October 07, 2024, 06:24:10 PM

Show Posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.


Messages - Gujjar NO1

Pages: 1 ... 317 318 319 320 321 [322] 323 324 325 326 327 ... 531
6421
----------------------------------------------------------

Hawaa ke hote huye roshni tu kar jaye,
Meri tarah se koi zindagi tu kar jaye,


Tamaam umar tayeb mein hi basar hogi,
Teri taraf se nazar be-rukhi to kar jaye,


Chiragh-e-dil teh mehraab jaan na chore,
Hawaa ke sath koi dushmani to kar jaye,


Phir is ke baad jahan mein kahin panaah nahin,
Tere huzoor yeh jaan sarkashi tou kar jaye,


Woh dushmani ke bhi kaabil na mujh ko chore ga,
Us aadmi se yeh dil dosti tou ka jaye…

6422
thanx ji hun teez clr use karo ga
-----------------------------------------

Ik Shaks Ko Soochnay Lagi Mein
Phir Aaina Dekhne Lagi Mein


Oski Tarah Apna Naam Le Kar
Khud Ko Bhee Lagi Nayi Nayi Mein


TU Mere Bagair Na Reh Sakaa Tou
Kub Tere Bagair Jee Saki Mein ???


Aati Rahay Ab Kaheen Se Aawaaz
Ab Tou Tere Paas Aagayi Mein


Daaman Tha Tera Ke Mera Maatha ?
Jo Daagh Bhee Thay Mita CHuki Mein

6423
--------------------------------------------------
Apni hee sadaa sunuun kahan tak ???
Jungul ki hawa rahuun kahan tak ???


Har baar hawa na hogi dar per
Har baar magar uthuun kahan tak ???


Dum ghut’ta hai ghar mein hubs wo hai
Khushbo ke lye apna raffuu karuun kahan tak ???


Saahil pe samandaron se bach kar
Mein naam tera likhoon kahan tak ???


Tanhaayi ka ek ek lamha
Hungaamon se qarz loon kahan tak ???


Gar lams nahee tou lafz hee bhej
Mein tujh se juda rahuun kahan tak ???



Sukh se bhee tou dosti kubhi ho
Dukh se hee galay miluun kahan tak ???


Mansoob ho har kiran ksi se
Apnay hee lye jaluun kahan tak ???


Aanchal mere bhar ke phat rahay hain
Phool us ke lye chunuun kahan tak ??

