May 07, 2024, 11:55:36 AM

Show Posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.


Messages - R@na_chahAl

Pages: 1 [2]
21
Knowledge / Punjabi SIKO ... iTHE....
« on: October 14, 2015, 11:57:50 PM »
Punjabi Phrases

Hello
Punjabi (India) [greeting used by Sikhs] Sat siri akal
Punjabi (Pakistan, India) [by Sikhs] Sat sri akal
Punjabi (Pakistan, India) [by Sikhs] Sat sri akal je
Punjabi (Pakistan, India) [by Muslims] Asslaam alaikam
Punjabi (Pakistan, India) [reply] Vaalaikam asslaam
Punjabi (Pakistan, India) [by Hindus] Namaste

Welcome
Punjabi (India) Sushri akal
Punjabi (India) Ji ayan nun
Punjabi (India) Ji aian nu

What is your name?

Punjabi (India) [formal] Tuhaadaa hai naam kee?
Punjabi (India) [formal] Tuhaadaa kee naam hai?
Punjabi (India) [formal] Jee tuhaadaa naam?
Punjabi (India) [informal] Naan e kee teraa?
Punjabi (India) [informal] Teraa kee naan e?
Punjabi (India) [informal] Tuwada naan kee hai?

My name is............
Punjabi (India) Mayra naan..........hai.
Punjabi (India) Mera na............hai.

Yes
Punjabi (India) Han ji
Punjabi (India) Ha ji

No
Punjabi (India) Naheen
Punjabi (India) Nahi

How are you?
Punjabi (India) [formal] = Tuhaadaa kee haal hai jee?
Punjabi (India) [informal] = Toon kiven hain?
Punjabi (India) [informal] = Teraa kee haal hai?
Punjabi (India) = Kee haal chaal hai?
Punjabi (India) = Kee haal hai?
Punjabi (India) = Kee ale?
Punjabi (India) [colloquial] = Kiddaan?

I am fine
Punjabi (India) [I'm fine] = Meraa haal theek hai
Punjabi (India) [fine; informal] = Theeke
Punjabi (India) [fine; formal] = Tuhaadee kirpaa hai
Punjabi (India) [fine; formal] = Vaahiguroo daa shukar hai
Punjabi (India) [fine, thank you; formal] = Dhannvaad meraa haal theek hai

Please
Punjabi (India) Merhebani kerke

Good bye
Punjabi (India) Sat siri akal
Punjabi (India) [see you again] Fir milaan ge
Punjabi (India) [informal] Alweda
Punjabi (India) [used by Sikhs] Rabb raakhaa
Punjabi (India) [used by Sikhs] Wah guru ji ki fateh
Punjabi (India) [used by Hindus] Bandag�
Punjabi (India) [Muslims and Christians] Sal�m
Punjabi (India) [used by Muslims] Khudaa haafiz

I do not understand
Punjabi (India, Pakistan) Mehnu samajh nehi ahndi

Do you speak English?
Punjabi (India) Tuhaanuu angrezi aandii hai?

I love you.
Punjabi
Mai taunu piyar karna (male to female)
Mai taunu piyar kardi (female to male)
Mai tainu pyar karda haan (male to female)
Mai tainu pyar kardi haan (female to male)

22
Knowledge / WHAT IS PUNJAB (NEW)
« on: October 14, 2015, 11:55:40 PM »
Punjab is land of five rivers in North West India and North East Pakistan. Punj means five and aab means water, so punjab means five waters. These five rivers that run through punjab, having their originating source as various small lakes in Himalayas. If one were to go across the Punjab starting from Delhi and to Afghanistan, the rivers are in this order. Beus, Satluj, Ravi, Chenab and Jhelum. Beus, and Satluj merge into one river retaining the name Satluj at Harike near Ferozepur in Punjab just before crossing the border into west Punjab (Pakistan) and eventually merging into river Indus.

