November 27, 2024, 09:53:26 PM

Show Posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.


Messages - ~_~jatt_o1~_~

Pages: 1 ... 27 28 29 30 31 [32] 33 34 35 36 37 ... 42
621
Shayari / Re: Shayiri Posted by _JaTt_o1_
« on: November 28, 2007, 01:13:33 PM »
Teri bewafa hone ka subhah tha mujhe,
Par behaya bhi hai iss-se hum anjaan the.
Teri bholi surat pe kai baar qurbaan hue hum,
Shayad dil masoom tha hum nadan the.

622
Shayari / Re: Shayiri Posted by _JaTt_o1_
« on: November 28, 2007, 01:12:17 PM »
sanso ka kya bharosa aaj hai kal nahe
dhadkane kabhe dhemi kabhe tej aur kabhe hai he nahe
par tera naam meri aatma me hai basi
jo kabhe nast nahe hoti aur kabhe hugi bhe nahe.

623
Shayari / Re: Shayiri Posted by _JaTt_o1_
« on: November 28, 2007, 01:02:32 PM »
Dil mein teri yaad hai
Char aayi hai bekhudi
Bas tera khayal hai
Tanhayee to kuch nahin
Maut se bhi badtar hai ye meri zindagi
Bin tere sanam ye zindagi bhi kuch nahin

624
Shayari / Re: Shayiri Posted by _JaTt_o1_
« on: November 28, 2007, 12:59:15 PM »
Khata jo ki tune dekhkar mujhko muskurane ki
Jagi aarzoo dil mein tumhare paas aane ki
Khayi kasam tujhe apna banane ki
Na socha tha aaegi naubat tujhe bhulane ki
Sari koshishein bekar gayi, tujhe paane ki
Aarman dil mein reh gaye tujhe apna banane ki

625
Shayari / Re: Shayiri Posted by _JaTt_o1_
« on: November 28, 2007, 12:56:16 PM »
Tujhe bhoolkar bhi na bhool payenge hum,
Bas yahi ek wada nibha payenge hum.
Mita denge khud ko bhi jahan se lekin,
Tera naam dil se na mita payenge hum..

626
Shayari / Re: Shayiri Posted by _JaTt_o1_
« on: November 28, 2007, 12:53:49 PM »
Teri wafa ne mujhe khud aur sitam karne na diya
Jo aaye palkon par moti unhe jharne na diya
Maine samhja hai khud ko sada amanat teri,
Isi khayal ne mujhko kabhi marne na diya

627
Shayari / Re: Shayiri Posted by _JaTt_o1_
« on: November 28, 2007, 12:51:44 PM »
Mujhe bhul jaana agar ho sake
Mat yaad karna agar ho sake
Rahe yaad kyon bhul jaane ki baat
Na kabhi aansu bahana agar ho sake
Mujhe maaf karna mere humsafar
Kahin kho gaya main tumhe kho kar
Maine tumhe gam diya hai magar
Sada muskurana agar ho sake
Mat yaad karna agar ho sake

628
Shayari / Re: Shayiri Posted by _JaTt_o1_
« on: November 28, 2007, 12:50:08 PM »
Kuch hain jo bolkar apni baat samne rekhte hain
Hum hain jo aankhon se izhaar karte hain
Humein adat hai kinare aakar nao doobane ki
Woh hain, ki toofan main bhi samandar paar kiya karte hain

629
Shayari / Re: Shayiri Posted by _JaTt_o1_
« on: November 28, 2007, 12:47:58 PM »
Chahane se koi baat nahi hoti,thode se andhere se raat nahi hoti,
jinhe chahate hai jaan se zyada,unse abb mulakaat hoti par baat nahi hoti kyu ki woh kise or ko chate hai ........

