June 28, 2024, 11:11:46 AM

Show Posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.


Messages - JaGgJeEt

Pages: 1 ... 14 15 16 17 18 [19] 20 21 22 23 24 25
361
Shayari / kamal lagte ho..
« on: July 15, 2009, 01:07:47 AM »
Muskurao kamal lagte ho,
Khil-khilao kamal lagte ho.

Yun achanak mauj mein aa kar,
Gun-gunao kamal lagte ho.

Maante maante kisi lamhe,
Ik dum se ruth jao kamal lagte ho.

Waqt izhar hai aashqi jaana,
Hich-kichao kamal lagte ho.

Meri chahat ke be-karan jazbe,
Aazmao kamal lagte ho.

Meri ajeeb si yeh baaten sun kar bhi,
Pyar jatao kamal lagte ho.

362
Shayari / waqt,,
« on: July 15, 2009, 01:06:42 AM »
ab milne ka waqt nahi hamse,,,

baad main tarhpte reh jaoge,,,

ad milne ka waqt nahi tumhare paas,,,

jab waqt hoga tab,,,

ik jhalak ke liye bhi taras jaoge...

363
Shayari / dua...
« on: July 15, 2009, 01:05:57 AM »
Hamari Dosti Ko Na Dil Se Kabhi Juda Karna,
Zindgi me Na Kabhi Ye Guna Karna,
Kuch Pal Chahe Beet Jaye, Tumse Baat Kiye Bina,
Kahin Zindgi Na Beet Jaye Dua Karna

364
Shayari / manzil...
« on: July 15, 2009, 01:05:17 AM »
Aap Manzil Ko Muskil Samjhte Ho,
Aur Hum Aap Ko Manzil Samjhte Hain,
Bada Fark Hai Aapke Aur Hamare Nazariye Me,
Aap hum Ko Sapna,
Aur Hum Aap Ko Apna Samjhte Hai

365
मैं न जानू की कौन हूँ मैं,
लोग कहते है सबसे जुदा हूँ मैं,
मैने तो प्यार सबसे किया,
पर न जाने कितनो ने धोखा दिया।

चलते चलते कितने ही अच्छे मिले,
जिनने बहुत प्यार दिया,
पर कुछ लोग समझ ना सके,
फिर भी मैने सबसे प्यार किया।

दोस्तो के खुशी से ही खुशी है,
तेरे गम से हम दुखी है,
तुम हंसो तो खुश हो जाऊंगा,
तेरे आँखो मे आँसु हो तो मनाऊंगा।

मेरे सपने बहुत बढे़ है,
पर अकेले है हम, अकेले है,
फिर भी चलता रहऊंगा,
मजिंल को पाकर रहऊंगा।

ये दुनिया बदल जाये पर कितनी भी,
पर मै न बदलऊंगा,
जो बदल गये वो दोस्त थे मेरे,
पर कोई ना पास है मेरे।

प्यार होता तो क्या बात होती,
कोई तो होगी कहीं न कहीं,
शायद तुम से अच्छी या,
कोई नहीं नही इस दुनिया मे तुम्हारे जैसी।

आसमान को देखा है मैने, मुझे जाना वहाँ है,
जमीन पर चलना नही, मुझे जाना वहाँ है,
पता है गिरकर टुट जाऊंगा, फिर उठने का विश्वास है
मै अलग बनकर दिखालाऊंगा।

पता नही ये रास्ते ले जाये कहाँ,
न जाने खत्म हो जाये, किस पल कहाँ,
फिर भी तुम सब के दिलो मे जिंदा रहऊंगा,
यादो मे सब की, याद आता रहऊंगा।

366
Shayari / sath..
« on: July 14, 2009, 03:41:18 PM »
Qadam qadam pe saharon ne sath chor dia...
Para jo waqt to yaaron ne sath chor dia...

Bhuji jo shamma to parwane sath chor gaye...
Hui sehar to sitaron ne sath chor dia...

Woh be-naqab hue phir bhi nazar utha na sake...
Uthi nazar to nazaron ne sath chor dia...

Falak ke chand sitaron se kya gila karna...
Jab zameen par apne pyaron ne sath chor dia...

