November 22, 2024, 01:26:28 PM

Show Posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.


Messages - Noor Kaur

Pages: 1 ... 17 18 19 20 21 [22] 23 24 25 26 27 ... 44
421
Shayari / Re: Dosti
« on: October 29, 2014, 04:39:55 AM »
Dosti Se Kimati Koi Jageer Nahi Hoti;
Dosti Se Khubsurt Koi Tasveer Nahi Hoti;
Dosti Yoon Toh Kacha Dhaga Hai Magar;
Is Dhage Se Majboot Koi Zanjeer Nahi Hoti!

422
Shayari / Re: Dosti
« on: October 29, 2014, 04:29:18 AM »
Teri Ulfat Kabhi Nakaam Na Hone Denge;
Teri Dosti Kabhi Badnaam Na Hone Denge;
Meri Zindagi Mein Suraj Nikle Na Nikle;
Teri Zindagi Mein Kabhi Shaam Na Hone Denge!

423
Shayari / Re: Dosti
« on: October 29, 2014, 04:12:57 AM »
Dost Ko Dost Ka Ishara Yaad Reheta Hai;
Har Dost Ko Apna Dostana Yad Reheta Hai;
Kuch Pal Sachhe Dost Ke Saath To Gujaro;
Woh Afsana Maut Tak Yaad Rehta Hai!

424
Shayari / Re: Just two line shayari ...
« on: October 29, 2014, 03:54:55 AM »

Parda-e-Lutf Mein Ye Zulm-o-Sitam Kya Kahiye;
Haye Zalim Tera Andaz-e-Karam Kya Kahiye!

425
Shayari / Re: *¥*¥*Sad Shayari *¥*¥*
« on: October 29, 2014, 03:29:30 AM »
Humne Manga Tha Saath Unka;
Woh Judai Ka Gham De Gaye;
Hum Unki Yaadon Ke Sahare Hi Jee Lete;
Par Woh Bhool Jaane Kee Kasam De Gaye!

426
Shayari / Re: Jab bhi ata hay mera naam tere naam k sath
« on: October 29, 2014, 03:28:11 AM »
Unki Tasveer Ko Seene Se Laga Lete Hain;
Iss Tarah Judai Ka Gham Mita Lete Hain;
Kisi Tarha Zikar Ho Jaye Unko Hamare Dard Ka Agar;
Hans Kar Bheegi Palkon Mein Sab Dard Chupa Lete Hain!

427
Shayari / Re: Jab bhi ata hay mera naam tere naam k sath
« on: October 28, 2014, 03:03:41 PM »
Itni nafrat hai usse meri mohabbat se
Uss ne apne hath jala deye mujhe apni taqdeer se mitane ke liye

428
Shayari / Re: Dosti
« on: October 28, 2014, 02:41:38 PM »
Teri dosti mein khud ko mehfooz mante hain
Doston mein tumhein sabse azeez mante hain
Teri dosti ke saye mein zinda hain
Hum to tujhe khuda ka Diya hua taveez mante hain

429
Shayari / Re: Dosti
« on: October 28, 2014, 01:59:01 PM »
apni takleef me mujhe umeed samjhna
Koi gum aye to apne najdeek samjhna
De Saku hassi uss ansu ke badle to
Hajaro ke bech mujhe sabse Kareeb samjhna

430
Shayari / Re: Jab bhi ata hay mera naam tere naam k sath
« on: October 28, 2014, 01:35:25 PM »
Woh Tu Milta Hai Mujhse Mehdood Se Lamhon Me
Yeh Dil Hai Kitni Fursat Se Sochta Hai Useh!

431
Shayari / Re: Just two line shayari ...
« on: October 28, 2014, 03:59:04 AM »

Hathoon Key Lakiroon Pay Matt Jaa Ae Ghalib;
Naseeb Unkay Bhi Hotay Hain Jinkaay Haath Nahi Hotay!

432
Shayari / Re: Just two line shayari ...
« on: October 28, 2014, 02:15:16 AM »
Ghar Ka Darwaza Is Andaaz Se Khola Usne;
Ke Jaise Main Nahi Koi Aur Tha Aane Wala!

433
Shayari / Re: Dosti
« on: October 28, 2014, 12:28:52 AM »
Wada Karte Hain Dosti Nibhayenge;
Koshish Yahi Rahegi Tujhe Na Satyaenge;
Zarurat Pade Toh Dil Se Pukarana;
Mar Bhi Rahe Honge To Mohlat Lekar Aayenge!

434
Shayari / Re: *¥*¥*Sad Shayari *¥*¥*
« on: October 28, 2014, 12:26:51 AM »
Apno Ne Pyaar Mein Rula Diya;
Kya Hua Jo Kisi Aur Ke Liye Hume Bhula Diya;
Hum To Waise Bhi Akele The;
Kya Hua Jo Aapne Yeh Ehsaas Dila Diya!

435
Shayari / Re: *¥*¥*Sad Shayari *¥*¥*
« on: October 28, 2014, 12:00:40 AM »

Ab Jis Ke Jee Mein Aaye Wahi Paaye Roshni;
Hum Ne To Dil Jalaa Ke Sar-e-Aam Rakh Diya!

436
Shayari / Re: Dosti
« on: October 27, 2014, 11:57:49 PM »
Dosti Shayad Zindagi Hoti Hai;
Jo Har Dil Mein Basi Hoti Hai;
Waise To Jee Lete Hain Sabhi Akele Magar;
Phir Bhi Zaroorat Inn Ki Har Kisi Ko Hoti Hai!

437
Shayari / Re: *¥*¥*Sad Shayari *¥*¥*
« on: October 27, 2014, 11:51:52 PM »
Ajab Rangon Mein Guzri Hai Zindagi Apni;
Dilon Pe Raaj Kiya Lekin Mohabbat Se Mehroom Rahe!

438
Fun Time / Re: ghane da jawab ghane ch
« on: October 27, 2014, 11:45:57 PM »
Akh lagdi na rattan nu
Kidre eh pyar tan nai
Dil kare mulakata nu


Mulakat

439
Shayari / Re: *¥*¥*Sad Shayari *¥*¥*
« on: October 27, 2014, 11:37:51 PM »
Bina Bataye Usne Na Jaane Kyon Yeh Doori Kar Di;
Bichhad Ke Usne Mohabbat Hi Adhuri Kar Di;
Mere Muqaddar Mein Gum Aaye To Kya Hua;
Khuda Ne Uski Khwaish To Puri Kar Di!

440
Shayari / Re: Dosti
« on: October 27, 2014, 11:29:38 PM »
Mere Liye Meri Jaan Hai Teri Dosti;
Zindagi Ka Har Armaan Hai Teri Dosti;
Mujhko Na Koi Umeed Na Koi Shikwa Hai Zamane Se;
Mujh Par Khuda Ka Ehsaan Hai Teri Dosti!

Pages: 1 ... 17 18 19 20 21 [22] 23 24 25 26 27 ... 44