Entertainment > Lyrics

Hindi Super Hit Song Lyrics

(1/3) > >>

rabbdabanda:
HELLO Sat Shri AKal Dosto!
Ki haal chaal aa tuhada?
Main theek aa...umeed karda tusi v good howoge...jehde good nahi aa... ohna da asin thekka nahi leya :D:

Gal asal ch eda aa k gal kujh v nahi aa :hehe: es thread wich tusi Hindi songs old new...koi vi. j koi pasand aunda te j PJ layi kuch krna chahunde o lyrics section layi tan ethe lyrics post kar sakde o :smile:

Sirf Lyrics... galbaat PJFB te kro... lyrics ton bina j koi post hooyi oh delete kr ditti jaugi...so spam na kreo... bas lyrics j upload kr skde tan jarur kreo...eh jrur dhyan ch rakh leo k oh pehlan kise hor ne naah kar ditte hon!

chakk do fatte leaado haneri...!! :balle: :balle: Lubju all :kiss: :hehe: :D: :D:



rabbdabanda:
Pal bhar k liye
Movie: Johny Mera Naam
Singer: Kishor Kumar
pal bhar ke liye koyee hame pyar kar le, jhuta hee sahee
do din ke liye koyee ikrar kar le, jhuta hee sahee
pal bhar........

humne bahut tujhko chup chupke dekha - (2)
dil pe khichee hai tere kajal kee rekha
kajal ke rekha banee laxman kee rekha
ho ho ho ho kajal kee rekha.....
ram me kyun tune rawan ko dekha - (2)
khade khidakee pe aa ae ae ae ae ae
khade khidakee pe jogee sweekar kar le, jhuta hee sahee
pal bhar........

la la la..... pyar kar le

jhuta hee sahee
(dhire se jade tere nain bade
jis din se lade tere dar pe pade) - (2)
sun sunkar teree nahee nahee ja........
apni nikal jaye na kahee
jara han kah de meree jan kah de
meree jan kah de jara han kah de
jab rain pade nahee chain pade
nahee chain pade jab rain pade

mana tu sare hasino se hasin hain - (2)
apni bhee surat buree tho nahee hai - (2)
kabhee tu bhee
o kabhee tu bhee humara didar kar le, jhuta hee sahee
http://youtu.be/UuwdjdQLEbQ

rabbdabanda:
Tere Chehre Se Nazar Nahin Hatati
Movie: Khayaam
Singer: Kishor Kumar, Lata
Tere Chehre Se Nazar Nahin Hat Ti
nazaare Hum Kya Dekhen
tujhe Milke Bhi Pyaas Nahin Ghat Ti
nazaare Hum Kya Dekhen

pighle Badan Teri Tapti Nigaahon Se
sholon Ki Aanch Aaye Barfili Raahon Se
lage Kadmonse Aag Lipat Ti
nazaare Hum Kya Dekhen...

rangon Ki Barkha Hai Khushboo Ka Saath Hai
kisko Pataa Hai Ab Din Hai Ke Raat Hai
lage Duniya Hi Aaj Simat Ti
nazaare Hum Kya Dekhen...

palkon Pe Failaa Teri Palkon Ka Saaya Hai
chehre Mein Tere Mera Chehra Chhupaya Hai
tere Jalwon Ki Chhund Nahin Chhat Ti
nazaare Hum Kya Dekhen...
http://youtu.be/DZWtsqstLsc

rabbdabanda:
Kabhi Kabhi Mere Dil MEin
Movie: Khayaam
Singer: Mukesh, Lata

kabhee kabhee mere dil me khayal aata hai - (2)
kee jaise tujhko banaya gaya hai mere liye - (2)
too abse pehle sitaro me bas rahee thee kahee - (2)
tujhe jamin pe bulaya gaya hai mere liye - (2)

kabhee kabhee mere dil me khayal aata hai
kee yeh badan yeh nigahe meree amanat hain - (2)
yeh gesuo kee ghanee chhaon hain meree khatir
yeh honth aur yeh baahe meree amanat hain - (2)

kabhee kabhee mere dil me khayal aata hai
kee jaise bajatee hain shehnaiya see raaho me - (2)
suhag rat hain ghunghat utha raha hu mai - (2)
simat rahee hai too sharma ke apni baaho me - (2)

kabhee kabhee mere dil me khayal aata hai
kee jaise too mujhe chahegee umrr bhar yu hee
uthegee meree taraf pyar kee najar yu hee
mai janta hu kee too gair hai magar yu hee - (2)

kabhee kabhee mere dil me khayal aata hai - (2)
http://youtu.be/Te1BsSrLR5A

rabbdabanda:
Jane Kyu Log
is jamaane mein is mohabbat ne
kitane dil tode kitane ghar phuunke

jaane kyon log muhabbat kiya karate hain - 2
dil ke badale dard-e-dil liya karate hain
jaane kyon log muhabbat kiya karate hain

tanhaai milati hai, mahafil nahin milati
raahein muhabbat mein kabhi manjil nahin milati
dil tut jaata hai, naakaam hota hai
ulfat mein logon ka yahi anjaam hota hai
koi kya jaane, kyon ye paravaane,
kyon machalate hain, gam mein jalate hain
aahein bhar bhar ke divaane jiya karate hain - 2
jaane kyon log muhabbat kiya karate hain

saavan mein aankhon ko, kitana rulaati hai
furaqat mein jab dil ko kisi ki yaad aati hai
ye jindagi yuun hi barabaad hoti hai
har vaqt honthon pe koi fariyaad hoti hai
na davaaon ka naam chalata hai
na duaaon se kaam chalata hai
jahar ye phir bhi sabhi kyon piya karatein hain - 2
jaane kyon log muhabbat kiya karate hain

mahabuub se har gam manasuub hota hai
din raat ulfat mein tamaasha khuub hota hai
raaton se bhi lambe ye pyaar ke kisse
aashiq sunaate hain jafaa-e-yaar ke qisse
bemuravvat hai, bevafa hai vo,
us sitamagar ka apane dilabar kaa,
naam le le ke duhaai diya karate hain - 2
jaane kyon log muhabbat kiya karate hain
http://youtu.be/69qsp5i35cg

Navigation

[0] Message Index

[#] Next page

Go to full version