November 22, 2024, 07:53:21 AM

Show Posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.


Messages - Noor Kaur

Pages: 1 ... 15 16 17 18 19 [20] 21 22 23 24 25 ... 44
381
Shayari / Re: Jab bhi ata hay mera naam tere naam k sath
« on: November 01, 2014, 02:47:32 AM »
Bada kathin hai rasta jo aa sako toh sath do!
Ye zindagi ka fasla mita sako to sath do!!

Bade fareb khaoogi, bade sitam utaoogi!
Ye umar bhar ka sath hai nibha sako toh sath do!!

Jo tum kaho, ye dil toh kya, main jaan bhi fida karo!
Jo main kaho, bus ek nazar, luta sako toh sath do!!

Hazar imtehan yahan, hazar azmaeish!
Hazar dukh, hazar gham, utha sako toh sath do!!

Main ek gareeb be nava, main ek fakir be sada!
Meri nazar ki ilteja jo pa sako toh sath do!!

Ye zindagi yahan khushi gamoon ke sath sath hain!
Rula sako toh sath do, hansa sakho toh sath do!!

382
Shayari / Re: ਅੱਖਾ
« on: November 01, 2014, 02:42:44 AM »
Dil ki baatein bata deti hain teri aankhen ,
Dharkano ko jaga deti hain teri aankhen ,
Dil pe chalta nahi jadoo cheroon ka kabhi ,
Dil ko tu deewana bana deti hain teri aankhen,

383
Shayari / Re: *¥*¥*Sad Shayari *¥*¥*
« on: November 01, 2014, 02:37:46 AM »
Katra katra behte rahe aansu,
Or hum unhe sukha bhi na sake,
Isse badi wafa ki saza kya hogi ?
Wo roye mujse lipat ke kisi or ke liye,
Or hum mana bhi na kar sake.

384
Shayari / Re: Just two line shayari ...
« on: November 01, 2014, 02:34:57 AM »

Gham-e-Ishq Reh Geya Hai, Gham-e-Justjuu Me Dhalkar;
Woh Nazar Se Chipp Gaye Hain Meri Zindagi Badalkar!

385
Shayari / Re: Dosti
« on: October 31, 2014, 12:20:55 PM »
Dur hote huye bhi Dosti ka Rishta nibhate hai aap,
Na jane kyun Dil ko lubhate hai aap,
Yeh kaisa karishma hai aap ka,
Jo hum ko itna yaad aate hai aap.

386
Shayari / Re: Dosti
« on: October 31, 2014, 04:25:00 AM »
Dosti hoti nahi bhool jane ke liye,
Dost milte nahi bichhud jane ke liye,
Dosti karne se khush rahoge itna,
Ki waqt milega nahi aasun bahane ke liye.

387
Shayari / Re: Dosti
« on: October 31, 2014, 04:14:37 AM »
Her kadam pe imtihan leti hai zindagi.
Her waqt naey sadme deti hay zindagi
Hum zindgi se shikwa kaise Karen
Aap jaise dost bi to deti hai zindagi

388
Shayari / Re: Dosti
« on: October 31, 2014, 03:44:08 AM »
Kayi raaz aise hote hain jo dikhaye nahin jaate,
Kayi kisse aise hote hain jo sunaye nahin jaate,
Kayi dil aise hote hain jo tode nahin jaate,
Aur kuch aap jaise dost aise hote hain jo chhode nahin jaate.

389
Shayari / Re: Dosti
« on: October 31, 2014, 03:25:14 AM »
Aaj dil puch baitha,
Apni hi tasveer se,
Tune kya paya hai apni taqder se,
Aapki tasveer dil ko dikhai,
Aur kaha aisa dost paya hai dunia ki bheed main.

390
Shayari / Re: Jab bhi ata hay mera naam tere naam k sath
« on: October 31, 2014, 12:09:41 AM »
Nazar Se Nazar Kee Mulaqat Dekhi Hai;
Pyaar Mein Hote Hue Teeron Kee Barsaat Dekhi Hai;
Yun To Lakhon Dekhe Hain Humne Dil Lagane Wale;
Par Teri Chahat Mein Humne Baat Koi Khaas Dekhi Hai!

391
Shayari / Re: Dosti
« on: October 31, 2014, 12:06:26 AM »
Khushi dhondne se gum milte hai,
Ye gum zindagi mein har dam milte hai,
Jo dil ke sare gum bant le,
Aise dost zindagi mein buhat kum milte hai.

392
Shayari / Re: Jab bhi ata hay mera naam tere naam k sath
« on: October 31, 2014, 12:03:13 AM »
Apki mehfil ka mausam suhana lage,
Ek pal churalu agar bura na lage.
Aap hume milkar bhul jayenge,
Par aapko bhulne me shyad hume jamana lage.

393
Shayari / Re: Dosti
« on: October 30, 2014, 02:25:05 PM »
Dil tera dhadke to dhadkan mere ho,
Chot tujhe lage to dard mujhe ho,
Apni dosti itne gahri ho,
ki,
Saans teri ruke too maut meri ho...

394
Shayari / Re: ਅੱਖਾ
« on: October 30, 2014, 05:10:20 AM »
Dil Ki Kitaab Ka Panna Churaa Legaye Tum
Aankhon Se Neendh Uda Legaye Tum
Teri Yaad Me Tadapne Ki Aadat Nahin Thi Mujhe
Apni Yaadon Se Tadpaane Sikha Gaye Tum


395
Shayari / Re: Dosti
« on: October 30, 2014, 05:07:32 AM »
Milte hai aachai dost sirf khushnasibo ko,
Meri kismat se jalna chod do.
Agar tamana ho milne ki mere dost se,
Toh bas apni nazar aaine ki taraf mod do.

396
Shayari / Re: ਅੱਖਾ
« on: October 30, 2014, 04:58:16 AM »
Terey Jaisi Aankhon Waley, Sahil Per Jab Aatey Hain
To Lehrain Shoor Machati Hai, Loo Aaj Samandar Dhob Gea


397
Shayari / Re: Dosti
« on: October 30, 2014, 04:48:31 AM »
Hume Apne Dosto Par Vishvas Hai,
woh Door Hokar Bhi Hamare Pas Hai,
Kuch Der Pahle Mout Aai Or Chali Gai
Boli Tere Dosto Ki Dua Tere Sath Hai.

Wow

Aapki dosti ki ek nazar chahiye;
Dil hai beghar use ek ghar chahiye
Bas yun hi saath chalte raho ae dost;
Yeh dosti hume umar bhar chahiye

398
Shayari / Re: Just two line shayari ...
« on: October 30, 2014, 04:44:23 AM »

Woh Aate Hain Khwabo'n Mein Yunhi Bin Bulaye;
Aisa Hi Kuchh Shikwa Hamare Dil Ko Bhi Hai!

399
Shayari / Re: ਅੱਖਾ
« on: October 30, 2014, 04:42:09 AM »
Yeh Kaun Muskura Kar Idhar Say Guzar Gaya,
Benoor Rastoon Main Ujala Bikhar Gaya,
Socha Bohut Kisi Say Pyar Na Ho Magar,
Ankhon Ki Rah Say Koi Dil Main Utar Gaya

400
Shayari / Re: Dosti
« on: October 30, 2014, 04:37:25 AM »
Tu dur hai mujhse aur paas bhi hai,
Teri kami ka ehsas bhi hai,
Dost lakhon hai jahan mein mere,
par tu pyara bhi hai aur khas bhi.

Pages: 1 ... 15 16 17 18 19 [20] 21 22 23 24 25 ... 44