Area of Punjab that is between rivers of Beus and Satluj is called Doaba, major cities in this part of punjab are Jalandhar, Hoshiarpur and Nawan Shahr. Majha is between Beus and Chenab and on both sides of Ravi, this part is called the heart of Punjab and cities include, Lahore, Amritsar, Gurdaspur, Sialkote, Kasur, Lyallpur(Faisalabad), Faridkot and Ferozepur. In Majha part of Punjab many new cities were developed by converting the forests into cultivating land and is called Bar, cities include Lyallpur (Faisalabad), Montgomery, etc. Area beyond Chenab river in North and around river Jhelum is called Pothohar, cities include Rawalpindi, Hasan Abdal, etc. Area between Ravi and Chenab river is called Rachna doab cities are Gujrat, Sargodha, etc. Area of Malwa is southern Punjab facing Rajasthan and East of river Beus, cities include Ludhiana, Patiala, Ambala, Karnal, Sangrur, Malerkotla, Shahabad, and Abohar.

Punjabi civilization is one of the oldest on earth, with its distinguished language, culture, food, attire, script, folklore, people, etc. Punjabi langauge has its originating source in Sanskrit (not Hindi or Urdu as many young Indian pakistanis believe), i.e. the family of Indo-European group of langauges which includes Persian and Latin. Punjab has always been land of great saints and fighters. In 450 B.C (2450 years ago) Alexander invaded Punjab and conquered a great Punjabi king named Porus whose kingdom was on the banks of river Chenab. He did not accepted defeat and asked Greek king to show him the same respect as kings. He was restored back to his throne by Alexander. Alexander returned to Greece right before crossing the river Beus, as his forces refused to fight. In his train we have a reliable resource that tells us about Punjab 2450 years ago. Not much different from today (except for the technology).by.RANA CHAHAL

23
Request / New Requst
« on: October 14, 2015, 11:52:53 PM »
i want this song of my media (

Uska Hi Banana_-_www.DjPunjab.Com)

24
Shayari / Answer please /..........
« on: October 14, 2015, 11:37:54 PM »
Wada karte hain dosti nibhayenge
Koshish yahi rahegi tujhe na satyaenge
Zarurat pade toh dil se pukarana
Mar bhi rahe honge to mohlat lekar aayenge!!

25
Shayari / Top shayar .... today.. 15 oct. 2015
« on: October 14, 2015, 11:35:38 PM »
Meri chahat ko apni mohabbat bana ke dekh,
Meri hasee ko apne honto pe muskura k dekh
Mere aansoo ko apni aankho se gira ke dekh,
Meri tadap ko apne dil se mehsus kar ke dekh,
Ye mohabbat ek haseen tohfaa hain aye-jaan,
Kabi mohabbat ko mohabbat ki tarah b nibha k dekh

26
Love Pyar / WHAT IS LOVE ???
« on: October 14, 2015, 11:33:38 PM »
Anjaan ek saathi ka iss dil ko intejar hai,
Pyasa hain ye aankhen aur dil bekarar hai,
Unke saath mil jaye to har raah aasan ho jayegi,
Shayad issi anokhey ehsaas ka naam Pyaar hai.

27
Love Pyar / bilkul new shyari ....##@@@@@###
« on: October 14, 2015, 07:56:02 AM »
Hasrat hain sirf tumhey paaney ki,
Aur koi khawahish nahi is deewane ki,
Shikwa mujhe tumse nahi khuda se hai,
Kya zarurat thi tumhe itna khubsurat bnane ki

28
Love Pyar / FRESH LOVE SHYARI
« on: October 14, 2015, 07:54:10 AM »
Kuch to baat hai tujme jo tujhe yaad krne ko ji chahta hai
Kuch khas hai jo tujhe bahon me bharne ko ji chahta hai,
Hum tere kareeb hai ya nhi ye jante nhi hai magar dilbar
Fir bhi mohabbat mein hadd se guzarne ko ji chahta hain...

BY...........................
(RANA-CHAHAL)
(whatsapp no.+91 76966-74796 )

29
Love Pyar / Re: Best Bewafa Shayari In Hindi
« on: October 14, 2015, 07:49:07 AM »
okye thankss

30
Love Pyar / Re: SAD SHYARI BY RANA CHAHAL
« on: October 14, 2015, 01:03:58 AM »
Thanks noor

31
Love Pyar / Best Bewafa Shayari In Hindi
« on: October 14, 2015, 12:30:16 AM »
Best Bewafa Shayari In Hindi
Author. RANA CHAHAL AND OTHER


Here's the list of some of the best bewafa shayari.