Ab na aarzoo hai koi ,na zindagi hai, na maut...
Hamara to aaj zindagi ki baharon ne sath chor diya..

367
Shayari / tere ishq main..
« on: July 14, 2009, 03:37:21 PM »
Tere ishq main meri jaan hadh kar jaun ga
Tum nazar phero ge aur main mar jaun ga

Mera wajood jaise ujra hua ho khandar koi
Main aayena dekhun ga to darr jaun ga

Rag rag se lahu nichor rahi hai apki judai
Main agar aur jeeta raha to mar jaun ga

In kaanton bhari raahon ki ap fikar na kijiye
Phool ban k qadmon main bikhar jaun ga

Tere sab wadon k bawajood jaane kyu
Mujhe lagta hai main tere dil se utar jaun ga

Jo raste chor don palat k nahi dekhta
Kis ne kaha main kabhi lout k ghar jaun ga

Yu k koi mujhe be-yaar na samjh le Mansoor
Apni qabar pe khod hi phool dhar jaun ga

368
Shayari / kuch door...
« on: July 14, 2009, 03:35:53 PM »
Kuch door humare saath chalo hum dil kee kahaani kah deinge
Samajhe na jise tum aankhon se vo baat zubaani keh deinge


Phoolon kee tarha jab hoontoo pe ek shokh tabasum bikharegaa
Dheeray se tumhaare kaanoo mein ek baat puraani keh deinge!

Izhaar-e-vafaa tum kiya jaano iqraar-e-vafaa tum kiya jaano
Hum zikr karenge gairon kaa aur apni kahaani keh deinge

Mausam tu baraa hee zaalim hai toofan uthaata rehta hai
Kuch log magar is hal-chal ko bud-mast javaani keh deinge

369
Shayari / dil ki baat...
« on: July 14, 2009, 03:34:49 PM »
Dil ki baat zuban tak lana kitna mushkil hai
Haal-e-dil auroon ko sunana kitna mushkil hai

Aik humein hai teri chahat,aik dunya ki majboori
Bheech samandar diya jalana kitna mushkil hai

Tum duniya k shedai ho,main sapnoon ka bashinda
saath humein yun tera nibhana kitna mushkil hai

370
Shayari / ankha de vich athruu..
« on: July 14, 2009, 03:34:26 PM »
ankha de vich athru mere jeev te tera nam.
aaj vi na tu aaya sajna fir dhali ek sham.
isq tere vich hoge han asi dar dar te badnam.
hor mere das riha ki pale ek bachdi aa jaan.
jandi var tan mill la,jaggi,asi kush pal de mehman.
kade nahi asi dilo bhulai sajjna teri ik_yaad.
das bhala ki milleya tanu kar sanu barbad.

371
Shayari / Kisi Ki Aass Ban Kar Phir usy Tanha Nahin Karna
« on: July 14, 2009, 02:35:59 PM »
Kisi Ki Aass Ban Kar Phir usy Tanha Nahin Karna
Bhale Kuch Bhi Parrey Karna Magar Aisa Nahin Karna

Khabar Kya Kis Gharri Woh Raakh Kar Daaley Terey Sapney
Yoon Hi Jaltey Shararon Say Kabhi Khaila Nahin Karna

Ye Na Ho us Ki Yaadein Rooh Ka Sartan Ban Jayein
Kabhi Had Say Zyada Tum usay Socha Nahin Karna

Mohabbat Mein Shikayat Ka Kahan Dastoor Hota Hai
Gila Kar Ke Mohabbat Ko Kabhi Ruswa Nahin Karna

Wafaein Dar Haqeeqat Be-panah Anmol Hoti Hain
Kabhi Apni Wafaon Ka Silaa Maanga Nahin Karna

Kahin Aisa Na Ho Woh Apni Manzil Ka Nishan Kho Dey
Kisi Ka Saath Rastey Mein Kabhi Chorra Nahin Karna


372
Shayari / ankhon ka rang
« on: July 14, 2009, 02:33:57 PM »
Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya
woh shakhs aik shaam main kitna badal gaya

