November 21, 2024, 11:38:14 PM

Show Posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.


Messages - Noor Kaur

Pages: 1 ... 35 36 37 38 39 [40] 41 42 43 44
781
Shayari / Re: Just two line shayari ...
« on: August 30, 2014, 02:59:57 AM »
Mere zakhmo ke ilzaam unpar kabhi lagaye hi nahi..

Kasoor to apna tha jo bin bataye hi unhe apna maan baithe..!

782
Shayari / Re: >>> Kuch sher unke naam ...
« on: August 30, 2014, 02:56:25 AM »
Aaj door se koi salam kargaya,
 Apni yaadon ka gulam kargaya,
 Apni zindagi girvi rakhker khareeda tha jise,
 Aaj woh hi hume neelam ker gaya.

783
Shayari / Re: Just two line shayari ...
« on: August 30, 2014, 02:54:25 AM »
Kabhi tanhayi, kabhi tadap, kabhi bebasi to kabhi intazaar..

Ye marz bhi kya khoob hai jise ishq kahte hai..!

784
Shayari / Re: >>> Kuch sher unke naam ...
« on: August 30, 2014, 02:49:43 AM »
Zamane ki har jannat tumhe mil jaaye,
 Ye aasma ye zamin tumhari ho,
 Mujhse keh bhi na paaoge,
 Usse pehle mere hisse ki har khushi tumhari ho

785
Shayari / Re: Just two line shayari ...
« on: August 30, 2014, 02:43:20 AM »
Misal e shesha ab mujhey thaam ke rahkna
 Main terey hath se chotha to bihkar jaunga.

786
Shayari / Re: >>> Kuch sher unke naam ...
« on: August 30, 2014, 02:40:48 AM »
Chand taro ka noor aap per barse
 Har koi aap ke chahat ko tarse
 Aap ke jindagi main aaye iteni khushiya ki
 Aap ek gum pane ko tarse

787
Shayari / Re: >>> Kuch sher unke naam ...
« on: August 30, 2014, 02:34:19 AM »
Woh inkar karte hai ikrar ke liye,
 Nafrat bhi karte hai toh pyaar ke liye,
 Ulti chaal chalte hai yeh ishq karne wale,
 Aankhe band karte hai deedaar ke liye.

788
Shayari / Re: Just two line shayari ...
« on: August 30, 2014, 02:33:09 AM »
Har kisi ke Naseeb main kahan likhi hain Chahtein,
 Kuch Log Duniya main aate hain Faqat Tanhaiyon k Liye…

789
Shayari / Re: >>> Kuch sher unke naam ...
« on: August 30, 2014, 02:29:17 AM »
Chahe yeh sara jahan
 Jaye tum ko chod ke
 Hum tumhare saath hai
 Har kadam har moad pe
 Chhod so majusiyan na karo koi fikar
 Dege hum yeh jaan bhi pyaar ke naam par

790
Shayari / Re: Just two line shayari ...
« on: August 30, 2014, 02:24:51 AM »
Aahista chal zindagi, abhi kai karz chukana baaki hai.

 Kuch dard mitana baaki hai, kuch farz nibhana baaki hai…..

791
Shayari / Re: >>> Kuch sher unke naam ...
« on: August 30, 2014, 02:21:07 AM »
Socha Yaad Na Karke Thoda Tadpaae Aapko,
 Kisi Aur Ka Naam Le Ke Jalaae Aaapko,
 Par Koi Chot Aap Ko Lagi To Dard Hume Hoga,
 Ab Koi Ye Bataae Ki Kis Tarah Saatae Aaap Ko….

792
Shayari / Re: Just two line shayari ...
« on: August 30, 2014, 02:11:06 AM »
Koi yeh puch le dard-aye-nisha se,
 tujhe dil dund laya hai kaha se.


793
Shayari / Re: >>> Kuch sher unke naam ...
« on: August 30, 2014, 02:04:14 AM »
Mit Gaye h Sab Zakham, Nishaan Baaki Reh Gaye,
 Saza Puri ho Gayi bas Gunaah Baaki Reh Gaye.

794
Shayari / Re: >>> Kuch sher unke naam ...
« on: August 30, 2014, 01:44:27 AM »
Raah -A- Mohbbat Me Ajab Patthro Se Raha Vasta Mera,
 Na Zakham Nazar Aata Hai Na Dard Saha Jaata Hai

795
Shayari / Re: Just two line shayari ...
« on: August 30, 2014, 01:31:57 AM »
Main Baddua to Nahi De Raha Hon Usko Magar
 Duaa Yahi Hai Use Mujh Jaisa Ab Koi Na Mile.



796
Shayari / Re: Just two line shayari ...
« on: August 28, 2014, 06:12:26 PM »
Hum Ko Auron Ki Parwah Nahi Hai Ye Duniya Hi Aisi Hai,
 Shikwe To Un Se Hain Jo Apne Ho Kar Bhi Yaad Nahi Karte



797
Gup Shup / Re: Song ur listening to?
« on: August 28, 2014, 06:07:09 PM »
tere aane ki jab khabar mehke  ........ jagjit singh

798
Shayari / Re: Just two line shayari ...
« on: August 28, 2014, 06:02:25 PM »
Khuda kare tumko bhi, ho chah kisi ki,
 Fir meri tarah tu bhi, takke raha kisi ki



799
Shayari / Re: Just two line shayari ...
« on: August 28, 2014, 05:55:26 PM »
Tamannao ki mehfil to har koi sajata hai,
 lekin puri uski hoti h jo taqdeer lekar aata hai

800
Shayari / Re: Just two line shayari ...
« on: August 28, 2014, 05:49:14 PM »
Shiddat-e-Talab Se Mujhe Chaha, Apnaya, Our Chor Diya,
 Kitni Mehnat Ki Hai Us Shakhs Ne Mera Dil Dukhane Ke Liye


Pages: 1 ... 35 36 37 38 39 [40] 41 42 43 44