May 23, 2024, 12:19:01 AM

Show Posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.


Topics - Gujjar NO1

Pages: 1 ... 4 5 6 7 8 [9] 10 11 12 13 14 ... 25
161
Shayari / dosh taqdeer da
« on: April 17, 2012, 11:01:42 PM »
loki kehnde sara dosh taqdeer da si
mere dukh kehnde teri tasveer da si

mere dill vich vassdi yaad odhi
main paband zamane di zanjeer da si

ankha de hanjo wagde pe ne
mere tu wada dukh dille dilger da si

beyleee majhyan chogaan da shok nahi si
ranjhe jogi hoya vela(time)sara heer di si

har dukh nu asi chupande rhee
ashfaq qaid apni taqdeer di si

162
Shayari / zakham by bloriakh
« on: April 11, 2012, 05:00:27 AM »
kuch khyaala ne buhe kole a ,,,,,
kuch akha ne janjhu dole a,,,,
pta nahi kiss ne ake meri roh nu jagiya,,,,,
tahi ta mere zakham ajj mere nal bole aa....

163
Lok Virsa Pehchaan / chrhde Mirze Khan Nu
« on: March 29, 2012, 11:28:19 AM »
Jatt Charhde Mirze Khan Nu - Asa Singh Mastana

164
Funny Videos / Pakistani Punjabi funny videos
« on: March 16, 2012, 02:32:42 PM »
Video not available !! Removed bye You tube

165
Shayari / Wohi qissay hain ,wohi baat purani apni
« on: March 05, 2012, 10:05:18 AM »
Wohi qissay hain ,wohi baat purani apni
Kon sunta hai bhala ram kahani apni
Har sitamger ko ye hamdard samajh leti hai,
Kitni khush-feham hai kambakht jawani apni,

Roz miltay hain darechay mein naye phool mujhe,

Chorrh jata hai koi roz nishaani apni


Tum Se Bichrey Hain To Paya Hai Biyanbaan Ka Sakoot

Warna Daryaon Se Milti Thi Rawani Apni


Dushmano’n se hi gham-e-dil ka madawa mange’n

Dosto’n ne tou koi baat na maani apni


Aaj phir chand ufaq per nahin ubhra Mohsin

Aaj phir raat na guzrey gi suhaani apni

166
Jokes Majaak / “Ghanta”
« on: March 01, 2012, 12:28:15 PM »
Ek Din Ka 24 Ghanta,
Usme 9 Sone Ke,
9 Kamaane Ke,
1 Travelling Ka,
1 Toilet Ka,
2 Khane Peene Ke,
2 Family Ke Liye,
Apne Liye Bacha Kya?
Ghanta!
:he:

167
Shayari / Har Dard Me Taskeen
« on: March 01, 2012, 11:35:45 AM »
Har Zakham Ki Aaghosh Main
Hai Dard Tumhara
Har Dard Me Taskeen Ka
Ehsaas Bhi Tum Ho,

Kho Jao To Weeran Si
Ho Jaati Hain Rahein,
Mil Jao To Phir Jeena
Ka Ehsaas Bhi Tum Ho,
Likhta Hoon To Tum Hi Utarta
Ho Qalam Se,
Parhta Hoon To Lehja
Bhi Tum Aawaz Bhi Tum Ho
...

168
Religous Videos / kalam baba bhagat kabir ji
« on: February 23, 2012, 10:46:47 AM »

Awwal Allah Noor Upaya {Shabad/Gurbani} by Alam Lohar (The video's owner prevents external embedding) 

169
Pics / saag with makki di roti
« on: February 19, 2012, 06:34:49 AM »
aa jau jenu jenu bukh laghi va saag naal makki di roti :smile:

170
Shayari / Koi dhond esa hmsfar
« on: February 17, 2012, 06:22:03 AM »
Koi dhond esa hmsfar


“jse tu apna bna ske”
Tu kahe k rat hy..
“Or wo chandni luta ske”
Tere ansuon ko wo smet le..
“K koi na tjko rula ske”
Teri rah me jo ho mushklen..
“Apni palkon se hta sky”
Wo ho tere itna qreb k..
“ksi ki yad b na tjko asky”
Tje rkh le apny hisar me
“K tjko na koi chura sky”

