Kaise Bataon Main Tumhain Mere Liye Tum Kon Ho,
Kaise Bataon Main Tumhain Tum Dharkano Ka Geet Ho Jeewan Ka Tum Sangeet Ho,
Tum Zindagi Tum Bandagi Tum Roshni,
Tum Tazgi Tum Har Khushi,
Tum Pyar Ho Parmet Ho Man Meet Ho,
Aankhon Mein Tum Yadon Mein Tum,
Sanson Mein Tum Aanhon Mein Tum,
Neendon Mein Tum Khabon Mein Tum,
Tum Ho Meri Har Bat Mein Tum Ho,
Mere Din Rat Mein Tum Subha Mein Tum,
Sham Mein Tum Soch Mein Tum,
Kaam Mein Mere Liye Panaa Bhi Tum,
Mere Liye Khona Bhi Tum Mere Liye Hansna Bhi Tum,
Mere Liye Rona Bhi Tum Aur Jagna Sona Bhi Tum,
Jaon Kahein Dekhon Kahein,
Tum Ho Wahan Tum Ho Wahein,
Kaise Bataon Main Tumhain,
Tum Bin To Main Kuch Bhi Nahi,
Kaise Bataon Main Tumhain Mere Liye Tum Kon Ho,
Ye Jo Tumhara Roop Hai Ye Zindagi Ki Dhoop Hai,
Chand Se Tarasha Hai Badan,
Behti Hai Jis Mein Aik Agan
Ye Shokhian,
Ye Mastian Tum Ko Hawaon Se Milain,
Zulfain Ghataon Se Milain
Honton Mein,
Kalian Khil Gai Aankon Ko Jheelain Mil Gai,
Chehre Mein Simti Chandni Awaz Mein Hai Raagni,
Shishe K Jaisa Rang Hai Pholon K Jaisa Rang Hai,
Nandion K Jaisi Chaal Hai Kia Husan Hai,
Kia Haal Hai Ye Jisam Ki Ranginian Jaise,
Hazaron Titlian Bahon Ki Ye Golian Anchal Mein,
Ye Parchian Ye Nagrian Har Khawab Ki,
Kaise Bataon Main Tumhain Halat Dil-e-Betab Ki,
Kaise Bataon Main Tumhain Mere Liye Tum Kon Ho,
Kaise Bataon Main Tumhain,
Mere Dharam Ho Mere Liye Eman Ho,
Tum Hi Ebadat Ho Meri Tum Hi To Chahat Ho Meri,
Tum Hi Mera Arman Ho
Takte Ho,
Main Har Pal Jise Tum Hi Wohi Tasveer Ho,
Tum Hi Meri Taqdeer Ho
Tum Hi Sitara Ho,
Mera Tum Hi Nazara Ho Mera,
Youn Dhayan Mein Mere Ho,
Tum Jaise Ghere Ho Tum
Porab Mein,
Tum Pacham Mein Tum Utre,
Mere Liye Rasta Bhi Tum Mere Liye Manzil Bhi Tum,
Mere Liye Sagar Bhi Tum Mere Liye Sahil Bhi Tum,
Main Dekhta Bas Tum Ko Hon,
Main Sochta Bas Tum Ko Hon,
Main Janta Bas Tum Ko Hon,
Main Manta Bas Tum Ko Hon,
Tum Hi Meri Pehchan Ho,
Kaise Bataon Main Tumhain,
Tum Meri Har Khusi Aur Meri Shan Ho,
Tum Mere Liye Bhagwaan Ho,
Kaise Bataon Main Tumhain Mere Liye Tum Kon Ho...........!