Pyar Mein Bewafae Mile To Gum Na Kaerna,
Apne Aankhe Kisi Ke Liye Num Na Kaerna,
Wo Chahey Lakh Nafrat Kare Tumse,
Par Tum Apna Pyaar Kabhi Uskey Liye Kam Na Karna

Ya khuda dua meri ya khale na jay,
Ke mere dost ke palkon par aansu na aaye,
Aansu nikle to khushi ke nikle,
Gam ke aansu mujhe aa jaye



Top Bewafa Shayari >>

Zindagi Ki Haqiqat Sirf Itne Hoti Hai,
Jab Jagta Hai Ensan Ki Kesmat Soti Haai,
Insan Jis Par Apna Haq Khud Sey Zyada Smjhta Hai,
Wo Aamant Aksar Kisi Or Ki Hoti Hai.

Doston sey door rah kaer ye haqiqat malum hoti hai,
Ke bayshak wo jaise bhe hai,
Par ronak unhe sey hote hai

Sulagti talkh baton say
Baray be-dard hathon say
lo dekho haar di Tum nay
MUHABBAT MAAR DI TUM NE



Kajal Bankey Teri Ankho Meyn Samanay Ki Tamanna Hai,
Dawa Banke Teri Dard Metane Ke Tamana Hai,
Yun To Haasil Hai Zamane Ki Har Cheez Mujhe,
Sirf Ek Baar Tujhe Dulhan Ke Roop Mein Paane Ki Tamanna Hai

Kajal Bankay Teri Aankho Mein Samane Ki Tamanna Hai,
Dawa Banke Tere Dard Mitane Ki Tamanna Hai,
Yun To Haasil Hai Zamane Ki Har Cheez Mujhe,
Sirf Ek Baar Tujhe Dulhan Ke Roop Mein Paane Ki Tamanna Hai


Shayari in Hindi

Mohabbat Ke Sapney Wo Dikhaatay Bahut Hain..
Raaton Main Wo Hum Ko Jagaatay Bahut Hain..
Main Aankhon Main Kaajal Lagaaun To Kaise..
In Aankho Ko Log Rulaatay Bahut Hain!

Aaj phir uski yaad ne rula diya,
kesha hain ye chera jisne ye sila diya,
do lafj likhne ka salika na tha,
uske pyar ne mujhe shayar bana diya….

Peetay They Sharab Hum,
Usne Chudadi Apni Kasam Dekar,
Mehfil Me Gaye The Hum,
Yaroon Ne Piladi Uski Kasam Dekar

Pao Phailaye To Phir Dekhi Nahi Chadar Hum Ne.
Tujh Ko Chaha To Phir Aoukat Se Badh Ke Chaha

Meri Zindagi Se Pochiye Zindagi Kia Hai
Zindagi Hai Aik Khuwaab Is Ke Siwa Kuch Nahi

Suno,
Tum azam wale ho,
Balaa ka zabt rakhte ho,
Tumhain kuch bhi nahin hoga,
Magar dekho,
Jisey tum chorre jate ho,
Usey to theek se shayed,
Bicharna bhi nahin ata,
Suno,
Tum azam wale ho,
Usey mat chorr ke jao…



yeн na нo ĸaнen тυjн ĸo la'jawaв ĸaer don мay
ĸυcн ѕuwal raнne dey , ĸυcн jawaв reнne de



Ak hi tamanna rahe ak zamanay say,
bane hamare bhi apne banane say

dunea ki nazar aur hamari nazar me itna antar kyu raha.
koi hame samajha hi nahi hamare sachche dostane say



☼ Es Jahan ko dekhta rahon ya Tujh ko Deykhta rahoon ♣
☼ Tu Mare Samne baythi rahi Tujh ko Deykhta rahoon ♣


☼ Kaash Ghunghat Zamane ka hat jaye ♣
☼ Aur Mai Haseen Aankhon ko Teri Dekhta rahoon ♣

