October 07, 2024, 10:52:25 PM

Show Posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.


Messages - Gujjar NO1

Pages: 1 ... 309 310 311 312 313 [314] 315 316 317 318 319 ... 531
6261

Ek Shaks Pas Reh Ke Samjha Nahi Mujhe
Is Baat Ka Malal Hai Shikwa Nahi Mujhe

Main Us Ko Bewafai Ka Ilzam Kaisay Dou
Us Ne To Ibteda Se Hi Chaha Nahi Mujhe

Pathar Samajh Kar Paon? Se Thokr Laga Dia
Afsos Teri Aankh Ne Parkha Nahi Mujhe

Kya Umedein Baandh Kar Aaya Tha Samnay
Us Ne To Aankh Bahr Ke Dekha Nahi Mujhe?!!!

6262
Shayari / Re: 2007 to 2012
« on: June 22, 2012, 11:47:38 AM »
great words so nice :okk:

6263
Complaints / Re: Punjabi Facebook Activity Stream ISSUES
« on: June 22, 2012, 11:43:38 AM »
main window hi new kar li hun sub theek aa :smile:

6264

Mein tujhe ko bhool chuka, Lekin aik umar ke baad


Tera kheyal kya tha ke chott ubhar aayi…

6265
Woh Pathar-Dil Sahi Magar Hamara Bhi Yeh Daawa Hai

Hamare Lab Jinhen Chuu Lain Woh Pathar Bol Uthte Hain.

6266
Love Pyar / Re: Sahi gal aa :)
« on: June 21, 2012, 11:13:25 AM »
"Yaar nu yaar" "pyar nu pyar""kismat nu mauka""maut da hoka" te "ashiq
nu dhokha" kade na kade mil hi jande ne......
very tru ji :okk:

6267
Hum Rahay Per Nahee Rahay Aabaad
Yaad Ke Ghar Nahee Rahay Aabaad

Kitni Aankhain Howin Halaak-e-Nazar
Kitnay Manzar Nahee Rahay Aabaad

Hum Ke Ay Dil Thay Sakhan Sir Taa Paa
Hum Labon Pe Nahee Rahay Aabaad

Sheher-e-Dil Mein Ajab Mohallay Thay
In Mein Aksar Nahee Rahay Aabaad

Jaanay Kia Waaqiya Howa Kiun Loog ????
Apnay Andar Nahee Rahay Aabaad

6268
Shayari / Re: Andaaz-E-Muhabat
« on: June 18, 2012, 12:58:19 PM »
Apne Haathon Ki Lakeeron Mein Basaa Le Mujhko
Mein Hun Tera Naseeb Apna Bana Le Mujhko

Mujh Se TU Poochnay Aaya Hai Wafa Ke Maainay
Ye Teri Saada-Dili Maar Na Daalay Mujhko

TU Ne Dekha Nahee Aainay Se Aagay Kuch Bhee
Khuda Parasti Mein Kaheen TU Na Ganwa Le Mujhko

Khud Ko Mein Baant Na Daalon Kaheen Daaman Daaman
Kar Dia TU Ne Agar Mere Hawaalay Mujhko

Baadaah Phir Baadaah Hai Mein Zeher Bhee Pee Jaon Qateel
Shart Ye Hai Koi Baanhon Mein Sambhaalay Mujhko

6269
bye rani
======
Insaan ka yeh haal ho gaya hai,
Har chehraa sawaal ho gaya hai.

6270
thanx ji
----------

Kabhi Sab Kuch Keh Kar
Kabhi Khamosh Reh Kar

Kabhi Bahut Door Jaa Kar
Kabhi Paas Aa Kar,

Wo Mujhe Ye Ehsaas Dilata Hai,
Ke Uski Mohabbaton Ka,

Shiddaton Ka Koi Shumaar Nahi,
Magar Usse Puchho

Bata Kar Hi Ki Jaati Hai?
Kya Mohabbat Jata Kar Bhi Ki Jaati Hai???