6424
thanku ji
---------

Qismat Se Bhi Kuch Siwaa Dia Hai ?
Baarish Ne Hamain Mila Dia Hai


Dekhi Hai Meri Udaasi Os Ne
Aur Dekh Ke Muskura Diya Hai


Ab Tou Mujhe Sabar Aa Gaya Tha
Ye Kis Ne Mujhe Rula Dia Hai


Wo Chaahay Tou Raasta Badal Le
Mein Ne Tou Dia Jala Dia Hai


Os Ronaq-e-Bazm Ne Tou Meri
Tanhaayi Ko Sajaa Dia Hai


Wo Pal Ke Sulagh Uthaa Hai Malboos
Aur Os Ne Diya Bujhaa Dia Hai

6425
aaj lambi poetry da  din  aa

gour naal suno ji
============

Aqs-e-Gul Ter Jala Howa Thaa
Khwaabon Ka Nagar Jala Howa Tha


Ya Dast-e-Dua Na Uth Saka Tha
Ya Os Ka Asar Jalaa Howa Tha


Har Ghar Tha Luta Howa Kayi Baar
Aur Baar-e-Gard Jalaa Howa Tha


Ya Noch Lye Gaye Thay Pattay
Ya Saara Shajar Jalaa Howa Tha


Aankhon Ki Jaga Pe Aablay Thay
Aur Taar-e-Nazar Jalaa Howa Tha


Malba Tha Tamaam, Sheher-e-Khobi
Aur Ho Ke Khandar Jalaa Howa Tha


Teh-Khaana Jaan Mein Tujh Ko Rakhti
Laikin Mera Ghar Jalaa Howa Tha


Kuch Dair Ka Sokhta Na Tha Sheher
Ye Aath Peher Jala Howa Tha


Parwaaz Ka Itna Dar Qafas Mein
Tota Howa Par Jalaa Howa Tha


Manzil Thi Ghubaar-e-Raah Mein Guum
Aur Rakht-e-Safar Jalaa Howa Tha

6426
lgda aj roti kha lyi aa gujr tusi
lolz


ਇਸ ਸ਼ਰਤ ਤੇ ਖੇਡਾ ਮੇਂ ਪਿਆਰ ਦੀ ਬਾਜ਼ੀ....
ਜੇ ਜਿੱਤਾ ਤਾ ਤੇਨੂੰ ਪਾਵਾ___ ਜੇ ਹਾਰਾ ਤਾ ਤੇਰੀ ਹੋ ਜਾਵਾ....♥ ♥
hanji roti vi kha li naal teez peti di cha vi pi li
hor suno ji


Kya Baat Hai Jis Ka Gham Bohat Hai ?
Kuch Din Se Yeh Aankh Nam Bohat Hai


Mil Leta Hai Guftugu Ki Had Tak
Itna Hee Tera Karam Bohat Hai


Ghar Aap Hi Jagmaga Uthe Ga
Dehleez Pe Ik Qadam Bohat Hai


Mil Jaye Agar Teri Rafaqat
Mujh Ko Tou Yehi Janam Bohat Hai


Kya Shab Se Humein Sawaal Karna ?
Hona Tera Subha Dam Bohat Hai


Kyon Bujhne Lage Chiraagh Mere ?
Ab Ke To Hawa Bhi Kam Bohat Hai


Chup Kyon Tujhe Lag Gayi Hai


Sunte They Ke Tujh Mein Ram Bohat Hai

6427

Aqs Khushbu Hun, Bikharnay Se Na Rokay Koi
Aur Bikhar Jaon Tou Mujhko Na Samaitay Koi


Kaanp Uthti Hun Mein Ye Soch Ke Tanhaayi Mein
Mere Chehray Pe Tera Naam Na Parh Le Koi


Jis Tarah Khwaab Mere Hogaye Raiza Raiza
Is Tarah Se Na Kabhi Toot Ke Bikhray Koi


Mein Tou Is Din Se Hiraasaan Hun Ke Jab Hukm Milay
Khushk Phoolon Ko Kitaabon Mein Na Rakhay Koi


Ab Tou Os Raah Se Wo Shaks Guzarta Bhee Nahee
Ab Kis Umeed Pe Darwaazay Se Jhaankay Koi?


Koi Aahat, Koi Aawaaz, Koi Chaap Nahee
Dil Ki Galyaan Badi Sunsaan Hain, Aaye Koi

6428

Gawahi Kaisay Toot’ti, Muamla Khuda Ka Tha,
Mera Aur Uska Rabta To Haath Aur Dua Ka Tha.


Gulab Qaimat-E-Shaguft, Shaam Tak Chuka Sakay,
Ada Wo Dhoop Ko Hua, Jo Qarz Bhi Saba Ka Tha.


Bikhar Gaya Hai Phool To Hum Hee Se Pooch Guchh Hui
Hisaab Baghbaan Se Hai Kia Dharaa Hawa Ka Tha,


Lahoo Chashida Hath Us Ne Choom Ker Dikha Dia,
Jaza Wahan Mili Jaha Marhala Saza Ka Tha,


Jo Barishon Se Kabal Apna Rizq Ghar Mein Bhar Chuka,
Woh Sheher e Moor Se Na Tha Door Bais Balaa Ka Tha.

6429

Bajaa Ke Aankh Mein Neendon Ke Silsilay Bhee Nahee
Shikast-e-Khwaab Ke Ab Mujh Mein Honslay Bhee Nahee


Nahee Nahee ! Ye Khabar Dushmanon Ne Di Hogi
Wo Aaye, Aa Ke Chalay Bhee Gaye ! Milay Bhee Nahee


Ye Kon Loog Andheron Ki Baat Kartay Hain ?
Abhee Tou Chaand Teri Yaad Ke Dhalay Bhee Nahee


Abhee Se Mere Raffugar Ke Haath Thaknay Lagay
Abhee Tou Chaak Mere Zakham Ke Silay Bhee Nahee


Khafaa Agarche Hamesha Howay Magar Ab Ke
Wo Barhami Hai Ke Hum Se Unhain Gilay Bhee Nahee

6430

Samajh mai kuch nahin ata Mohabbat kisko kehte hain,
Magar itna samajhti hun ke dil mai Dard hota hai.