☼ Jab aa jayein Mehfil mai Shama-e-Janaan ban ker ♣
☼ To Mai is Jahan ko chor ker usko Dekhta rahoon ♣

Lovely Shayari in Hindi

Unka wada tha mayri kahani thi,
Unka safaer tha mayri manzil thi,
Aakhri saans tak pyar nibha dete hum,
Par dil hamara tuta aur dil todna unki aadat thi

Teri wafa pay shakh nahi,
Teri wafaoon ko mante hon main.
Magar tu kisi aur ki aarzo hai,
Ye haqikat bhi janti hon main

Itney Achay MosoM mein..
Roothna nahe acha..!
Haar Jeet ki baaten..
Kal pe Utha rakhen..
Aao..! Aaj Dosti karLen..!

Mei Os K Haseen Hathon Ka Gulaab Hona Chahta Hon ♣
☼ Mei Is Os Ki Nazar Mei Nayab Hona Chahat Hoon ♣




Wo Kehti hai Suno Jana
Muhbbat Moom Ka Ghar Hai
Tabish Bad Gumani Ki
Kahin Pighla Na De Ais ko

Main Kehta Hoon
Jis Dil Main Zara B Badgumani Ho
Wahan Kch Or Ho Tu Ho
Muhbbat Ho Nai Sakti

Wo Kehti Hai Sada Aisay He
Kaya tum Muj Ko Chaho Gaye
Keh Main Ais Main Kami Koi Bhi
Gawara Ker Nai Sakti

Main Kehta Hoon
Muhbbat Kaya Hai
Yeh Tum nay shikaya hai
Mujay Tum Say Muhbat K Siwa
Kch b Nai Ata

Wo Kehti Hai
Judai Say Buht Darta Hai Mera Dil
Keh Khud ko Tum Say Hat Ker Dekhna
Mumkin Nai Hai Ab

Main Kehta Hoon
Yahi Khadshay Buht Muj Ko sattay Hain
Mager Sach Hai Muhbbat Main
Judai Saath Chalti Hai

Wo Kehti Hai
Batao Kaya Mere Bin Ji Sako Gaye Tum
Meri Baatien,Meri Yaadien,Meri Ankhien
Bhula Do gaye

Main Kehta hoon
Kabhi Ais Baat per socha nai main nay
ager ik pal ko b sochon tu
saansien ruknay lagti hain

wo kehti hai tumhien muj say
muhbbat ais kader kio hoon
Keh main ik aam si lerki
tumhien kio khas lagti hon

Main kehta hoon
kabhi khud ko meri ankhon say tum dekho
meri dewangi kio hoon
yeh khud he jaan jao gi

wo kehti hai
mujay warftgi say dekhtay kio ho
keh main khud ko buht
keemti mehsoos kerti hoon

Main kehta hon
Mata-e-jaan buht anmool hoti hai
tumhien jab dekhta hoon zindgi
mehsoos kerta hoon

Wo kehti hai mujay alfaz k jugno nai miltay
keh tumhien bata sakon
keh dil main mere
kitni muhbbat hai


Main kehta hoon
muhbbat tu Niighaon say jhalkti hai
tumhari khamosi muj say
tumhari baat kerti hai


wo kehti hai
batao na kis ko khonay ser darta ho
batao kon hai wo jisay
yeh musam bulatay hain

Main kehta hoon
yeh meri sheri hai aiena dil ka
zara dekho batao kaya
tumhien ais main nazar aya

Wo kehti hai
Atif ji buht baatien banatay ho
mager sach hai yeh baatien
buht he shaad rakhti hain

main kehta hoon
yeh sab baatien yeh fasany ik bhana hain
keh pal kch zindagani k
tumhare saath kat jaien
phir us k baad khamoshi ka
dilkash raqs hota hai
nagihaien bolti hai or
lab khamosh rehtay hain



Wo samjhe na samjhe hamare jazbaat ko,
Hum maanenge unki har baat ko,
Hum chale jaayenge ek din is duniya ko chodkar,
Wo aasuon se royenge har raat ko



Hindi Love Bewafa Shayari

Ak Hi Insaan Se Pyaar Ho To Dil-Lagi Me Sakoon Milta Hai...Bhatak Jate Hain Wo Log Jin Ki Chahtain Hazaaron Hoti Hai..