171
Jokes Majaak / 10 rupee ka fayda
« on: February 12, 2012, 08:51:36 AM »
doctor ne mareez se kaha.main ek mahinay se 50 rupee ki

rozana dawa kha
raha hun lekin muje koi fayda nazar nahi aa raha.
doctor …..acha to main ap ko kal se 40 rupee ki dawai dun ga.
jis se ap ko roz ka 10 rupee ka fayda nazar aye ga. :D:

172
Shayari / Ye Jo Zindagi Ki Kitab Hai
« on: February 12, 2012, 08:45:27 AM »
Ye Jo Zindagi KiKitab Hai”
Ye Kitab  KyaKitab Hai?
Kaheen ik Haseen Sa Khwab Hai
.Kaheen Jaan-LevaAzaab Hai.
Kbi Kho Lia,Kbi Paa Lia,
Kbi Ro Lia,Kbi Gaa Lia,
Kaheen RehmatonKi Hain Baarishein
Kaheen TishnagiBe-Hisaab Hai.
Kaheen Chaaon Hai.
Kaheen Dhoop Hai.
Kaheen Or Hi Koi Roop Hai.
Kaheen Cheen Laiti Hai Her Khushi.
Kaheen MeharbanBe-Hisab Hai.
Ye Jo Zindagi Ki Kitab Hai..
Ye Kitab  KyaKitab Hai.

173
Shayari / Mera chehra meri aankhen
« on: February 06, 2012, 08:29:04 AM »
Ab mohabbat ki wakalt nahin ki ja sakti

Sheher bhar say to adawat nahin ki ja sakti


Mera chehra meri aankhen hn salamat ab bhi

Kon kehta hey key wazahat nahin ki ja sakti


Baat yeh hey key koi toot key chahey to sahe


Har kisi say to mohabbat nahin ki ja sakti


Ankh kehti hey kahin aur chalen jaen hum


Dil yeh kehta hey ky hijrat nahin ki ja sakti


Loh-e-dil pay yeh tehrer likhi hey SAQI


Ishq walon ko nasehat nahin ki ja sakti

174
Shayari / Ruwa Jande Ne Lok,
« on: February 06, 2012, 08:04:07 AM »
Hasde Ne Avein, Hass Ke Ruwa Jande Ne Lok,
Milde Ne Avein, Mil Ke Juda Ho Jande Ne Lok,
Pal Do Pal Di Mohabbat Nu Umra Da Sath Na Samjhna,
Mohabbat Vi Karde Ne, Te Khafa Vi Ho Jande Ne Lok,
Naseeban Ch Pyar Nahi Si, Jo Mainu Milya Hi Nahi,
Kar Ke Izhaar E Mohabbat Vi Beparvah Ho Jande Ne Lok,
Hun Kis Ton Shikva Kariye Apni Mohabbat Da,
Kar Ke Wafa Da Vaada, Bewafa Ho Jande Ne Lok

175
Funny Videos / punjaaji totay
« on: February 03, 2012, 11:37:25 PM »
New punjabi totay aag tv 2

 :D:


...
New punjaaji & punjabi totay aag tv 14

176
Shayari / punjabi kuri di kahani
« on: February 03, 2012, 11:33:08 PM »
 
Le babula ajj eh din aaya,
 Khushiyan naal tera vehda mehkaaya.
 Bajjan shenaiyan hun chaaron paase,
 Khidd de mukh dinde dil nu dilaase.
 
 Par sukki jaandi meri jind nimaani,
 Pal vich kiven ho gayi begaani.
 Kal tak si jo mera sara apna,
 Chadd ke challi jiven do pal da sapna.
 
 Hun aauna yaad tera palkan te bithauna,
 Russi hoi nu pyaar naal manauna.
 Galtiyan hon te sehaj naal samjhauna,
 Poonj ke hanju gall naal launa.
 
 Jad aai sewa karan di meri baari,
 Khadey sii bhuhey bahar laike savaari.
 Jinnhe marzi tarle kar laye eh dhee pyaari,
 Hun tan maarni hi pau udaari.
 
 Assesan laike teriyan hun challi ghar paraaye,
 Pai gayi us raste jo menu tu dikhaye.
 Izzataan nu chaar chand sabde main laavangi,
 Kuj is taran farzaan nu apne mein nibhavangi.
 
     

177
Shayari / bori laghti hain ab hamain ashfaq ki batain
« on: January 30, 2012, 05:52:40 AM »
Buraa Ho Ya Bhla
Koi Kisi Se Kya Gharaz
 Hum Ko
 Kya Apnoon Ki Kami He
 Jo Karein
TARI Baatein!!!