6271
Andharoon Sy Hamain Kaisa Gila Hy
Hamara Chand Jab Hum Sy Khafa Hy

Jo Har Mayoos Lamhy Main Raha Hy
Wohi Is Baar Bhe Hamara Khuda Hy

Kisi Ky Ghar Ky Darwazy Sy Pahly
Hamara Dil Ka Drwaza Khula Hy

Usy Bus Daikhna, Phir Lout Ana
Wo Pathr Sy Tarasha Mootiya Hy

Na Jany Kia Hua Ab Ky Barishoon Main
Maira Ghar Shabnamoon Main Bah Gia Hy

Hamain To Raat Bhr Tu Yaad Aya
Tairi Ankoon Main Kaisa Rut Jagayahy

Bulai Tu Hamain Us Paar Koi
Hamary Pass Bhe Kacha Ghara Hy

6272
Wo rootha rootha sa lagta hai,
Koi tarkeeb batao pass aane ki,

Main zindgi girvi rakh sakta hoon,
Tum keemat batao usey manane ki…
--------------------------------------------------
jeri profile te photo layi iss base tu lol
odha mainu ey photo vi shoni laghdi te tuhadi gall baat karne da andaz vi shona laghda

6273
Shayari / Re: hum safar
« on: June 18, 2012, 11:52:31 AM »
thanx friends  :smile:

6274
jhansi di rani nu rani hi kena ..nale mainu chnga laghda tuhanu rani kehna so plz dont mind
-----------------------------------------------------------------------------
Chaand Kay Saath Kayi Dard Puranay Niklay
Kitnay Ghum Thay Jo Teray Gham Kay Bahanay Niklay


Fasal E Gul Ayi, Phir Ik Baar, Aseeraan E Wafa
Apnay Hi Hoon Ma Nahanay Niklay


Hijar Ki Chout Ajab Sang E Shikam Hoti Hai
Dil Kay Bafaiz Zameenon Sa Hazanay Niklay


Dil Na Ek Eent Sa Tameer Kia Taajmahal
Tou Na Ek Baat Kahi Laakh Fasanay Niklay


Dasht E Tanhai Hijraan Ma Khara Soochta Hn
Hai Kia Log Meray Lia Nibhaanay Niklay


Main Na Ashfaq Usay Bay Wasta Dekha Hi Nahe
Wo To Khushboo Bhi Ahat Kay Bahany Niklay

6275
thanx rani ji
=========
Meri Fitrat Me Nahi Apna Ghum Bayan Karna,
Agar Tere Wajood Ka Hissa Hoon To Mehsus Kr !!!

6276
Roney se to bichrey huye sathi nahin milte,
Maana ke yehi kaam din raat kiya.

6277
Chalo Ke Ajj Bachpan Ka Koi Khail Khalein,
Bari Muddat Hoi Bewajah Hans Ker Nhi Dekha

6278
Jeena Chaha Magar Jee Na Sake Tere Bina
Char Daman Hum See Na Sake Tere Bina

Tune Mujhe Bhool Kar Nai Duniya Basali
Hum To Muskura Bhi Na Sake Tere Bina

6279
Shayari / hum safar
« on: June 17, 2012, 01:27:56 PM »
Hum safar le chale wahan ,jahan tere siwa kuch na ho

Jahan qaid na ho umer ki

Jahan qemat na ho jazbon ki

Jahan hawas na ho chahat ki

Jahan mohtaji na ho lafzon ki

Hum safar le chale wahan ,jahan tere siwa kuch na ho

Jahan koel geet gati ho

Jahan hawa raqas karti ho

Jahan pareem ki nadiya behti ho

Jahan chaman khoshiyan manati ho

Hum safar le chale wahan ,jahan tere siwa kuch na ho

Tere lamas ki chahat nahin

Tere jisam ki bhook nahin

Tere honton ki lalach nahin

Tere joban ki pias nahin

Hum safar le chale wahan ,jahan tere siwa kuch na ho

Apni chahaton ki roshani de

Apni sochon ki tamtamahat de

Apni sakot ka biyan de

Apni dharkanon ka qarar de


6280
Manga Hi Nai Maine Apni Chahat
Ka Sila Tujhse ,


Ke Shahyad Inkar Ki Bhi Fursat Na
Ho Tere Pass .

...
---------------------------------------------------------------------------------

Meri ankhon me najane kia parh raha tha
Shaid uss me apna naam parh raha tha

Yee daikh kar uss ka wajood bhi kanp otha
Mujh pe beti hoi jab dastan parh raha tha

Judai ki afat bhi usi waqt hi ai thi
Jab wo mere hath ki lakerain parh raha tha

Pal bhar k lie bhi kia use meri yaad na ai
Uss shajar par likha jab apna naam parh raha tha

Shaid yakeen aa hi gea tha mere piar par use
Jab lahoo se likha mera khat parh raha tha

ashfaq mehsos ho rahi thi use apni zaat bhi
Mere sene ki jab wo dharkan parh raha tha

Pages: 1 ... 309 310 311 312 313 [314] 315 316 317 318 319 ... 531