Usko Azmana boht asa hota ager me uski naseeb me hota.Usko chona asan hota ager me uski kareeb hota.wo apni mohbat mujhe bhek me dateagaer me ghareeb hota

Maira zameer mujh sy ye khta hy!kiya daikhta hy apny hathun ki lakeeron kowo taira jbb bhi na thajab taira hath us k hath mai tha..

Aap kudrat ki bani tasveer ho mera dilse judi zanjer ho hum to us hath ko hi kaat de jis hath me aapse judai ki lakir ho

Wo bachpan bhe kitna ajeeb tha,na tha ashiq ka pata na the dunya ke khabr ha magr,me apni maa ke muhbat ka raqeeb tha.
u rootha rootha sa lagta hai? koi tarkeeb bata manane ki. main zindagi girrvi rakh sakhta hoon, tu keemat bata apne muskurane ki

Naa Hum Unke Ho Sake Aur Na Woh Hamare Ho Sake.....
Naa Jane Kya Tha Jo Na Samajh Sake Na Hi Samjha Sake....Faizan
Kaashmakash-e-Zindagi to Bas Sawalon Me Kat Gayi.



Kes kadaer hum yaer manane niklay,Unki chahat ke hum diwane niklay,Jab apne dil ka haal batana chaha to,Unke honto se waqt na hone ke bahanay nikle.......!.



Dar tha tumhe kho denga isi liya tumhe pa na saka,
Yaado ko tere magar dil se bhoola na saka,
Shikwa aaj bhi hai tere door jana ka,
Naam to hoto pe tha magar kabhi bhoola na saka.

Wo bhul gaye ke unhe hasaya kisne tha,
Jab wo ruthe the to manaya kisne tha,
Aaj wo kehte hain ke mein bahut khubsurat hu,
Shayad wo bhul gaye ke unhe ye bataya kisne tha



Maut se dar nahi lagta mujhko,
Tere sajda mein zindagi bitana chahte hai.
Bas kami hai tere rahmo karm ki maula,
Hum to tere paas aana chahte hai.



Bahut khubsurat unka har andaaz hai,
Haqiqat hai ya khwaab hai,
Khush naseebon ke paas rehte hain wo,
Mere paas to bas unki meethi si yaad hai.



Kya kya chupaye kya kya bataye,
Is Dard-E-Dil ko kise sunae,
Dard hota jism mein to dawa kar lete,
Par is bari dil ke dard ki dawa kaise banaye.

Apne dil ki pyas ko bujane chale aao
aao ab meri laash ko jalaane chale aao
sun liya zamane se mera afsana mene
ab bhi kuch bacha he sunnane chale aao
kise apna kahu me kise begana kahu

dost hi keh ke mujko mitane chale aao
na wafa karni he muje na kisi se jafa
ab jo bhi tum karte ho jatane chale aao

Tum ko ek talkh haqeeqat bhi bata dete hain Jis ko aksar ye log chupa dete hain Tum ne girte howe patton ko to dekha ho ga Apni har saans wo tehni pe gawan dete hain kia khoob sajate hain baharon me shajr ko Kari dhoop me apna ap jala dete hain Kitne be-ram shajr hain k naye patton ki khushi ke liy Poraane patton ko gira dete hain.

Enjoyed these beautiful shayari's. Please SHARE..

32
Love Pyar / Urdu Hindi Mix Shayari Collection by Rana chahal
« on: October 14, 2015, 12:27:58 AM »
Urdu Hindi Mix Shayari Collection by Rana chahal

Andhere Ka Ehsas Shaam Se Hota Hai.
Nashe Ka Ehsas Jaam Se Hota Hai.
Yun To Hazaaron Gham Hai Is Dunia Me.
Magar Dard Ka Ehsas Mohabbat Ke Naam Se Hota hai.