Kuch din to mera aks raha aaine pe naqsh
phir youn huwa ke khud mera chehra badal gaya

jab apnay apnay haal pay hum tum na reh sakay
to kiya huwa jo hum say zamana badal gaya

qadmon talay jo rait bichhi thi woh chal pari
us nay chhuraya haath to sehra badal gaya

koi bhi cheez apni jageh par nahin rahi
jaatay hi aik shakhs kay, kiya kiya badal gaya

ik sarkhushi ki moj nay kaisa kiya kamal
wo bay-niaaz saara ka saara badal gaya

uth kar chala gaya koi waqfay kay darmiaan
parda utha to saara tamasha badal gaya

hairat say saaray lafz usay dekhtay rahay
baaton main apni baat ko kaisay badal gaya

kehne ko ik sehan main deewar hi bani
ghar ki fiza makaan ka naqsha badal gaya

shayad wafa kay khel se uktaa gaya tha who
manzil kay paas aake jo rusta badal gaya

qayem kisi bhi haal pay dunya nahin rahi
taabeer kho gayee kabhi sapna badal gaya

manzar ka rang asal main saaya tha rang ka
jis nay usay jidhar say bhi dekha badal gaya

andar kay mosamon ki khabar us ko ho gayee
us no-bahaar-e-naaz ka chehra badal gaya

aankhon mein jitna ashk thay jugnoo say ban gaye
woh muskuraya or meri dunya badal gaya

apni gali main apna hi ghar dhoondhtay hain log
Amjad yeh kon shehr ka naqsha badal gaya


373
Shayari / Re: bin sajna
« on: July 14, 2009, 02:32:09 PM »
bas dil de karo pucho na

374
Shayari / Re: toota hou dil..
« on: July 14, 2009, 01:39:13 PM »
THXU SAAB JI

375
Shayari / Re: bin sajna
« on: July 14, 2009, 01:38:39 PM »
DASIDA THORA AA JO KARNA KARI JAO  :happy:

376
Shayari / Re: mat roko mujhe...
« on: July 14, 2009, 01:37:36 PM »
THXU JI THXU

377
Shayari / mat roko mujhe...
« on: July 14, 2009, 12:48:02 AM »
Mat roko rone do mujhe, Aansuon ko pee jane do.
Woh chali gayi apni yaaden dekar, Uski yaadon mein he Kho jane do.

Har pal roti hai aankhe meri, Ke ashkon ko bhi jam jane do.
Ab to din ke ujale se bhi dar lagta hai, Mujhe raat ke andhere me kho jane do.

Kaise bayaan karoon dil ka dard lafzon me, Ankho ko he sab keh jane do.
Ab saha nahi jata usse judaai ka dard, Ke zahar ko hi mukti samajh kar apnane do.

Ab koi tamanna nahi meri jeeene ki, Mujhe mout ke pehlu me so jane do..!!
__________________

378
Shayari / ishq..
« on: July 14, 2009, 12:46:24 AM »
Ishq sabko jeena sikha deta hai..,
Wafa ke naam par marna sikha deta hai..,
Ishq nahi kiya to karke dekhlo..,
Zalim Har Dard Sehna Sikha Deta Hai..!!

379
Shayari / kaun shakhs...
« on: July 14, 2009, 12:45:29 AM »
Uzr aane mein b hai aur bulate b nahi

Baais-e-tarq-e-mulaqat batate b nahi

Khoob parda hai k chilman se lage baithe hain

Saaf chhupte b nahi saamne aatey b nahi

Dekhte hi mujhe mehfil me ye irshaad hua

Kaun shakhs hai ise log uthate b nahi



Kalam uthaya hai lafz nahi milta,

jisko dhund rahe hain vo shaks nahi milta,

phirte hain wo zamane ki talaash me,

bas humare liye unhe waqt nahi milta.

380
Shayari / toota hou dil..
« on: July 14, 2009, 12:43:16 AM »
Kab Dil uski yaad mai chur nahi hota..,
Kab Dil usse milne ko majbur nahi hota..,
Ye sach hai , Zindagi mai dil usse ka toota hai..,
Jiska Koi Kasur Nahi Hota..!!

Pages: 1 ... 14 15 16 17 18 [19] 20 21 22 23 24 25