November 22, 2024, 05:16:54 AM

Show Posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.


Messages - Noor Kaur

Pages: 1 ... 31 32 33 34 35 [36] 37 38 39 40 41 ... 44
701
Shayari / Re: Just two line shayari ...
« on: September 10, 2014, 01:45:11 AM »
Kyun na gharoor karoon mein Apne aap par,
 Mujhe us ne chaha, jis k chahne wale Hazaaro thay .

702
Shayari / Re: Just two line shayari ...
« on: September 10, 2014, 01:25:51 AM »
Zindagi mein kisi ko is kadar mat pyar karo,Ki zindagi bina unke aadhori lage,
 Mohhabat is kadar karo ki, Hamari mohhabat ke bine woh aadhoori lage

703
Shayari / Re: Just two line shayari ...
« on: September 10, 2014, 01:16:50 AM »
Sabhi ko sab kuchh nahin milta, Nadi ki har lehar ko sahil nahin milta,
 Yeh dil walon ki dunia hai dost, Kisi se dil nahin milta to koi dil se nahin milta.

704
Shayari / Re: >>> Kuch sher unke naam ...
« on: September 10, 2014, 01:13:45 AM »
Lafz ko phool banana to karishma hai faraz…
Ho na ho koi to hai teri nigarish main shareek

705
Shayari / Re: >>> Kuch sher unke naam ...
« on: September 10, 2014, 01:01:13 AM »
Us shakhs se faqat itna sa talluq hai,
 Woh pareshan ho to hamein neend nahi aati

706
Shayari / Re: Just two line shayari ...
« on: September 10, 2014, 12:58:05 AM »
Main uska hoon, ye raaz to woh jaan gaya hai!!
 Woh kiska hai ye sawaal mujhe sone nahi deta

707
Shayari / Re: >>> Kuch sher unke naam ...
« on: September 10, 2014, 12:55:51 AM »
Kis kadar anjaan hai yeh silsila-e-ishq bhi,
 Muhabbat to kayam rehti hai magar “Insaan” toot jate hain

708
Shayari / Re: Just two line shayari ...
« on: September 10, 2014, 12:52:06 AM »
Na Jane Kis Ghum Ko Chupane Ki Tamanna Thi Us Ko !!
 Aaj Her Ek Baat Per Haste Hue Dekha Us Ko

709
Shayari / Re: Just two line shayari ...
« on: September 10, 2014, 12:41:12 AM »
Har lafz ko kagaz par utaara nahi jata. har naam ko sare aam pukara nahi jata.
 hoti hai payar me kuch raaz ki baate…yuhi es khel me hara nahi jata…..

710
Shayari / Re: >>> Kuch sher unke naam ...
« on: September 10, 2014, 12:39:27 AM »
Mere lafzon ki pehchan agar kar laita wo Faraz
 Usy mujse nahi khud say muhabbat ho jati..!!!

711
Shayari / Re: Just two line shayari ...
« on: September 10, 2014, 12:36:18 AM »
Khairaat mein mili hui khushi mujhe achchi nahi lagti…..
Main apne dukhon mein bhi rahta hoon nawabon ki taraha

712
Shayari / Re: Just two line shayari ...
« on: September 10, 2014, 12:31:12 AM »
tum Itna Jo
Muskura rahe ho
Kya gam hai Jisko chhupa rahe ho ...
poori gazal likh deni c

713
Shayari / Re: Just two line shayari ...
« on: September 10, 2014, 12:25:29 AM »
Aankhon mein khushi, labon par hansi, Gham ka koi naam na ho,
 Aapko jahan ki saari khushiyan mile, in khushiyon ki kabhi sham na ho!!!

714
Shayari / Re: >>> Kuch sher unke naam ...
« on: September 10, 2014, 12:22:47 AM »
Ye arzoo nahi ki kisi ko bhulayein hum.
 Na tammana hai kisi ko rulayein hum.
 Par dua hai us rab se ek hi,
 Jisko jitana yaad karte hain usko utana yaad aayein hum

715
Shayari / Re: >>> Kuch sher unke naam ...
« on: September 10, 2014, 12:16:36 AM »
Yeh bhi ek dua hai khuda se,
 Kisi ka dil na dukhe hamari wajah se,
 Aye khuda kar de kuchh aisi inaayat hum pe,
 Ki khushiyaan hi milein sabko hamaari wajah se.

716
Shayari / Re: Just two line shayari ...
« on: September 10, 2014, 12:14:14 AM »
Thikana kabr hai to, Ibaadat kar musafir
 Kehte hain khaali haath, Kisi ke ghar jaaya nahi karte

717
Shayari / Re: Just two line shayari ...
« on: September 09, 2014, 02:09:17 AM »
Yeh Dhuan Dhuan Sa Mausam Le Aaya Hai Aapki Khushboo,
 Dil Mera Bekaraar Hai,Paas Aakar Pohocha Do Ise Thoda Sukoon

718
Shayari / Re: Just two line shayari ...
« on: September 09, 2014, 01:58:16 AM »
Bichhdi Hui Rahoon Se Jo Guzre Hum Kabhi;
 Har Gam Par Khoyee Hui Ek Yaad Mili Hai!

719
Shayari / Re: Just two line shayari ...
« on: September 09, 2014, 01:50:56 AM »
Koi Aur Hi Kaam Somp Do Mujhe Ab Tum;
 Yeh Kya Tujhe Sochna Aur Sochtey Hi Rehna!

...
Saza Ban Jati Hain Guzre Hue Waqt Ki Yaadein;
 Najaane Kyun Chhod Jaane Ke Liye Meharban Hote Hain Log!

720
Shayari / Re: Just two line shayari ...
« on: September 09, 2014, 01:45:17 AM »
Bhuli Hui Rahoon Se Jo Guzre Hum Kabhi;
 Har Gham Par Khoyee Hui Ek Yaad Mili Hai

Pages: 1 ... 31 32 33 34 35 [36] 37 38 39 40 41 ... 44