Tamanna jab Kisi Ki nakaam ho jati hai
Zindagi uski ek sham ho jati hai
Dil ke sath daulat ka hona bhi jaruri hai
Warna garib ki mohabbat nilaam ho jati hai

Yun Toh Sadmo Me Bhi Has Lete The Hum,
Aaj Kyun Bewajah Rone Lage Hai Hum,
Barso Se Hatheliya Khali Hi Rahi Meri,
Phir Aaj Kyu Laga Ki Sab Khone Lage Hai Hum...


Koi dur ho kitna hi, kya gham hai
Magar wo apna hai, yeh kya kam hai
Chahe na ho koi baat, na ho koi mulakat
Yaad woh karle ek baar, yeh kya kam hai…

Zindagi ne khushiyo ko pukara hai,
zara muskurakao aapka har gum
hamara hai,
phool khilte rahe zindagi me aapke,
kaanto ke liye to hamesha daman
hamara hai.. ...

33
Love Pyar / Hindi Love Shayari BY Rana Chahal
« on: October 14, 2015, 12:27:14 AM »

Hindi Love Shayari  BY Rana Chahal

Main Us Ke Haatho Mein Tha
Tute Hue Sheeshe Ki Tarah
Badi Umeed Thi Ke Bikhrane Nahi Dega
Bas Giraya Kuch Is Ada Se Ke Simatne Ki Aas Hi Na Rahi…

Kalam Chalti Hai To Dil Ki Awaz Likhta Hoon
Gham Aur Judai Ke Andaz-E-Bayaan Likhta Hoon
Rukte Nahi Hain Meri Aankhon Se Aansu
Main Jab Bhi Uski Yaad Mein Alfaz Likhta Hoon…

Bolta Nahi Koi Isliye Zamane Se
Ke Log Toot Jate Hain Faisle Sunane Se
Kyu Udaas Baithe Ho Is Tarah Andhere Mein
Dukh To Kam Nahi Hote Roshni Bujhane Se…

Ruk Gaya Wo Waqt Ki Nishani Ban Ke
Beh Gaya Ek Din Aankh Ka Pani Ban Ke
Ajeeb Kashma-kash Ban Gayi Hai Zindagi
Ae Maut Tu Hi Mil Ja Ab Ishq Ki Nishani Ban Ke

Tere husan ko perdey ki zarurat hi kia hai
kon hosh main rehta hai tujhey dekhney k baad….

Tapakti hai nigaaho’n se, Barasti hai adaaoon se,
Mohabbat kon kahta hai pahchaani nahi jaati…

Wo ate hain to dil me ik kasak mehsos hoti hai,
Me darta hon kahen is ko muhabbat to nahin kehte.

Shaayed uss ne mujhko tanha dekh liya hai
Dukh ne mere ghar ka rasta dekh liya hai
Apne aap se aankh churaaye phirti hoon main
Aayine mein kiska chehra dekh liya hai
Ab bhi sapne boye to eimaan hai uska
Usne in aankhon mein sehra dekh liya hai
Uss ne mujhe dar-asal kabhi chaha hi nahi tha
Khud ko de ker yeh bhi dhoka dekh liya hai
Uss se milte waqt ka rona kuch fitri tha
Uss se bichar jaane ka nateeja dekh liya hai
Rukhsat karne ke aadaab nibhaane hi they
Band aankhon se usko jata dekh liya hai !!

waqt badalta hai zindagi ke saath,
zindagi badalti hai mohabbat ke saath
mohabbat nahi badalti apno ka saath
bas apne badal jate hai waqt ke saath.”

Kadam yuhi dagmaga gaye raaste me,
Warna sambhlna hum bhi jaanthe the,
Thokar bhi lagi tho us pathar se,
Jise hum apna mante the…

34
Love Pyar / List Of Urdu Hindi Shayari
« on: October 14, 2015, 12:25:47 AM »

List Of Urdu Hindi Shayari


List of Best Collection of mix Urdu and Hindi Shayari by RANA CHAHAL

Mat Karo Pyar Kisi Se Phoolon Ki Taraha
Phool To Pal Mein Murjha Jaate Hain
Pyar Karo To Karo Kaaton Ki Taraha
Jo Chubhne Ke Baad Bhi Yaad Aate Hain



