koi bijli giri kya aasman se?
dhuwan sa uth raha hai aashiyan se,
mujhe karte ho kyou majboor itna,
nikal jaye na kuch meri zubaan se,
kabhi to ye zameen-e-dil bhi mehke,
kabhi to abr barse aasman se,
fareb usne diye mujko hamesha,
magar nikla nahi dilke makaan se,
kabhi jharte the muh se phool par ab,
tapakta zaher hai unki zubaan se,
kare jo mundamil zakhmon ko mere,
jotty main wo ab laun kahan se,
badal jaate hai rihste waqt ke sath,
kahan tak aa gaye Hum-Tum kahan se.