November 21, 2024, 05:13:24 PM

Show Posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.


Messages - Noor Kaur

Pages: 1 ... 39 40 41 42 43 [44]
861
Gup Shup / Re: Song ur listening to?
« on: August 22, 2014, 09:00:54 AM »
naina thag lenge ...................rahat fateh ali khan

862
Shayari / Re: Just two line shayari ...
« on: August 22, 2014, 08:57:31 AM »
Mohabbat ke nashe humne saari umar unhe khuda maana ...
 Hosh toh tab aaya jab usne kaha ke Khuda Sab ka hota hai..

863
Shayari / Re: Just two line shayari ...
« on: August 22, 2014, 08:53:45 AM »
Main Badd-dua to Nahi De Raha Hu Usko Magar,
 Duaa Yahi Hai Use Mujh Jaisa Ab Koi Na Mile.

864
Shayari / Re: Just two line shayari ...
« on: August 22, 2014, 08:48:26 AM »
Abhi mashroof hoon kafi kabhi fursat me sochunga...                                                                                                   k tujhko yaad rakhne me mai kya-kya bhool jate hoon..

865
Love Pyar / Re: Understand the Feelings
« on: August 21, 2014, 01:22:42 PM »
yh really true

866
Shayari / Re: Hanju...
« on: August 21, 2014, 08:37:07 AM »
Jo aansu dil me girte hai wo ankho me nahi rehte
 Bahut se harf aise hain jo lafzo mein nahi rehte
 Kitabo mein likhe jate hai dunya bhar ke afsane
 Magar jin mein hakikat ho kitabo me nahi rehte

867
Shayari / Re: Hanju...
« on: August 21, 2014, 08:17:34 AM »
Honto ki juban yeh aansu kehte hai,
 Jo chup rehte hai phir bhi behte hai,
 Aur in aansu ki kismat to dekhiye,
 Yeh unke liye behte hai jo in aankho mein rehte hai

868
Shayari / Re: Just two line shayari ...
« on: August 21, 2014, 08:15:06 AM »
Us daur se guzri hai daastane mohobbat humari
 Lamhon ne khata ki thi, sadiyon ki saza paayi

869
Shayari / Re: Just two line shayari ...
« on: August 21, 2014, 08:09:43 AM »
Kisi diljale ko koi apna banana kyun chahee ga,
 Bekar mai koi apna dil jalana kon chahee ga,
 Dikhawa hai ye muhbaat warna ,
 Piyaar mai mitt jana kyun chahee ga

870
Shayari / Re: Just two line shayari ...
« on: August 21, 2014, 07:59:06 AM »
Ab soch rahe hain seekh hi le, hum bhi berukhi karna,
 Mohabbat dete dete sabko, humne apni hi kadar kho di

871
Shayari / Re: Hanju...
« on: August 21, 2014, 07:50:23 AM »
Na jane us par itna yakin kyon hai,
 Uska khayal bhi itna hasin kyon hai,
 Suna hai pyaar ka dard mitha hota hai,
 To ankhon se nikla aansu kyo namkin  hota hai?

872
Shayari / Re: Just two line shayari ...
« on: August 21, 2014, 07:44:09 AM »
Kon yaad rakhta hai gujre huye waqt ke saathi ko
 Log toh do din mein naam tak bhula dete hain

873
Shayari / Re: Hanju...
« on: August 21, 2014, 07:42:32 AM »
Yun khushi ko adhoora sa bana jaate hai ye aansoo
 Jaane kahan se aankhon mein bhar jaate hai ye aansoo
 Khush hoon main, koi shikwa zamane se na taqdeer se
 Meri iss baat ko jhoota kyun bana jaate hai ye aansoo
 Shayad khabar hai en ko bhi kis qadar tanha hoon main
 Tanhaayi mein mera saath nibha jaate hai ye aansoo !!

874
Shayari / Re: Just two line shayari ...
« on: August 21, 2014, 07:33:43 AM »
Zindagi ki daud me Kon deta hai umar bhar ka sahara
 Log toh janaze mein bhi kande badalte rahte hain

875
Shayari / Re: Just two line shayari ...
« on: August 21, 2014, 07:19:20 AM »
Muje talash hai ek ruh ki, jo muhje dil se pyar kare
 Warna insaan to paiso se bhi mil jaya karte hai

876
Shayari / Re: Just two line shayari ...
« on: August 21, 2014, 07:06:54 AM »
Teri wafayi ka samundar kisi or ke liye hoga,
 Tere sahil se hum to roz pyaase hi gujar jate hai

877
Shayari / Re: Just two line shayari ...
« on: August 21, 2014, 06:59:03 AM »
Agar ho ejazatt aapki toh ek baat puchu,
 Mohabbat jo humse sikhi thi wo ab kisse karte ho

878
Shayari / Re: Just two line shayari ...
« on: August 21, 2014, 06:48:35 AM »
Tarikh hazar saal mein bas itni si badli hain,
 Tab Daur Patthar ka tha ab log pattar ke hai

879
Shayari / Re: Just two line shayari ...
« on: August 21, 2014, 06:38:46 AM »
Ye ishq bhi Nasha-e-Sharab jaisa hain
 Kare to Marr jaye chode to kidhar jaye

880
Shayari / Re: Just two line shayari ...
« on: August 21, 2014, 06:28:27 AM »
Itni lambi umar ki dua mat maang mere liye,
 Aisa na ho ke tu b chod de or maut b na aaye

Pages: 1 ... 39 40 41 42 43 [44]