Aap Ki Yaad Mein Sab Kuch Bhulaye Baithe Hain
Chiraag Khushiyon K Bujhaye Baithe Hain
Hum To Marenge Aap Ki Baahon Main
Yeh Bhi Maut Se Shart Lagaye Baithe Hain…



Aankhon Ne Tumhari Ye Baiyan Kar Diya
Ikraar Ke Intezaar Ne Hume Ruswa Kar Diya
Yakin Hai Mohabbat Tumhe bhi Hai Humse
Dhadkan Ne Tumhari Hamare Dil Se Keh Diya



Jhuki Nigah Ko Izhaar Kehte Hai
Dharkte Dil Ko Ikraar Kehte Hai
Sirf Paane Ka Naam Mohabbat Nahi
Kuchh Khone Ko Bhi Pyar Kehte Hai


kabhi Laga Wo Hame Sata Rahe Hain
Dusre He Pal Laga Wo Kareeb Aa Rahe Hain
Kuch Log Hote Hain Aansuo Ki Tarah
Pata He Nahi Lagta Saath De Rahe Hai Ya Chor Ke Jaa Rahe Hain.

Read These More Urdu Shayari

Ab Hum Kisi Ki Bhi Tamannaa Na Karenge
Ab Raah Bhi Kisi Ki Dekha Na Karenge
Mere Dard Se Vaakif Na Ho Jaye Mera Saya
Ab Is Andhere Dil Mein Ujaala Na Karenge
Aakhen Jali, Rooh Jali, Dil Jla, Jism Jla
Deeya Umeed Ka Palkon Par Jalaaya Na Karenge


Meri aankhon me utro inhe samandar kardo
Kuch hi sahi mohabbat ki ek nazar kardo

Toot kar yu milo ke armaan na reh jaye koi
Yu mohabbat ke har Lamhe ko amar kardo

Tum par aye na ye waqt-e-qayamat kabhi
Badi mushkil hai judai ise mukhtasar kardo

Jinke noor se mil jaye beenai hame bhi
Apne khuwabo ko meri Aankho ki nazar kardo

Khushi me shamil na karo to koi baat nahi
Tum apne dukho ko mere hamsafar kardo.........



Ek din usse na dekha dil uds ho gya....................
kuch hi pal mey wo itna khaas ho gya.............
ab tak to pata nahi tha mujhe....................
lekin uski judai se uski aahmiyat ka ehsaas ho gya.



Bekudhi mAI Bus ek irada kar liya
Is dil ki chahat ko Had se zayada kar liya
jante the wo ise Nibha Na Sakenge par
Unhone Majak OR humne wada kar liya tha.


Wo Aansu Jo Palko Ki Zeenat Nahi Bante
Wo Chupke Se Dil Mein Utar Jaya Karte Hain
Kuch Log Apne Dukho Ki Numaish Nahi Karte
Bas Khamoshi Se Hi Bikhar Jaya Karte Hain…


Har Dil Mein Dard Chupa Hota Hai
Bayan Karne Ka Andaz Juda Hota Hai
Kuch Log Ashqon Mein Dard Ko Baha Dete Hain
Aur Kisi Ka Dard Hassi Mein Chupa Hota Hai…


Aansuon Ke Sahare Unke Gam Ko Bhula Dete Hain
Wo Nazar Aate Hain Jab Kabhi To Khud Ko Chupa Lete Hain
Dard-E-Dil Ki Halat Ko Kin Alfazon Mei Byaan Kare Hum
Aaeene Mein Khud Ko Dekete Hain To Nazrein Jhuka Lete Hain…



35
Love Pyar / SAD SHYARI BY RANA CHAHAL
« on: October 14, 2015, 12:18:49 AM »
Usne Aakhri mulaqat karke meri zindagi ki raat kardi..
Abhi thik se usko jana bhi nhi tha ki usne jane ki baat krdi,
Jise naaz tha gurbat pe meri.
Usne shaan paiso ki dikha kar zahir meri aukaat kardi..
Jiske lehje me sirf hum tum hua karte the.
Aaj usne sharminda mujhe punch kar meri zaat kardi..
Jiski chahat me maine zamana chhoda.
Aaj usne mujhe chhod kar wahi siyasat mere saath kardi..