6431

Wo Saamnay Tha Magar Ye Yaqeen Na Aata Tha,
Wo Aap Hai Ke Meri Khwaahishon Ka Saaya Hai ?

6432
Ashqo sirf 2 line hi likhni hai
gujar te apne wali nu bore hi kar dinda hona
 :D: :D: :D:
yaar tu hasda pehla ey dass kudi ne hindi vich keha ki ? :whew:

6433
oops ena jyada couplet

nice
Pyar aur barish- dono ek jaise hote hai,
Wo humesha yadgar hote hai,
Fark sirf itana hai ki barish sath rah kar tan bhigati hai
Aur,pyar door rahkar aankhe.
i think tenu eydhi samj nahi ayi nahi te oops nahi si karna so main del kar deen lagha :sad:

6434

Ek shakhs ko deakha tha
Taron ki tarha Hamney


Ek shaks ko chaaha tha
Apnon ki tarha Hamney


Ek shaks ko samjha tha
Phoolon ki tarhaa Hamney


Wo shaks qayamat tha
Kya uski karein Batain


Din us ky liye Paida
Aur uski he thi Ratain


Kab milta kisi se tha
Ham se thi mulaqatain


Rang uska Shahaabi tha
Zulfon mein thi Mehkarein


Aankhain thi ke jaadu tha
Palkain thi k talwarain


Dushman bi agar dekhein
so jaan se dil Harain


Kuch tum se wo milta tha
Baton mein shahaabat thi


Han tum sa hi lagtaa tha
Shokhi mein sharaarat main


Lagta bhi tumhe sa tha
Dastur-e-mohabbat main


Wo shaks hamain aik din
Apnon ki tarhaa Bhoolla


Taron ki tarha doobba
Phoolon ki tarha tootta


Phir haath na aaya woh
Hamney bohat dhoondha


Tum kis liye chonkey hom
Kab zikar tumhar hai


Kab tum se takaaza hai
Kab tum se shikaayat hai


Ikk taaza Hikayat hai
Sun lo tou inayat hai


Ek shaks ko chaaha tha
Apnon ki tarha Hamney.

6435
wah buhat vedia prav


Mery Nazdeek Aa K Dekh Mery Ahsas Ki Shiddat,
Mera Dil Kitna Dharakta Hy Sirf Tery Naam K Sath…

6436
nice ji



Tum Ko Uljhaa Ker Kuch Sawaalon Mein,
Maine Jee Bhar Ke Tum Ko Dekh Liya.. :smile:

6437

Kaha Maine Ke Kab Yeh Zindagi
 Khushboo Lagi Tum ko ??


Woh Bola Be-Khayali Main
Tujhe Jab Chhoo Lia Maine …

6438

Na kar Azaad yun Mujh ko,
 Tu apne Dil ki duniya Se,


Ke rehna hai Saada ab to,
Teri hi Qaid mein Mujh ko.

6439

Kahani dard ki main zindagi se kiya kehta,
Ye dard us ne diya hai usi se kiya kehta..


Gila to mujh ko bhi kerna tha piyaas ka lekin,
Jo khud hi sookh gayi us nadi se kiya kehta..


Mere apnay hi mujh ko samajh na paye kabhi,
Me aapna haal kisi ajnabi se kiya kehta..


Andheri raat ne mujhko bohot sataya hai,
Bhala ye baat main ab roshni se kiya kehta..


Tamaam shehr me jhoot ka raaj tha shayed,
Main apne ghum ki haqeeqat kisi se kiya kehta

6440
Bohat Khushnuma Ek Raat Guzri Hy
Kuch Tanha Per Kuch Khaas Guzri Hy
Na Neend Aai Na Khwaab Koi
Bas Tere Khyalo'n k Saath Guzri Hy

Pages: 1 ... 317 318 319 320 321 [322] 323 324 325 326 327 ... 531