630
Shayari / Re: Shayiri Posted by _JaTt_o1_
« on: November 28, 2007, 12:39:04 PM »
Bichdi hui yaadon ka, asar hai hum par
Kisi ki yaad mein rona, mustakbil hai apni
Ghut ghut kar jeena bhi, taqdeer hai apni
Yeh badnasebee hai meharbaan hum par
Guzre hue lamhon ka, zakhm hai dil par
Raaton ko jagna fitrat hai apni
Dard-e-dil ko seena bhi kismat hai apni
Bewafaa hone ka ilzaam hai hum par
Guzre hue lamhon ka zakhm hai dil par

631
Shayari / Re: Shayiri Posted by _JaTt_o1_
« on: November 28, 2007, 12:36:47 PM »
Dekha ke haseen sapna tu mujhe akela chhod gayi
Mere armano ki manzil ko kaanto se bhar gayi
Mere jeevan ki sargam, dhun nagmo ki saath le gayi
Sab kuch to tu apne saath le gayi
Phir kyon apni yaadon ko mere paas chhod gayi ????

632
Shayari / Re: Shayiri Posted by _JaTt_o1_
« on: November 28, 2007, 12:33:54 PM »
Dhoop hoti hai suraj se, jalna zameen ko padtaa hai,mohobbat hoti hai aap se tadapna hum ko padta hai........

633
Shayari / Re: Shayiri Posted by _JaTt_o1_
« on: November 28, 2007, 12:29:50 PM »
Itna hamari chahat ka imteha na lijiye,kyon ho humse khafa ye bayan to kijiye,kar dijiye maaf agar ho gayi humse khata,yu aanso bahakar hume saza na dijiye........................

634
Shayari / Re: Shayiri Posted by _JaTt_o1_
« on: November 28, 2007, 12:26:53 PM »
Zindege se zyada unhe pyar kiya karte the,
yaad unhe din-rat kiya karte the,
ab un raho se guzra nahi jata,
jaha baith kar unka intezaar kiya karte the......

635
Shayari / Re: Shayiri Posted by _JaTt_o1_
« on: November 28, 2007, 12:24:54 PM »
Kisiko apna banane se der lagta hai,ek wada nibhane se der lagta hai,
pyar to pal bhar me ho jata hai,magar unhe bhulane me zamana lagta hai..

636
Shayari / Re: Shayiri Posted by _JaTt_o1_
« on: November 28, 2007, 12:23:19 PM »
Piiii hai sharab har gali har mehkhane se,ek dosti si ho gaiiii hai sharab ke jaam se,guzre hai hum kuch aise mukaam se,ki nafrat si ho gaiiiii mohabbat ke naam se................

637
Shayari / Re: Shayiri Posted by _JaTt_o1_
« on: November 28, 2007, 12:21:43 PM »
Kabhi ghamo se tumhari mulakat na ho,udaas bethe raho aisi koi baat na ho,
shiqayat ho toh hume maf kar dena,fursat mile toh hume yaad kar lena

638
Shayari / Re: Shayiri Posted by _JaTt_o1_
« on: November 28, 2007, 12:19:18 PM »
Usko Mere Haal Ka Sa Ehsaas To Hai,bedard Sahi Woh Meri Humraaz To Hai,pyaar Ki Gawahi Mere Aankhon Se Na Maang,barasti Nahin Magar Dil Udaas To Hai.....................

639
Shayari / Kabhi khud..........
« on: November 28, 2007, 12:16:04 PM »
Kabhi khud pe kabhi halaat pe rona aaya,
baat nikli to har ek baat pe rona aaya,
hum to samjhe the ke hum bhool gaye hai unko,
kya hua aaj kis baat pe rona aaya..................

640
Shayari / Re: Shayiri Posted by _JaTt_o1_
« on: November 28, 2007, 12:13:41 PM »
Mujhe to apnon ne luta,
ghairon me kahan dam tha,
meri kashti thi dubi,
jahan pani kam tha.....

Pages: 1 ... 27 28 29 30 31 [32] 33 34 35 36 37 ... 42