36
Love Pyar / TodaY shyari by RANA CHAHAL
« on: October 14, 2015, 12:15:12 AM »
Teri chahat me hum zamana bhool gaye
Tere baad kisi ko apnana bhool gaye..!!

Phir laga sara janha veerana hum ko,
Jese chaman me phool mehkna bhool gye

Tumse mohabbat hai btaya sare janha ko
Yahi baat tum ko btana bool gaye….!!

Hmne mita diya jaha bhi likha tha tera nam
Bas apne dil se mitana bhool gaye..!!

Wo juda hum se muskurate huye,
Magar apni palko se aansu hatana bhool gaye.! by RANA CHAHAL

37
Shayari / New Two Love Shyari in Hindi Language .
« on: October 10, 2015, 12:38:09 AM »
 मोह्ब्बत किसी ऐसे सख्स की तलाश नही करती
...जिसके साथ रहा जाये,
मोह्ब्बत तो ऐसे सख्स की तलाश करती हे
..जिसके बगेर रहा न जाये!! :sad:



 ना जाने मुहब्बत में कितने अफसाने बन जाते है
शमां जिसको भी जलाती है वो परवाने बन जाते है
कुछ हासिल करना ही इश्क कि मंजिल नही होती
किसी को खोकर भी कुछ लोग दिवाने बन जाते है ..!!! :smile:

RANA CAHAHAL........

38
Shayari / Mere Yaar ki aakhe.. New Hindi shyari
« on: October 10, 2015, 12:30:07 AM »
समंदर से भी गहरी है,
मेरे यार की आँखें….!!

नदियों से भी लहरी है,
मेरे दिलदार की आँखे,

खो जाता हूँ इन नैन में,
जो फूल सी सुन्दर है
मेरे प्यार की आँखे..!!

कभी उठता हूँ, कभी गिरता हूँ
जाम से भी नशीली है,
मेरे जाने बहार की आँखे.

जल जाता हूँ इन बहारों में,
ज्वाला मुखी से भी तेज़ है,
मेरे दिलबहार की आँखे….!

डूब जाता हूँ इन नज़रों मैं,
ऐसी है मेरे तलबदार की आँखे......(author. RANA CHAHAL /0

39
Members Pics / Best Hindi Language Status
« on: October 08, 2015, 07:20:28 AM »
ना पूछ मेरे सब्र की इंतेहा कहाँ तक हैं,
तू सितम कर ले, तेरी हसरत जहाँ तक हैं,
वफ़ा की उम्मीद, जिन्हें होगी उन्हें होगी,
हमें तो देखना है, तू बेवफ़ा कहाँ तक हैं |
 :omyeyes:

जिंदगी देने वाले , मरता छोड़ गये,

अपनापन जताने वाले तन्हां छोड़ गये,

जब पड़ी जरूरत हमें अपने हमसफर की,

वो जो साथ चलने वाले, रास्ता मोड़ गये॥ :omyeyes:

यादें होती हैं सताने के लिए !

कोई रूठता हैं फिर मनाने के लिए !!

रिश्ता बनाना कोई मुश्किल तो नहीं !

बस जान चली जाती हैं उसे निभाने के लिए !!

कहाँ वफा का सिला देते हैं लोग !

अब तो मोहब्बत की सजा देते हैं लोग !!

पहले सजाते हैं दिलो में चाहतों का ख्वाब !

फिर ऐतबार को आग लगा देते हैं लोग !! :omyeyes:



उनकी गली से गुज़रे…अजीब इत्तेफ़ाक था…

उनकी गली से गुज़रे…अजीब इत्तेफ़ाक था…

उन्होंने फूल फेंका…गमला भी साथ था!! :D: :D:


मेरे मरने के बाद मेरे दोस्तों

यूं आँसू ना बहाना..

अगर मेरी याद आये तो..

सीधे ऊपर चले आना!! :happy: :happy:


Pages: 1 [2]