main utar ke saari hadhain paar kar geya

B̲l̲i̲n̲g̲:

Ab na woh manzar na woh chehre nazar aatey hain,
Mujh ko maloom na tha khawb bhi mar jaatey hain,

Jaane kis haal main hum ke humen dekh kar sab,
Aik pall ke liye rukte hain, guzar jaatey hain ..

Gujjar NO1:
hmmmm great words :ok:


Mat pooch sabar ki intihaa kahan tak hai,
Tu sitam kar le teri taaqat jahan tak hai,

Wafaa ki umeed kissi aur ko ho gi,
Humen to dekhna hai tu bewafa kahan tak hai.

Qainaat:
woh shaqs pehlu main joh behte toh dil thaam ke behte

ke dil-e-nadaan ko adat hai machal jaane ki..  :he:

B̲l̲i̲n̲g̲:

--- Quote from: Qainaat on August 24, 2015, 01:40:13 PM ---woh shaqs pehlu main joh behte toh dil thaam ke behte

ke dil-e-nadaan ko adat hai machal jaane ki..  :he:

--- End quote ---






mka bachey ki jaan logi kya ?  :laugh:

Navigation

[0] Message Index

[#] Next page

Go to full version