 
 Lagaayaa Dil Agar Hum Ne
,Zamaana Kya Kahaiga Phir
 Ye Sub Hain Baad Ki Ab To
Na Kar
Mohabat Ki Baatein!!!
 
 Yahaan Par To Sunaa He Ke
 Hote Hain Kaan Diwaaroun Ke
 Kisi Ke Saamne Kaise
 Karein
Ashfaq Ki Baatein!!!
 
 Ye Qol O FAil Main Janaan He
 Kyon Itnaa TazAAd Aakhir
 Kisi Se Pyaar Karta He
 Kisi Se
Pyaar Ki Baatein!!!
 
 Teri Nazroun Main Jab Se
 Pyaar Ki Dekhi Jhalak Hum Ne
 Buri Lagti Nahi Hain
Ab Hamain
Ashfaq Ki Baatein!!!!
 


...
Labon Pe Haraf
Na Sawal Rakhta Tha
 Kabhi Main Zabat Main
Itna Kamal Rakhta Tha !!!
 
 Khabar Kahan Thi Mujhe
Hi Wo Bhool Jaye Ga
 Ek Ek Cheez Meri Jo Sambhal Rakhta Tha !!!
 
 Bichertey Waqat Bazahar To Kuch Na Bola Tha
 Magar Nigha Main So So Sawal Rakhta Tha!!!
 
 Wo Muskura Ke Bohat Dair Chup Raha
 Jase Hansi Ki Ar Main Malala Rakhta Tha !!!
 
 Suna Hai Ab Bhi Log Use Bohat Satate Hain
 
Jis Ek Shaks Ka Main Bohat Khayal Rakhta Tha!!![/color]
[/font][/b]

178
Shayari / Aise mausam bhii guzaare
« on: January 23, 2012, 06:50:03 PM »
Mere chehare pe gazal likhatii ga_ii.n
Sher kahatii hu_ii aa.nkhe.n us kii

Shokh lamho.n kaa pataa dene lagii.n
Tez hotii hu_ii saa.nse.n us kii

Aise mausam bhii guzaare ham ne
Subahe.n jab apanii thii.n shaame.n us kii

Dhyaan me.n us ke ye aalam thaa kabhii
Aa.nkh mahataab kii yaade.n us kii

Faisalaa mauj-e-havaa ne likkhaa
Aa.ndhiyaa.n merii bahaare.n us kii

Niind is soch se tuutii aksar
Kis tarah katatii hai.n raate.n us kii

Duur rah kar bhii sadaa rahatii hai
Mujh ko thaame hue baahe.n us kii
[/font][/color][/b]

179
Jokes Majaak / kedi te pakee ja nai begam
« on: January 22, 2012, 05:41:50 AM »
Funny Punjabi Poetry
:D: :D: :D: :D: :D:

180
Shayari / Wohi bekaar ki baatien
« on: January 14, 2012, 06:38:53 AM »
Bohat farsoda lagte hain
 mujhe ab yaar ke qissey

 Gul o gulzaar ki baatien,
 Lab o rukhsaar ke qissey.

 Yahan sab ke muqaddar mein
 faqat zakhm e judai hai,

 Sab hi jhootey fasaney hain
 wisaal e yaar ke qissey.

 Bhala ishq o mohabbat se
 kisi ka pait bharta hai,

 Suno tum ko sunata hoon
 main karobaar ke qissey.

 Mere ehbaab kehte hain
yehi aik aib hai mujh mein,

 Sar e deewar likhta hoon
pas e deewar ke qissey.

 Main aksar is liye logon se
 jaa kar khud nahi milta,

 Wohi bekaar ki baatien
wohi bekaar ki qissey

...
sab jothey rishtee

Kab kaun kisi ka hota hai
 Sub jhootey rishtey naate hain…
 Sub dil rakhney ki batein hain
 Sub asal roop chhupate hain…
 Ikhlaq se khali log yahan
 Lafzon ke teer chalate hain…
 I baar nigahon mein aakar
 Phir saari umar rulate hain…
 Who jis NE diye hain ashk humein
 AB us ko bhool hi jaate hain

Pages: 1 ... 4 5 6 7 8 [9] 10 11 12 13 14 ... 25